Biography of Hazrat Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab:

Faqeeh e aazam e Hind, Shaarh-e-Bukhri.

Aap ki Wiladat :

Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه ki wilaadat 1320 Hijri (1921 A.D.) me Aazamgadh (Ghausi) ke Mohalla Kareemuddeenpur me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdus Samad bin Ṡana-ullāh hai.
Aap ke pardaada Hazrat Maulana Khair-ud-deen Aazmi apne waqt ke saahibe o khashf buzurg aur Aalim the.

Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه ne Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi, Hazrat Hujjat-ul-Islaam Mufti Muhammad Haamid Raza Khan Bareilwi, Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan Bareilwi, Hazrat Haafiz-e-Millat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi, Hazrat Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad, Hazrat Sadr-ul-ulama Maulana Ghulaam Jeelaani, Hazrat Khair-ul-Azkiya Maulana Ghulaam Yazdaani, Hazrat Shaikh-ul-Ma’aqoolaat Maulana Mohammad Sulaimān, Hazrat Maulan Ṡana’ullāh Mohaddeeṡ, Hazrat Hakeem Ahmad Ali  Aazami (Biraadare Sadr-ush-Shariah), Hazrat Shaikh-ut-Tajweed Maulana Qaari Mohammad Uṡmaan Aazami, aur Hazrat Bulbul-e-Faarsi Maulana Sayyed Shams-ul-Haq Mubarakpuri رحمة الله عليه ajmain se ta’aleem aur faiz haasil kiya.

1359 Hijri (1940 A.D.) me Madrasa e Ashrafiya Misbaah-ul-uloom, Mubarakpur me ek jalsa me Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi رحمة الله عليه tashreef laaye to Aap ne un se bai’at ki.

Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه Hazrat Sadr-ush-Shariah ke Saabiqeen awwaleen mureedeen me se hain.
Shawwaal 1368 Hijri (1948 A.D.) me Hajje baitullāh ke safar ke mauqe par Sadr-ush-Shariah ne Aap ko ‘Qaadri Razawi’ silsila ki khilaafat ata farmai.

Kai mash’hoor Ulama e Ahle Sunnat ne mukhtalif maqaaqe par Bad-mazhabo ke muqaabale me Aap ko pesh pesh rakha aur kai baar Sadr bhi banaaya.

Cuttack (Odisa) ke mash’hoor Munaazre me Hazrat Maulana Shaah Mohamamd Habeeb-ur-Rahmān رحمة الله عليه ne Aap ko sadr Munaazir muqarrar farmaaya. 

Junagadh (Gujarat) ke Daawati safar par Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ke farmaan par Aap ne ek Shia motariz ke Hadeeṡe Qirtaas par aur Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shakhsiyat par aitraaz ka dandaane shikan jawaab diya.

Badbalganj (Zila Gorakhpur) me ek Deobandi maulwi ne Hazrat Mohaddeeṡ e Aazam e Hind Sayyed Shaah Muhammad Ashrafi رحمة الله عليه ke naam ek Challenge aaya. Hazrat ke farmaan par Aap ne us ka jawaab likha jise padhkar Hazrat behad khush hue.

Hazrat Haafiz e Millat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi رحمة الله عليه ko Aap par itna aitemaad tha ke agar Mubarakpur me koi munaazre ke liye Munaazir talab karta to Hazrat Haafiz e Millat Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi رحمة الله عليه ko daawat dene ke liye farmaate. Dariyapur (Zila Maalda, West Bengal) ke munaazre me Hazrat ki talab par Aap ne shirkat farmai.

Hazrat Sayyed-ul-Ulama Sayyed Shaah Aale Mustafa Barkaati رحمة الله عليه ko Aap par bahot aitemaad tha aur All India Sunni Jamiatul Ulama ki meeting me Aap ko Sadr banaate.

Hazrat Ahsan-ul-Ulama Sayyed Shaah Mustafa Haidar Hasan Barkaati رحمة الله عليه ko Ilm aur Muamlaat dono sho’abo me Aap par aitemaad tha aur baaz aham Masaa’il me bhi Aap se mashwara karte the.

Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه ne taqreeban 70000 Fataaa jaari kiye.
Jinhe Fataawa Shaarh-e-Bukhari (2 Jild) me jama kiye gae hain.

Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه ki Tasannif :

Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه ki likhi hui mash’hoor kitaaben:

(1) Ashraf-us-Siyar
(2) Tehqeeqaat (4 Jild)
(3) Sunni Deobandi Ikhtilaaf ka munsifaana jaa’iza
(4) Nuzhat-ul-Qaari.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Huzoor Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne bhi (7 Ramazaan 1381 Hijri ko) Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Huzoor Ahsan-ul-ulama Sayyed Mustafa Haidar Hasan Marehrawi رحمة الله عليه ne bhi (1404 Hijri me) Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khalifa Hazrat Ashraf ul Fuqaha Mufti Mujeeb Ashraf Nagpuri hain

Aap ka Wisaal:

Aap ka wisaal 6 Safar 1420 (11 May 2000 A.D.) ko hua.
Aap mazaar Mubarakpur (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Mufti Shariful Haq Amjadi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *