Biography of Hazrat Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه Urfe Bulle Shah Baba | Download Free PDF

Hazrat Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه

Laqab:

Bulle Shah Baba.

Aap ki Wiladat :

Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه ki wiladat 1091 Hijri (1680 A.D.) me Uch (Punjab) me hui.

Bulle Shah Baba رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Mohammad Durwesh aur waalida ka naam Fatima Bibi hai.
Aap ke waalid Pesh Imaam aur Mudarris the.
Aap ki umr 6 mahine thi tab Aap ke waalidain Malakwal aa gaye.
Phir Aap ki umr 6 saal thi tab Aap ka pariwaar Pandoke aa gaya.

Aap ki Talimaat:

Bulle Shah Baba رحمة الله عليه ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki. Phir mazeed ta’aleem ke liye Kasur tashreef laaye. Aap ne Maulana Mohiy-ud-deen aur Hazrat Haafiz Ghulaam Murtaza Kasuri se ta’aleem haasil ki.

Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه Hazrat Shaah Inaayat Qaadri رحمة الله عليه se Bai’at ke liye Lahore gaye to Hazrat ek aam ke baagh me tashreef farma the. Aap jab baagh me pahunche to shaakho par se aam gir pade. Hazrat ne Aap se farmaaya “Aye naujawaan! Tum ne ye sab aam kyun giraaye?” Aap ne arz kiya “Huzoor! Na to maine ped par chadhkar aam giraaye hain aur na maine patthar maarkar aam giraaye hain, Lekin lagta hai ke kisi ne mere liye aam giraaye hain.” Aap ka jawaab sunkar Hazrat khush hue.

Phir Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه ne Hazrat ke qadmo me baithkar arz kiya “Khuda ko paane ke liye mujhe Aap jaise murshid ki zaroorat hai.” Hazrat ne irshaad farmaaya “Khuda ko paana aisa hai ki jaise ek darakht ko jado ke saath nikaalkar dusri zameen me bona.”

Aap Hazrat ki khidmat me rehkar ta’aleem wa faiz haasil kiya.

Hazrat ke wisaal ke baad Bulle Shah Baba رحمة الله عليه Kasur waapa aaye.

Aap Hazrat Shaah Inaayat Qaadri رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Bulle Shah Baba رحمة الله عليه apne waqt ke bade mash’hoor Soofi hain.

Aap Punjabi aur Faarsi me bahot saari shaayari (kafi) likhi hain.

Aap farmaate hain ki “Jis ne (ALLĀH ke) Alif ko theek se jaan liya us ne najaat paa li.”

Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه farmaate hain ke “Insaan agar khuda se milna chaahta hai to apna takabbur chhod dena chaahiye aur yeh fikr bhi chhod deni chaahiye ke (rasmo ko chhod dene par) samaaj kya kahega.”

Ek martaba Aap ne ek aurat ko dekha jo saj dhaj kar baalo ka jooda banakar baithi thi. Aap ne us se puchha to us ne kaha ke “Main apne shohar ka intazaar kar rahi hu aur main chaahti hu ke jab woh mujh se mile to mujhe is tarah dekhkar khush ho.”

Yeh sunkar Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه ne farmaaya “Jis tarah ek aurat apne shohar ke liye sajti sanwarti hai taake us ka shohar us se milkar khush ho, insaan ko bhi (achhe akhlaaq se) khud ko sanwaarna chaahiye taake jab us ka aaqa us se mile to khush ho jaaye.”

Aap ka Wisaal:

Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه ka wisaal 7 Safar 1171 Hijri (October 1757 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Kasur (Punjab, Pakistan) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Abdullah Shah Qadri رحمة الله عليه  aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *