Biography of Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti | Download Free PDF

Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti

Laqab:

Sultaan-ul-Mashaa’ikh.

Aap ki Wiladat:

Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه ki wilaadat Patan (Gujarat) me hui.

Aap ke waalid ka naam Sayyed Mahmood bin Umar Uraizi rahmatullāhi alaihi hai.

Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه Husaini saadaat hain aur Hazrat Sayyed Ali al-Uraizi bin Imaam Ja’afar Saadiq rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.

Aap Ki Talimat:

Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه ne apne chacha Hazrat Makhdoom Sayyed Husain Khung sawaar Uraizi Chishti rahmatullahi alaihi se jumla uloom o funoon ki ta’aleem haasil ki.

Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه ne wisaal se pehle Aap ko apna jaanasheen muqarrar farmaaya aur farmaaya “Beta Haamid! Yeh yaad rakhna ke Durwesh ke liye behtar yeh hai ke woh tanhai ikhtiyar kare, jab tak koi khaas zaroorat na ho hujre se baahar na jaaye. Agar kisi khaas zaroorat se baahar jaana ho to aabaadi se door qayaam kare.”

Aap tamaam umr Patan me rehkar khidmate deen karte rahe aur logo ko ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.

Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه bade aabid o zaahid buzurg the. Akṡar waqt ibaadat o riyaazat aur mujaahida wa muraqaba me guzaarte.

Aap apne waqt ke ahle tareeqat ke muqtada aur peshwa the.

Ek martaba Hazrat Shaikh Azeez Mutawakkil lillāh rahmatullāhi alaihi ne Hazrat Shaikh Fareed-ud-deen Ganj Shakar رحمة الله عليه  ke urs mubarak par aap ko da’awat nama bheja. Aap ne maazrat ke saath farmaaya ke “Peer o murshid ki wasiyat ke khilaaf amal karna ganwaara nahi.”

Hazrat Shaikh Azeez Mutawakkil lillāh ne Hazrat Shaikh Rukn-ud-deen Kaane Shakar رحمة الله عليه ko Aap ke na aane ki wajah batai to Hazrat ne farmaaya ke “Mehfil Shaher ke bajaay aabaadi se door muna’aqid karo.” Chunanche yeh tay kiya gaya ke Mehfil e Urs jungal me hogi. Jab aap ko dobaara khabar di gayi to Aap ne da’awat qubool ki.

Rawaana hone se pehle Aap ne apne chhote bhai Hazrat Sayyed Ya’aqoob Chishti rahmatullāhi alaihi ko bulaaya ana janasheen aur sajjaada nasheen muqarrar karke tabarrukaat ata kiye.

Mehfil me shirkat ke dauraan Aap ne farmaya “Agar kisi ko ishq o mohabbat ka koi waaqiya yaad ho to sunao.” Ek shakhs ne kaha “Ek kalaal apni biwi se bahot mohabbat karta tha. Magar us kalaal ki koi aulaad nahi thi. Ek din uski biwi ne kaha ke aap dusri shaadi kar lo taake nasl aage badhe. Shohar ne kaha ke main tumhari mohabbat me kisi aur ko shareek karna nahi chaahta. 

Biwi ne kaha ke jab kisi ki mohabbat kamaal ka darja haasil kar leti hai to phir dusre ki mohabbat hargiz dakhal nahi de sakti. Us shakhs ne dusri shaadi kar li. Dusri biwi ki mohabbat us par aisi ghaalib aai ke wo pehli biwi ko bilkul bhul gaya. Magar pehli biwi ne kabhi shikayat nahi ki, sabr se kaam liya. Ek din jis makaan me pehli biwi rehti thi us me aag lag gaye. Kalaal ne naukaro ko hukm diya ke jaldi saara saamaan makaan se baahar nikaalo. Pehli biwi ke ghar me ek gadha baandha hua tha. 

Us shakhs ne apni pehli biwi ko naam le kar aawaaz di aur kaha ke gadhe ki rassi ko pakad kar baahar aao. Aurat ne gadhe ki rassi pakadkar baahar aane lagi. Gadha to baagh gaya lekin aurat nikal na saki aur jal gai. Marne se pehle us aurat ne khush hokar kaha ke muddat ke baad hi sahi magar mera shohar mera naam zabaan par to laaya.”

Yeh qissa sunkar Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه ne farmaane lage “Insaan ko mohabbat aur farmabardaari me kisi tarah bhi is aurat se kam na hona chaahiye.”

Phir Aap ne woh sher sunaane ke liye kaha jo Hazrat Khwaja Sayyed Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi ne apne wisaal ke pehle suna the. Sher padhne waale ne yeh sher sunaaya

“Kushtagaan-e-khanjar-e-tasleem raa, Har zamaan az ghaib jaan-e-deegar ast.’

[Mafhoom : “Jo log tasleem [ita’at] ke khanjar se fana ho jaate hain, Wo ghaib se nai hayaat paate hain.”]

Is sher ko sunkar Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه wajd me aa gaye. Asr ke waqt Aap hosh me aaye aur jama’at ke saath namaaz padhi aur chothi rak’at ke dusre sajde me aap ka inteqaal hua. Aap ko Patan laaya gaya aur Hazrat Makhdoom Sayyed Husain Khung sawaar Chishti Rahmatullāhi Alaihi ke roza mubarak me dafn kiya gaya.

Aap ki mureedi aur khalifafat:

Aap ke khalifa :

Hazrat Sayyed Ya’aqoob Chishti rahmatullāhi alaihi.

Aapka Wisaal:

Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه ka wisaal 6 Moharram 814 Hijri (30 April 1411 A.D.) ko hua.

Aap Hazrat Makhdoom Sayyed Husain Khung sawaar Chishti rahmatullāhi alaihi ke bagal me dafn kiya gaya.

Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه ka mazaar Patan (Gujarat) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ke sadqe me Aur Hazrat Sayyed Haamid bin Mahmood Uraizi Chishti رحمة الله عليه aur Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se

Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke satah nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen. 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *