Biography of  Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه

Alqaab:

Saahib-ul-Barkaat.

Aap ki Wiladat:

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ki wilaadat  26 Jamaadi-uṡ-Ṡaani 1070 Hijri (9 March 1660 A.D.) ko Bilgram me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Uwais bin Sayyed Shaah Abdul Jaleel Rahmatullāhi Alaihi hai aur waalida Sayyed Ala-ud-deen Bilgrami ki saahabzaadi hai.

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه Husaini saadaat hain aur Hazrat Sayyed Zaid bin Imaam Zain-ul-Aabideen Rahmatullāhi Alaihi ki nasl se hain

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ke pardaada Hazrat Sayyed Shaah Muhammad Sughra bin Sayyed Shaah Ali Sultaan Altamash ke zamaane me Hindustan aaye. Sultaan ne Hazrat ka istiqbaal aur ta’azeem ki. Baad me Sultaan ne ek bade lashkar ke saath un ko Bilgram fatah karne ke liye bheja. Hazrat ne Bilgram fatah bhi kiya aur logo ko Islaam ki ta’aleem dekar unhe musalman banaaya aur islaam ko mazboot kiya.

Sultaan Altamash ne khush hokar un ko Bilgram ki jaagir ata ki. Phir Hazrat ne apne pariwaar ko Bilgram bula liya.

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ne apne waalid Hazrat Sayyed Shaah Uwais se Qur’ān, Hadeeṡ, Usool e Hadeeṡ, Tafseer, Fiq’h aur Usool e Fiq’h ki ta’aleem haasil ki.

Aap Falsafa, Ilm e Istadalaal, Tawaarikh ke bhi maahir the.

Hazrat Shaah Fazlullāh Kalpawi Rahmatullāhi Alaihi ki shohrat sunkar Aap Kalpi tashreef laaye. Jab aap Hazrat Shaah Fazlullāh ki baargaah me aaye tab Hazrat Aap ko dekhkar aap ki taraf chalkar aaye aur aap ko mohabbat ke saath gale lagaaya aur farmaaya “Dariya ba dariya pevast [Dariya se dariya mila hai].” Hazrat baar baar ye alfaaz kehte gaye aur chand lamho me aap ko wilaayat aur roohaaniyat ke buland darje par pahuncha diya.

Jab Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه Kalpi se rukhsat hone waale the tab Hazrat Shaah Fazlullāh ne Aap ko khilaafat aur Qaadri, Chishti, Naqshabandi, Suharwardi aur Madaari silsila ki ijaazat ata farmai. Aur farmaaya ke “Tumhaari zaat tumhari baargaah me aane waalo ke liye zariya e faiz o barkat hogi aur jo tumhare paas aayega use Kalpi aane ki zaroorat nahi rahegi.”

1111 Hijri se 1117 Hijri tak Aap Mujaahida karte rahe.

Ek martaba Huzoor Rasool-Allāhaur Hazrat Ghauṡ-ul-aazam رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ke khwaab me tashreef laaye aur Aap ko Marehra me qayaam karke aabaad karne ke liye farmaaya.

1118 Hijri (1706 A.D.) me Mughal baadshaah Muhiy-ud-deen Aurangzeb ke zamaane me Aap Marehra tashreef laaye aur Aap ke liye ek makaan banaaya gaya. Phir Aap ne apne pariwaar ko Marehra bula liya. Aap ke qadmo ki barkat se aahista aahista log waha aakar basne lage.

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه Sultaan-ul-Aashiqeen, Sultaan-ul-Munaazireen, Sayyid-ul-Mutakalimeen aur Qudwatul Waasileen the. Aap ne 26 saal tal Roza rakha. Aap sirf ek khajoor se roza iftaar karte. 3 saal tak roz Aap sirf chaawal ka paani lete the.

Aap puri raat jaagkar Ibaadat aur Muraaqaba karte. Namaaz e Fajr ada karne ke baad Ishraaq tak Wazeefa karte. Namaaz e Chaasht ke baad Madrasa me talba ko taaleem dete. Namaaz e Zohar ada karne ke baad Asr tak Tilaawat e Qur’ān karte. Asr aur Maghrib ke darmiyaan aap zaayereen ko faiz ata farmaate. Kai baar Aap aalam e wajd me aa jaate aur hafto tak yehi haal jaari rehta jis me aap dunya ki sab cheezo se be-khabar ho jaate.

Tasannif :

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ki likhi hui mash’hoor kitaaben:

  1. Risaala Chahaar Anwaar
  2. Risaala Sawaal o Jawaab
  3. Awaarif Hindi
  4. Maṡnawi Riyaaz-ul-Aashiqeen
  5. Wasiyat Naama
  6. Biyaaz-e-Baatin
  7. Biyaaz-e-Zaahir
  8. Irshaad-us-Saalikeen
  9. Risaala Takseer
  10. Tafseer Soorah al-Faatiha.

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ne ‘Ishqi’ takhallus ke saath bahot saari Nazmen likhi hain.
Jin me ‘Ya Shafi-ul-Waraa Salaamun alaik, Ya Nabi-ul-Hooda Salaamun alaik’ mash’hoor hai.
‘Deewaan e Ishqi’ me Aap ki Nazmo ka majmua hai.

Aqwaal:

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه irshaad farmaate hain :

(1) Jihaad e akbar yeh hai ke apne nafs ke saath jung karte raho.
(2) Hamesha ilm aur amal ko pasand karo aur tumhe jo ilm mila ho us par guroor mat karo.
Hamesha ye ummeed aur khwaahish rakho ke ALLĀH ta’ala ke fazl wa taufiq se aur Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se ilm haasil karoge.

