Table of Contents
ToggleHazrat Imaam Abu Abdullāh, Muhammad Haakim Nishapuri رحمة الله عليه
Alqaab :
Imaam-ul-Mohaddeeseen, Mohaddees-e-Nishapur.
Aap ki Wiladat :
Hazrat Imam Abu Abdullah Muhammad Al Hakim Al Nishapuri رحمة الله عليه ki wilaadat 3 Rabi-ul-Awwal 321 Hijri (3 March 933 1580 A.D.) ko Nishapur (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Abdullāh bin Muhammad hai.
Aap ki Talimat:
Hazrat Imam Abu Abdullah Muhammad Al Hakim Al Nishapuri رحمة الله عليه ne apne waalid aur chacha se ta’aleem haasil ki.
Phir Aap ne Iraq, Khurasan, Maawaara-un-Nahr aur deegar mulk me jaakar ta’aleem haasil ki.
Hazrat Imam Abu Abdullah Muhammad Al Hakim Al Nishapuri رحمة الله عليه ne Hazrat Mohammad bin Ali Umar, Hazrat Hasan bin Ya’aqoob Bukhari, Hazrat Abu Nasr Mohammad bin Yousuf, Hazrat Abu Waleed Hasan bin Mohammad, Hazrat Abu Umar bin Simaak, aur Hazrat Abu Sahl Mohammad bin Sulaimān Ma’aluki aur deegar ulama se ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Shaikh Abu Uṡmaan Maghribi, Shaikh Ja’afar Khuldi aur Shaikh Ismāeel Saffar رحمة الله عليه se faiz haasil kiya.
Aap ne taqreeban 200 ulama se ta’aleem haasil ki.
Aap Hadeeṡ, Qir’at, Fiq’h, Tafseer, Tawaarikh aur Tasawwuf ke maahir the.
Hazrat Imam Abu Abdullah Muhammad Al Hakim Al Nishapuri رحمة الله عليه Shaafi mazhab ke muqallid the.
Aap farmaate hain ke “Maine aabe zamzam piya aur ALLĀH ta’ala se dua ki ke mujhe kitaaben tehreer karne me khair o barkat ata farma.”
Aap ne 72 saal ki umr me apni kitaab Al-Mustadrak alaa al-Saheehain likhna shuru kiya jo ‘Mustadrak al-Haakim’ ke naam se mash’hoor hai.
Aap chothi sadi ke Mujaddid e Islaam hain
Tasannif :
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Al-Mustadrak alaa al-Saheehain
(2) Al-Abwaab
(3) Al-Amaali
(4) Amaali al-Ashiyyaat
(5) Fazaa’il-ul-Shafi’i
(6) Fawaa’id-ul-Nusaakh
(7) Fawaa’id-ul-Khurasaniyyin
(8) Al-Ikleel fee Dalaa’il ul-Nabuwwat
(9) Al-Ilal
(10) Maa Tafarrada bi Ikhraajihi Kullu Waahidin min al-Imaamain
(11) Al-Madkhal ilaa Ilm-ul-Saheeh
(12) Maa Rifat Anwa Uloom-ul-Hadeeṡ
(13) Muzakkaa-ul-Akhbaar
(14) Al-Saheehain
(15) Al-Talkhees
(16) Taraajim al-Musnad alaa Shart al-Saheehain
(17) Taraajim-ul-Shuyookh
(18) Taareekh Ulama e Ahle Nisapur.
Hazrat Imam Abu Abdullah Muhammad Al Hakim Al Nishapuri رحمة الله عليه ke mash'hor shaagird :
(1) Imaam Abu Bakr Ahmad ibn Husain al-Bayhaqi رحمة الله عليه,
(2) Imaam Ali ibn Umar al-Daraqutni رحمة الله عليه,
(3) Imaam Shaikh Abul Qaasim Qushairi,
(4) Abul Fatah bin Abul Fawaris,
(5) Abul Ula Wasiti,
(6) Muhammad bin Ahmad
(7) Abu Zar Harwi,
(8) Abu Ya’ala Khaleeli,
(9) Abu Uṡmaan Ismāeel Sabuni,
(10) Uṡmaan bin Mohammad,
(11) Shaikh Abu Bakr bin Ali Qifaal,
(12) Hasan ibn Ash’aṡ al-Quraishi.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 3 Safar 403 Hijri (1 September 1014 A.D.) ko hua.
Aap ki namaaze janaaza Hazrat Qaazi Abu Bakr ne padhaai.
Aap ka mazaar Nishapur (Iran) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Imam Abu Abdullah Muhammad Al Hakim Al Nishapuri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
- Mazar Location