Biography of Hazrat Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Aap ki Wiladat :

Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه ki wiladat 1153 Hijri (1740 A.D.) me Bahraich me hui.
Aap ke waalid ka naam Ghulaam Qutb-ud-deen Alwi hai.
Aap Hazrat Imaad Alwi Khilji رحمة الله عليه ki nasl se hain.

7 saal ki umr me aap ki Bismillāh khwaani ki gai. Hazrat Maulana Shaikh Muhammad Roshan Bahraichi ne aap ki rasme Bismillāh khwaani ki

Aap ki Talimat:

Malik Badi-uz-Zamaan se Faarsi ki ta’aleem haasil ki.
1171 Hijri (1757-58 A.D.) me Aap Lucknow tashreef le gaye aur Miyan Alo Raza se Arabi ki ta’aleem haasil ki. Jab woh Makka mukarrama tashreef le gaye to Aap ne Maulwi Khaleel se ta’aleem haasil ki.

Un ke inteqaal ke baad Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه  ne Shahjahanpur me Maulwi Imaam Bakhsh se 2 maah tak ta’aleem haasil ki. Phir Bareilly me Mirzai masjid me Maulwi Shahaab-ud-deen ta’aleem haasil ki.
Phir Dara Nagar me Maulwi Saleem se ta’aleem haasil ki.

1177 Hijri (1763 A.D.) me Lucknow aaye aur Hazrat Shaah Muhammad Aqeel Sabzposh ki Khaanqaah me Maulwi Muhammad Wali se ma’aqoolaat aur Manqoolaat ki ta’aleem haasil ki. Mufti Abdur Rab se Ilme Riyaazi wa Hindsa ki ta’aleem haasil ki. Haaji Ahmad se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki. Sultaan Yuousuf Khatlani se Qir’at ki ta’aleem haasil ki aur Sanad haasil ki.

1186 Hijri (1772 A.D.) me jab Hazrat Mirza Mazhar Jaan-e-Jaanaan رحمة الله عليه ke khalifa Hazrat Shaikh Muhammad Jameel رحمة الله عليه Delhi se Lucknow tashreef laaye to Aap un ke mureed hue. Phir Aap Delhi tashreef le agye aur Hazrat Mirza Mazhar Jaan-e-Jaanaan رحمة الله عليه ki khidmat me 4 mahine rahe.

1189 Hijri (1775 A.D.) me phir se Aap Hazrat Mirza Mazhar Jaan-e-Jaanaan رحمة الله عليه ki baargaah me tashreef le gaye aur Hazrat ki khidmat me 4 saal tak ta’aleem wa faiz haasil kiya. Is duraan watan aur pariwaar ki mohabbat ki wajah se kaare khair me fitoor wa khalel paida na ho is liye Aap apne ghar se jo khat aate unhe khol kar dekha tak nahi.

Hazrat ne Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه se farmaaya “Tumhari yeh 4 saal ki sohbat dusro ki 12 saal ki sohbat ke barabar hai.” Aur farmaaya ke “Noor nisbat aur faiz nisbat se aalam munawwar hoga.”

Bar waqte khilaafat o ijaazat Hazrat ne Aap ko Hazrat Mujaddid-e-Alfe ṡaani Imaam Ahmad Sirhindi رحمة الله عليه ke Maktoobaat ata farmaaye aur irshaad farmaaya “Khirqa e khilaafat ke saath maktoobaat ata kiya hain jo tumhare liye zaahir aur baatin ka khazaana hai. Is ki qadr karna aur shukr ada karna. Agar taalib jama ho aur tumhe fursat ho to asr ke baad inhe padhkar sunaana.”

Is ke baad apne watan waapas aakar rushd o hidaayat me mashgool hue. Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه ne Bahraich me ek masjid ta’ameer ki thi jo ‘Maulsiri waali Masjid’ ke naam se mash’hoor hai.

Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه ne Lucknow me qayaam ke liye Bengali Baagh me ek makaan ta’ameer kiya tha, jis ka naam ‘Mazharabad’ rakha tha. Aap ne Lucknow me bhi ek masjid ta’ameer karaai thi.

Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه jaame ma’aqoolaat wa manqoolaat the.
Aap saahibe akhlaaq the aur puri zindagi sabr, tawakkal aur qana’at ke saath guzaari.

Tasannif :

Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :

(1) Bashaarat-e-Mazhariya (Hazrat Mirza Mazhar Jaan-e-Jaanaan رحمة الله عليه ke khaandaani aur zaati haalaat)
(2) Ma’amoolaat–e-Mazhariya
(3) Ruq’at-e-Karaamat Sa’adat (Hazrat Mirza Mazhar Jaan-e-Jaanaan رحمة الله عليه ke likhe hue 88 Khato ka majmua)
(4) Risaala-e-Tasawwuf.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه Hazrat Shaikh Muhammad Jameel رحمة الله عليه ke mureed hain. 
Hazrat Mirza Shams-ud-deen Habeebullāh Mazhar Jaan-e-Jaanaan رحمة الله عليه ne Aap ko khilaafat ata farmai hai. Aap ke khalifa Hazrat Shaah Muraadullāh Thanesari رحمة الله عليه ha

Aap ka Wisaal:

Aap ka wisaal 5 Safar 1218 Hijri (26 May 1803 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.
Aap ka mazaar Bahraich (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

1 thought on “Biography of Hazrat Maulana Shaah Naeemullah Naqshbandi Bahraichi رحمة الله عليه | Download Free PDF”

  1. Pingback: Biography of Ummul Mo’mineen Hazrate Maymuna bint Haris رضي الله عنها | Download Free PDF - Islamic Images

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *