Biography of Hazrat Khwaja Hameed ud deen Chaheldaah Suharwardi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Aap ki Wiladat :

Khwaja Hameed ud deen Chaheldaah Suharwardi رحمة الله عليه  ki wiladat 849 Hijri (1444 A.D.) me hui. 
Aap ke waalid ka naam Hazrat Qaazi Mohammad رحمة الله عليه hai.

Aap Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.

Aap ke daada Hazrat Qutub Mahmood رحمة الله عليه Patan se Karanta tashreef laaye the. Aap ke waalid Hazrat Qaazi Mohammad رحمة الله عليه Ahmedabad tashreef laaye aur Sarangpur ilaaqe me sukoonat pazeer hue.

Aap Qutb-ul-Aqtaab aur Aarif Billāh the.
Aap ne Ahmedabad me 12 saal tak Ilm haasil kiya aur Saahibe Ma’arefat wa Haqeeqat hue lekin apna raaz zaahir nahi karte the.

894 Hijri (1489 Hijri) me Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ke farmaan par Aap Ahmedabad se Karanta ke qareeb ek pahaad ke bagal me sukoonat pazeer hue, yeh ilaaqa Birpur ke naam se mash’hoor hai.

Puri zindagi Sunnate Rasool ke mutaabiq amal karte rahe. Hamesha saadgi apnaate.
Raaste me chalte waqt kabhi idhar udhar nazar na karte. Kabhi kisi ghair aurat ki taraf nazar na karte. Aap kabhi chaar paai par nahi sote the.

Khwaja Hameed ud deen Chaheldaah Suharwardi رحمة الله عليه ne kabhi lazeez khaana tanaawul na farmaya. Aap ki giza Jav ki roti thi. Aap kabhi kisi ke yaha daawat me tashreef le jaate to sirf ek ya do luqme khaa kar waapas chale aate.

Aap ki Karamat:

Ek martaba Khwaja Hameed ud deen Chaheldaah Suharwardi رحمة الله عليه apne saahabzaade Hazrat Khwaja Mahmood Dariyai Dulha رحمة الله عليه ke saath Chikhli jojha ke jangal me tashreef le gaye. Aap ne ird gird wuzu ke liye paani talaash kiya magar paani kahi nazar na aaya. Aap ne ek darakht ki jad me apni mubarak ungli se lakeer khinchi. Foran us darakht ki jad se paani behna shuru ho gaya. Us paani se dono ne wuzu kiya aur zikre Ilāhi me masroof ho gae.

Woh paani ka chashma behta raha aur jab paani Qasbe ke nazdeek aa gaya to logo ne aakar arz ki ke “Huzoor! Paani agar qasbe ke andar daakhil hoga to hum ko nuqsaan karega.” Yeh sun kar Aap ne paani se mukhaatib hokar farmaaya “Qasbe ke kinaare kinaare beh jaa.” Aap ke farmaane se woh chashma kinaare kinaare behta hua aage jaa kar ‘Mahi’ nadi se mil gaya.

Pariwaar:

Aap ke 4 saahbabzaade hain:
(1) Ahmad Daata Wali,
(2) Mahmood Dariyai Dulha,
(3) Chaand Muhammad, 
(4) Sharf-ud-deen.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Khwaja Hameed ud deen Chaheldaah Suharwardi رحمة الله عليه Hazrat Shaah e aalam Sayyed Siraaj-ud-deen Muhammad رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke khalifa :
Hazrat Khwaja Mahmood Dariyai Dulha رحمة الله عليه.

Aap ka Wisaal:

Khwaja Hameed ud deen Chaheldaah Suharwardi رحمة الله عليه ka wisaal 6 Safar ko hua.
Aap ka mazaar Birpur (Gujarat) me hai.

Burhanpur me Aap ki chaahne waali ek Aurat rehti thi. Use jab khabar mili ke Hazrat ka wisaal ho gaya hai to woh rone lagi aur kehne lagi ke “Afsos ke main Aap ki mureed na ho saki.”

Ek raat use khwaab me Aap ki ziyarat hui aur khwaab hi me Aap ne use mureed kiya. Jab woh bedaar hui to Shajarah shareef us ke saamne maujood tha.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Hameed ud deen Chaheldaah Suharwardi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *