Table of Contents
ToggleUmmul Mo’mineen Hazrate Maymuna bint Haris رضي الله عنها
Aap ki Wiladat :
Hazrate Maymuna bint Haris رضي الله عنها ki wilaadat 594 A.D. me hui.
Aap ke waalid ka naam Haaris ibn Hazn aur waalida ka naam Hind bint Awf hai. Aap ke waalid Makka ke Banu Hilala kabeele se ta’alluq rakhte hain.
Huzoor Rasool-Allah Muhammad ﷺ ke saath aap ka nikaah Shawwaal 7 Hijri (629 A.D.) me Saraf (Makka se 10 mile door) me hua.
Salaih Hudaibiyah ke baad jab Huzoor ﷺ Umraah ke liye Makka aaye the. Jab Huzoor ﷺ Umraah se faarigh hu tab Hazrate Maymuna ne apni bahen Ummul Fazl Lubaba (Hazrate Abbas ibn Abdul Muttalib ki biwi) ke saath Nikaah ka paighaam bheja aur Huzoor ﷺ ne qubool kiya.
Hazrate Maymuna bint Haris رضي الله عنها ka asl naam ‘Burrah’ tha. Huzoor ﷺ ne aap ka naam ‘Maymoona’ (Mubarak /Blessed) rakha.
Is ke baad aap ne tamaam zindagi Madeena me guzari.
Aap bahot nek, khush-akhlaaq aur sakhi thi.
Hazrate Maymuna bint Haris رضي الله عنها ne kai ghulaamo ko aazad karaya tha.
Ek baar aap ne ek ghulaam ko aazad karaya to Huzoor ﷺ ne is nek kaam ki ta’areef ki aur farmaya ‘Maymoona, ALLAH ta’ala tumhe is amal ka behtareen badla ata farmaega.’
Aap ko ilme deen sikhne me aur isha’ate Islaam me bahot dilchaspi thi. Aap logo ko taalime deen deti thi aur jo koi bhi ahkaam e shariat ke masa’il sikhne ke liye aata use sikhaati thi.
Hazrate Ibne Abbas ne bhi aap se taalim haasil ki hai.
Hazrate Maymuna bint Haris رضي الله عنها se taqreeban 46 ahadees ki riwayat milti hai.
Aap ka Wisaal:
Hazrate Maymuna bint Haris رضي الله عنها ka wisaal 5 Safar 51 Hijri (671 A.D) ko hua.
Aap ka mazaar Saraf (Saudi Arabia) me hai.
ALLAH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Ummul Mo’mineen Hazrate Maymuna bint Haris رضي الله عنها aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae.
Aameen.