(3) Hamesha aise logo ki mulaaqaat karo jo deen o eimaan ka libaas se aarasta ho.
Aise logo se milne se parhez karo jo dunyaawi lahaw o laeeb (khel tamaasha) me waqt barbaad karte ho.

(4) Apni zaroorato ke liye haakimo ke paas mat jaao.

(5) ALLĀH ke bando se narmi se guftagu kiya karo.

Hazrat Aurangzeb Aalamgeer Rahmatullāhi Alaihi, Bahaadur Shaah, Farkh Seer, Jahaandaar aur Shaah Muhammad Saleem jaise Sultaan aur baadshaah ba-adab Marehra shareef aakar Aap se faiz haasil kiya karte the.

Apne Khalifa Shaah Roohullāh ko bhejkar Nawaab Khair Andesh Khan Alamgeeri ke paas se Huzoor Nabe e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ke mooe mubarak Marehra shreef me laaye.

Is ke ilaawa dusre tabarruqaat jaise Hazrat Ali Radiy-Allāhu Ta’ala Anhu ka khirqa mubarak aur Hazrat Imaam Husain Radiy-Allāhu Ta’ala Anhu ke mooe mubarak bhi khaanqaah e Marehra me maujood hain.

Ek baar Aap ne ek durwesh ko Hazrat Saabir piya ke urs ke mauqe par Kaliyar bheja. Raaste me use ek shakhs mila aur use 7 daane (beads) aur ek amaama diya aur farmaaya “Yehi Payaam Yehi Risaala Kahiyo Barkaat Marehra Waala.” Us ne Hazrat ko ye cheezen dekar us shakhs ke baare me puchha to aap ne bataaya ke “Woh Hazrat Bu Ali Shah Qalandar Rahmatullāhi Alaihi the aur ye tabarruqaat ka tohfa Huzoor Ghauṡ-ul-aazam Radiy-Allāhu Ta’ala Anhu ki taraf se ata kiya gaya hai.”

Aap ki Karaamat:

Shuja’at Khan naami Nawaab Muhammad Khan ke ek khaadim Aap ka mo’ataqeed tha aur har saal Rabi-ul-aakhir me jab Hazrat Ghauṡ e aazam Radiy-Allāhu Ta’ala Anhu ka Urs shareef Marehra me manaaya jaata tab woh us me haazir hota tha. Ek baar woh Ajmer shareef me tha aur urs me haazir hone ke liye woh Ajmer se rawaana hua. Jab woh Marehra ke qareeb pahuncha to us ne ek noor dekha, Jise dekhkar us ke dil ka aalaam badal gaya aur us ne durweshi ikhtiyaar karne ka faisla kiya. Us ne dil me socha ke jab Saahib-ul-barkaat se mulaaqaat ho tab agar woh mujhe kuchh khaana ata farmaaye to mera yaqeen aur mazboot ho jaaye.

Jab woh Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ki baargaah me pahuncha to Asr ka waqt ho gaya tha aur Hazrat wuzu ke liye baahar tashreef laaye the aur Aap ke haath me roti, ghosht aur methi the. Jaise hi Aap ne Shuja’at Khan ko dekha to Aap ne woh khaana use diya aur farmaaya “Tumhe durwesh banne ki zaroorat nahi. Baghair durwesh bane hi ALLĀH ke bande tum se faiz haasil karte hain.” Yeh sunkar Shuja’at Khan ko yaqeen ho gaya ke Aap a’ala darje ke wali hain.

Hazrat Ghauṡ-ul-aazam رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Aap ko bashaarat di thi ki “Tumhare khaandaan se bai’at karne waale mureedo ki shafa’at ki zimmedaari meri hai. Tumhare mureedeen aur tumhare khaandaan se ta’alluq rakhne waalo ko jannat me le jaane tak main jannat me nahi jaaunga.”

Pariwaar:

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ka nikaah Wafiyah Bibi binte Sayyed Maudood Bilgrami se hua. Aap ke 2 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade:
(1) Burhaan-ul-Waasileen Sayyed Shaah Aale Muhammad,
(2) Asad-ul-Aarifeen Sayyed Shaah Najaatullāh

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه Hazrat Shaah Fazlullāh Kalpawi Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ‘Qaadri Barkaati’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa:

(1) Hazrat Shaah Sayyed Aale Muhammad Marehrawi Rahmatullāhi Alaihi

(2) Hazrat Shaah Abdullāh Rahmatullāhi Alaihi

(3) Hazrat Shaah Meem Rahmatullāhi Alaihi

(4) Hazrat Shaah Mushtaaq-ul-Barkaat Rahmatullāhi Alaihi

(5) Hazrat Shaah Mannal Laahu Rahmatullāhi Alaihi

(6) Hazrat Shaah Raaju Rahmatullāhi Alaihi

(7) Hazrat Shaah Hidaayatullāh Rahmatullāhi Alaihi

(8 ) Hazrat Shaah Roohullāh Rahmatullāhi Alaihi

(9) Hazrat Shaah Aajiz Rahmatullāhi Alaihi

(10) Hazrat Shaah Nazar Rahmatullāhi Alaihi

(11) azrat Shaah Saabir Rahmatullāhi Alaihi

(12) Hazrat Shaah Jamiat Rahmatullāhi Alaihi

(13) Hazrat Shaah Husain Biraagi Rahmatullāhi Alaihi

(14) Hazrat Shaah Saadiq Rahmatullāhi Alaihi.

Aap ka Wisaal:

Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه ka wisaal 10 Moharram 1142 Hijri (1729 A.D.) Subah Saadiq ke waqt 71 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Shah Barkatullah Marehrawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Imaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *