Biography of  Hazrat Allama Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab:

Mufti e aazam e Hind, Taajdaar e Ahle Sunnat, Shams-ul-Aarifeen, Maahtaab e Rushd o Hidaayat.

Aap ki wiladat:

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ki wilaadat 22 Zil Hijjah 1310 Hijri (18 July 1892 A.D.) ko Bareilly me hui.

Aap ke waalid ka naam Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan bin Maulana Naqi Ali Khan رحمة الله عليه aur waalida ka naam Sayyeda Irshaad Beghum bint Shaikh Fazl Husain hai.

26 Rabi’ ul aakhir 1314 Hijri ko Aa’la Hazrat ne Aap ki Bismillāh khwaani ki

Aap ki Talimaat:

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne apne bade bhai  Hujjat-ul-Islaam Maulana Haamid Raza Khan ke paas Qur’an ki ta’aleem haasil ki. Is ke baad Maulana Shaah Raham Ilāhi Manglori, Maulana Sayyed Basheer Ahmad Aligadhi aur Maulana Zahur ul Husain Faarooqi Rampuri ke paas ta’aleem haasil ki. Aur apne waalid Imaam Ahmad Raza Khan ke paas bhi fiqh aur dusre uloom ki ta’aleem haasil ki.

Aap Qur’an, hadeeṡ, tafseer, fiq’h, sarf, nahaw, tajweed, balaaghat, kalaam, falsafa, tasawwuf, mantiq, seerah, taareekh, aqaa’id, riyaazi, tauqeet, jaafar aur haayat jaise bahot saare uloom ke maahir the.

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne 13 saal ki umr me Fatawa dena shuru kiya.

Ek baar Aap Daar ul Ifta gaye to dekha ki Hazrat Maulana Zafar-ud-deen Bihari koi fatawa likh rahe the aur hawale ke liye almari me se Fatawa Razawiya nikal rahe the. Ye dekhkar aap ne farmaaya ‘Kya aap jawaab ke liye Fatawa Razawiya par munhasar hain?’ Unho ne kaha ‘Theek hai, Tum bagair kitaab dekhe is ka jawaab do.’

Wo ‘Raza’at’ ke baare me mas’ala tha aur aap ne uska sahi jawaab likhkar diya. Wo fatawa Aa’la Hazrat ke paas tehqeeqaat ke liye bheja gaya. A’ala Hazrat use padhkar khush hue aur us par apne dastkhat kiye.

Phir Aa’la Hazrat ne aap ke liye ‘Abul Barkaat Muhiy-ud-deen Jeelaani Aale Rahmān urf Mustafa Raza’ ki mohar banakar di.

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne 50000 se zyada fatawa jaari kiye.

Aap 1328 Hijri (1910 A.D.) me Daar-ul-uloom Jaamia Manzare Islaam, Bareilly me Mudarris bane aur is idaare me 27 saal tak rahe.

Aa’la Hazrat ne Bareilly me Daar-ul-Qaza (Muslim Law Court) shuru kiya aur Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi ko us me Qaazi banaaya aur Huzoor Mufti e Azam e Hind aur Hazrat Burhaan e Millat Maulana Mufti Burhaan-ul-Haq Jabalpuri ko un ki madad ke liye rakha.

Pariwaar

1329 Hijri me Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ka Nikaah Bibi Faatima Jaan begum binte Mufti Muhammad Raza Khan se hua.

Aap ka 1 saahabzaada Anwar Raza (jis ka inteqaal 18 mahine ki umr me hua) aur 6 saahabzaadiya hain.

Sab se badi saahabzaadi Sarkaar beghum ka nikaah Hazrat Mufassir e aazam Ibrāheem Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi ke saath hua

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه har kaam shariat ke mutaabiq karte the aur har sunnat e Rasool ko apnaate the aur logo ko bhi is ke liye taaleem dete the.

Ilme deen sikhne wale aur masaa’il jaanne ke liye aane walo ko hamesha sahi jawaab dete the, chahe bada ho ya chhota.

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه haq baat kehne me kisi se darte nahi the. Aur har buri bid’at ko radd karke logo ko us se door rehne ke liye kehte the. Aap kabhi Qibla ki taraf pair nahi karte the aur us jaanib thunkte bhi nahi. Aap hamesha ba-jama’at namaaz padhte the, Bareilly me ho ya safar me.

Qabrastan me jaate to foran Dua e maghfirat karte. Kisi ki mayyat me jaate to kabhi bhi waha khaana nahi khaate. Logo ko achhe islaami naam rakhne ke liye kehte jaise Abdullāh, Abdur Rahmān, Muhammad aur Ahmad.

Kisi ko koi gham ho to use sabr ki talkeen karte aur ALLĀH ko yaad karne ke liye kehte. Logo ko mustaqbil jaanne ya batane se mana farmaate the. Tamaam zindagi Mehfil e Milaad wa Mehfil e Zikr me ishq aura dab ke saath saamil hote rahe.

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه hamesha ek ghulaam ki tarah Aale Rasool ki har khidmat karte rehte.

Aur ulama ki ta’azeem aur khidmat karte. 1399 Hijri (1979 A.D.) me ek martaba ek Sayyeda khatoon apne bete ke saath ilaaj ke liye aai. Garmi ka mausam tha aur aap aaram farma rahe the. Us khatoon ne aap ke khaadimo se kaha ‘Agar Huzoor mufti e aazam jaag rahe ho to main un se milna chaahti hu.’ Magar kisi ne Aap ko khalel pahunchaane ki himmat nahi ki. Wo aurat apne bete ko lekar waapas jaane lagi aur kehne lagi ‘Kya main ye samjhu ki yaha Saadaat ki baat bhi nahi suni jaati.’

