Biography of Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه

Laqab :

Sultaan-e-Salaateen-e-Mashaa’ikh.

Aap ki Wiladat:

Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ki wilaadat 352 Hijri (963 A.D.) me hui.
Aap ke waalid ka naam Ahmad bin Salmaan hai.

Hazrat Baayazeed Bastami rahmatullāhi alaihi ka dastoor tha ke Saal me ek martaba Mazaarate Shohada ki ziyarat ke liye tashreef le jaate.

Jab Hazrat Kharaqan pahunchte to fiza me munh upar uthakar is tarah saans khinchte jaise koi khushboo sungh rahe ho. Ek Martaba mureedeen ne puchha ke “Aap kis cheez ki khushboo sunghte hain? Hume to kuchh mehsoos nahi hota.” Hazrat ne farmaaya “Mujhe sarzameen e Kharaqan se ek Marde haq ki khushboo aati hai jis ki kunniyat Abul Hasan aur naam Ali hoga aur woh Kaasht-kaari [kheti] ke zariye rizqe halaal se apne ahlo ayaal ki parwarish karega aur us ko meri tarah zyada martaba haasil hoga.”

Aap ke Ustad:

Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ne Hazrat Shaikh Abul Hasan Hankari rahmatullāhi alaihi se ta’aleem aur faiz haasil kiya.

Aap irshaad farmaate hain:

Zohad ek baadshaah hai jo sirf khaali [paak] qalb me sukoonat pazeer hota hai.

Aap ke mash'hoor shaagird :

Hazrat Khwaja Abu Saeed bin Abul Khair, Hazrat Abu Ali Husain ibn Seena, Sultaan Mahmood Ghaznawi.

Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه Shaafi mazhab ke muqallid the.

Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ne apne darwaaze par likh diya tha ke “Jo koi bhi is makaan par aaye use us ke eimaan ke baare me mat puchho magar use khaana khilaao, Kyun ki jise bhi ALLĀH ta’ala ne zindagi di hai wo Abul Hasan ke dastarkhwaan par khaana khaane ka mustahiq hai.”

Ek martaba Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ke ghar me kuch mehmaan aaye. Aap ki biwi ne aap se kaha “Ghar me chand roti ke siwa kuchh bhi nahi hai.” Aap ke farmaaya “Un rotiyo par ek kapda daal do aur zaroorat ke mutaabiq nikaalte rehna.” Aap ke farmaan par amal kiya gaya aur sab logo ne pait bhar ke khaana khaa liya. Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ke khaadim ne jab kapda hata diya to dekha ke ek bhi roti nahi thi. Aap ko pata chala to Aap ne farmaaya “Agar tum yeh galti na karte to rotiya kabhi khatm na hoti.”

Jab Somnath ka Raaja ka zulm badhne laga tab Hazrat Khwaja Sayyed Abul Hasan, Ali Iraqi urfe Haaji Mangroli Shaah ne rahmatullāhi alaihi ne Sultaan Mahmood Ghaznawi ko khat likhkar khabar di.

Zil Qa’ada 416 Hijri (December 1025 A.D.) me Sultaan Mahmood Ghaznawi apne lashkar ke saath Somnath pahunche, Lekin fatah na mili. Sultaan ne kai baar Somnath par chadhaai (hamla) kiya, Lekin fatah na mili.

Aakhir me 418 hijri (1027 A.D.) me unho ne apne peer Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ka kurta mubarak mangwaya aur ALLĀH ta’ala se us ke waseele se musalmano ki fateh ki dua ki to ALLĀH ta’ala ne Somnath par unhe fateh ata farmai

Baad me jab Sultaan Mahmood Ghaznawi Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه  se mile to Aap ne puchha ke “Mere kurte ka kya kiya?”

Sultaan ne bataaya ke “Maine us ke waseele se dua mangi to ALLĀH ta’ala ne musalmano ko Somnath par fateh ata farmai.”

To Hazrat ne farmaaya ke “Tum ne bahot kam maanga, Agar tum un Kaafiro ke liye imaan ki dua maangte to in shaa Allāh Somnath ke ilaaqe ke tamaami ghair muslimo ko daulate imaan naseeb ho jaati.

Aqwaal:

Aap irshaad farmaate hain:

(1) Huzoor Nabi e kareemke waariṡ wohi hai jo us ke naqshe qadam par chalta hai aur apne naama e aamaal me kabhi siyaah nishaan nahi banaata.

(2) Soofi woh hai jise din me sooraj ki zaroorat nahi hoti aur raat me chaand ki zaroorat nahi hoti. Asli tasawwuf to kho jaana hai ya’ani khud ke wajood ki zaroorat na ho kyun ki ALLĀH ki zaat ke siwa kisi ke wajood zaroori nahi.

Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ke saahabzaade me Hasan aur Ahmad mash’hoor hain.

Aap Hazrat Shaikh Abul Abbaas Ahmad bin Mohammad al-Qassaab Amoli rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.

Hazrat Abul Muzaffar Turki al-Tusi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Hazrat Khwaja Baayazeed Bastami rahmatullāhi alaihi [Wisaal 11 Sha’abaan 260 Hijri (874 A.D.)] se Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ko Uwaisi tareeqe se khilaafat mili hai.

Aap ke khulfa :

(1) Hazrat Khwaja Abdullāh Ansaari rahmatullāhi alaihi (Herat),

(2) Hazrat Khwaja Hasan al-Khudaqali rahmatullāhi alaihi,

(3) Hazrat Khwaja Abul Qaasim Gurgani Faarmadi rahmatullāhi alaihi (Uwaisi).

Aap ka wisaal:

Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه ka wisaal 10 Moharram 425 Hijri (6 December 1033 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Kharaqan (Simnan, Iran) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Abul Hasan Ali al Kharaqani رحمة الله عليه  aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Imaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *