Table of Contents
TogglePhir Utha Walwala e Yaad e Mugheelaan e Arab Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Phir utha walwala e yaad e mugheelaan e arab
Phir khincha daaman e dil sooye bayaabaan e arab
Bagh e firdous ko jaate hain haazaaraan e arab
Haaye sehra e arab haaye bayaabaan e arab
Meethi baatein teri deen e ajam imaan e arab
Namkeen husn tera jaan e ajam shaan e arab
Phir utha walwala e yaad e mugheelaan e arab
Phir khincha daaman e dil sooye bayaabaan e arab
Ab to hai girya e khoon gauhar e daamaan e arab
Jismein do la’al the Zahra ke woh thee kaan e arab
Dil wohi dil hai jo aankhon se ho hairaan e arab
Aankhein wo aankhein hain jo dil se hon qurbaan e arab
Phir utha walwala e yaad e mugheelaan e arab
Phir khincha daaman e dil sooye bayaabaan e arab
Haaye kis waqt lagi phaans alam ki dil mein
Ke bohot door rahe khaar e mugheelan e arab
Fasl e gul lakh na ho wasl ki rakh aas hazaar
Phoolte phalte hain be fasl gulistaan e arab
Phir utha walwala e yaad e mugheelaan e arab
Phir khincha daaman e dil sooye bayaabaan e arab
Sadqe hone ko chale aate hain laakhon gulzaar
Kuch ajab rang se phoola hai gulistaan e arab
Andaleebi pe jagharte hain kate marte hain
Gul o bulbul ko laraata hai gulistaan e arab
Phir utha walwala e yaad e mugheelaan e arab
Phir khincha daaman e dil sooye bayaabaan e arab
Sadqe rahmat ke kahaan phool kahaan khaar ka kaam
Khud hai daaman kash e bulbul gul e khandaan arab
Shaadi e hashr hai sadqe mein chutenge qaidi
Arsh par dhoom se hai daawat e mehmaan e arab
Phir utha walwala e yaad e mugheelaan e arab
Phir khincha daaman e dil sooye bayaabaan e arab
Charche hote hain ye kamhlaaye hue phoolon mein
Kyun ye din dekhte paate jo biyabaan e arab
Tere be daam ke bande hain raeesaan e ajam
Tere be daam ke bandi hain haazaaraan e arab
Phir utha walwala e yaad e mugheelaan e arab
Phir khincha daaman e dil sooye bayaabaan e arab
Hasht e khuld aayein wahan kasb e latafat ko Raza
Chaar din barse jahan abr e bahaaran e arab
Phir utha walwala e yaad e mugheelaan e arab
Phir khincha daaman e dil sooye bayaabaan e arab
پھر اُٹھا وَلولۂ یادِ مُغِیلانِ عرب
پھر کھنچا دامن دل سُوئے بیابانِ عرب
باغِ فردوس کو جاتے ہیں ہزارانِ عرب
ہائے صحرائے عرب ہائے بیابانِ عرب
میٹھی باتیں تِری دینِ عجم ایمانِ عرب
نَمکیں حُسن تِرا جانِ عجم شانِ عرب
اب تو ہے گریۂ خوں گوہر دامانِ عرب
جس میں دو لعل تھے زہرا کے وہ تھی کانِ عرب
دل وہی دل ہے جو آنکھوں سے ہو حیرانِ عرب
آنکھیں وہ آنکھیں ہیں جو دل سے ہوں قربانِ عرب
ہائے کس وقت لگی پھانس اَلم کی دل میں
کہ بہت دُور رہے خارِ مُغِیلانِ عرب
فَصْلِ گل لاکھ نہ ہو وَصْل کی رکھ آس ہزا ر
پھولتے پھلتے ہیں بے فَصْل گلستانِ عرب
صدقے ہونے کو چلے آتے ہیں لاکھوں گُلزار
کچھ عجب رنگ سے پُھولا ہے گلستانِ عرب
عَنْدَلِیْبِی پہ جھگڑتے ہیں کٹے مَرتے ہیں
گُل و بُلبُل کو لڑاتا ہے گلِستانِ عرب
صدقے رحمت کے کہاں پھول کہاں خار کا کام
خود ہے دامن کشِ بُلبُل گُلِ خندانِ عرب
شادیَ حشر ہے صَدْقے میں چھٹیں گے قیدی
عرش پر دُھوم سے ہے دَعوتِ مہمانِ عرب
چرچے ہوتے ہیں یہ کمھلائے ہوئے پھولوں میں
کیوں یہ دن دیکھتے پاتے جو بیابانِ عرب
تیرے بے دام کے بندے ہیں رئیسانِ عجم
تیرے بے دام کے بندی ہیں ہزارانِ عرب
ہَشْت خلد آئیں وہاں کسب لطافت کو رضاؔ
چار دن برسے جہاں اَبر بہارانِ عرب