Table of Contents
ToggleNemate Bant Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Nemate bant ta jis simt wo zeeshan gaya
Saath hi munshi e rahmat ka qalamdaan gaya
Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyaan gaya
Mere Mawla mere Aaqa tere qurbaan gaya
Aah wo aankh ke naakaame tammanna hi rahi
Haaye wo dil jo tere dar se pur armaan gaya
Nemate bant ta jis simt wo zeeshan gaya
Saath hi munshi e rahmat ka qalamdaan gaya
Dil hai wo dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sar hai wo sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya
Unhein jaana unhein maana na rakha ghair se kaam
Lillahil hamd main duniya se musalmaan gaya
Nemate bant ta jis simt wo zeeshan gaya
Saath hi munshi e rahmat ka qalamdaan gaya
Aur tum par mere Aaqa ki ‘inayat na sahi
Najdiyon kalmah parhaane ka bhi ehsaan gaya
Aaj le unki panaah aaj madad maang un se
Phir na maanenge qayaamat mein agar maan gaya
Nemate bant ta jis simt wo zeeshan gaya
Saath hi munshi e rahmat ka qalamdaan gaya
Uf re munkir ye barha joshe ta’assub aakhir
Bheer mein haath se kam bakht ke imaan gaya
Jaan o dil hosh o khirad sab to Madine pahunche
tum nahin chalte Raza saara to saamaan gaya
Nemate bant ta jis simt wo zeeshan gaya
Saath hi munshi e rahmat ka qalamdaan gaya
نعمتیں بانٹتا جِس سَمْت وہ ذِیشان گیا
ساتھ ہی مُنشِیِ رحمت کا قلم دَان گیا
لے خبر جلد کہ غیروں کی طرف دِھیان گیا
میرے مولیٰ مِرے آقا تِرے قربان گیا
آہ وہ آنکھ کہ ناکامِ تَمنّا ہی رہی
ہائے وہ دِل جو ترے دَر سے پُر اَرمان گیا
دِل ہے وہ دِل جو تری یاد سے مَعمور رہا
سر ہے وہ سر جو ترے قدموں پہ قربان گیا
انھیں جانا انھیں مانا نہ رکھا غیر سے کام
لِلّٰہِ الْحَمْد میں دُنیا سے مسلمان گیا
اَور تم پر مِرے آقا کی عنایت نہ سہی
نَجدیو! کلمہ پڑھانے کا بھی اِحسان گیا
آج لے اُن کی پناہ آج مدد مانگ اُن سے
پِھر نہ مانیں گے قِیامت میں اگر مان گیا
اُف رے مُنکِر یہ بڑھا جوشِ تَعَصُّب آخر
بِھیڑ میں ہاتھ سے کمبخت کے اِیمان گیا
جان و دل ہوش و خِرَد سب تو مَدینے پہنچے
تم نہیں چلتے رضاؔ سارا تو سامان گیا