Hazrat Khwaja Sayyed Mahmood Raajan Chishti رحمة الله عليه
Alqaab:
Naasir-ud-deen Ṡaani, Shaikh Raajan.
Aap ke Walidain :
Khwaja Sayyed Mahmood Raajan Chishti رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Sayyed Mohammad Ilm-ud-deen bin Khwaja Siraaj-ud-deen Chishti رحمة الله عليه hai.
Aap Husaini saadaat hain.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Mohammad Ilm-ud-deen Chishti رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ‘Chishti Naasiri’ silsile ke Shaikh hain.
Aap ko Hazrat Shaikh Qareen-ud-deen Suharwardi رحمة الله عليه se ‘Suharwardi’ silsile ki khilaafat mili hai.
Aap ke khalifa Hazrat Khwaja Sayyed Jamaal-ud-deen Jumman Chishti رحمة الله عليه hain.
Aap ka Wisaal:
Khwaja Sayyed Mahmood Raajan Chishti رحمة الله عليه ka wisaal 22 Safar 900 Hijri (November 1494 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Patan (Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Sayyed Mahmood Raajan Chishti رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz muraado ko puri farmae.
Aameen.