Jab Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne ye suna to foran apne khaadim ko us sayyeda ko bulaane ke liye kaha. Us aurat ne apne bete ko aap ke paas bheja. Aap ne bahut mohabbat aur ta’azeem ke saath us ladke se uska naam puchha aur apna haath uske sar par rakha. Aur apne khaadim se us ke liye saib lane ke liye kaha. Aur phir us Sayyeda khaatoon ko parde me hi apni baat bataane ke liye kaha. Phir us ko taaweez banakar diya.

Ek baar Hazrat Peer Ala-ud-deen Taahir Qadri Rahmatullāhi Alaihi Bareilly shareef aaye to Aap ta’azeem aur adab ke saath un ke peechhe nange paanv chalte the.

Hazrat Sadr-ush-Shariah Maulana Amjad Ali Aazmi al-Qadri Aa’la Hazrat ke urs ke mauqe par Bareilly Shareef aate tab aap un ke istaqbaal aur ta’azeem ke liye Railway station tak jaate

Aap ka Hajj:

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne 3 martaba Hajj ada kiye :

(1) 1323 Hijri (1905 A.D.) me, (2) 1364 Hijri (1945 A.D.) me, (3) 1391 Hijri (1971 A.D.) me.

Aap ki Karaamat :

(1) Ek baar Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه Faizabaad gaye tab Hazrat Maulana Abdul Qayyoom Muzaffarpuri apne saath Aashiq Ali naami ek shakhs ko lekar Aap ke paas bai’at ke liye aaye.
Aap ne us se farmaaya “Kaho ki maine apna haath Ghauṡ e aazam ke haath me diya.” Woh bola “Maine apna haath Mufti e aazam ke haath me diya.”

Aap ne phir se farmaaya “Kaho ki maine apna haath Ghauṡ e aazam ke haath me diya.” Woh bola “Maine apna haath Mufti e aazam ke haath me diya hai. Abhi thodi der pehle aap ne mujhe gunaaho se tauba karwai hai. Ab main jhut kaise bol sakta hu.”

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne use samjhaaya “Bai’at ka yehi tareeqa hota hai. Tum mujh se bai’at kar rahe ho to silsile se hokar ye Ghauṡ e aazam tak pahunchta hai.” Magar woh nahi maana.

Mufti e Azam jalaal me aa gaye aur us ke sar par apna amaama shareef daalkar us se farmaaya “Tum yeh kyun nahi keh rahe ho? Kaho ki maine apna haath Ghauṡe aazam ke haath me diya.” Us ne foran kaha “Maine apna haath Ghauṡe aazam ke haath me diya.” Woh ye alfaaz lagataar kehta raha yaha tak ki wo be-hosh ho gaya.

Jab use hosh aaya to Maulana Abdul Qayyoom ne use kone me le jaakar puchha ‘Kya hua tha?’ Us shakhs ne kaha ‘Jaise hi Hazrat ne apna amaama mere sar par rakha to maine dekha ki Huzoor Ghauṡe aazam mere saamne hain aur keh rahe hain ki Aashiq Ali, Mufti e aazam ke haath mere haath hain. Wo mere khalifa hain. Kaho ki maine apna haath Ghauṡe aazam ke haath me diya. Jab maine ye suna to main kehne laga ki maine apna haath Ghauṡe aazam ke haath me diya aur jab Ghauṡe aazam rukhsat hue to main behosh ho gaya.’

(2) Maghribi Dinajpur Islampur ilaaqe me ek shakhs ne Huzoor Mufti e aazam Rahmatullāhi Alaihi ko mad’oo kiya aur bahot ehtemaam kiya. Jab Hazrat aaram ke liye lete to wo shaks raat bhar jaagta raha. Hazrat ne us raat Tahajjud na padhi. Azaan e Fajr ke baad Mufti Mohammad Shareef saahab Amjadi ne hasbe dastoor Hazrat ko jagaaya to Hazrat uthe aur phir ba-jama’at namaaze Fajr padhi. 

Nashte ke baad Hazrat waha se rukhsat ho gaye. Is ke baad us shakhs ne ye kehna shuru kar diya ke ‘Bahot mash’hoor Tha Ke bahot bade Buzurg hain. Maine to un me buzurgi ki koi baat na dekhi. Unho ne Tahajjud tak nahi padhi.’

Wo Ataab ka Shikaar Hua. Us ke ghar me aag lag gai. Saara ghar aur maal o saamaan jal gaya. Ghar me 1000-1000 ke note the jalkar raakh ho gaye. Sirf badan ke kapde bache. Is tabaahi se wo paagal jaisa ho gaya, Atraaf ke ulma ne use tambeeh ki ke ‘Tune ek aarife kaamil ki shaan me gustakhi ki hai. Ye usi ki saza hai. Ab use hosh aaya magar kya karta. Dil hi dil me tauba ki.

Ittefaaq se saal bhar ke baad Huzoor Mufti e aazam Rahmatullāhi Alaihi us atraaf me tashreef le gaye to us ne haazir hokar maafi muangi. Aur phir Hazrat ko apne ghar le gaya aur mureed hua. Us ke baad us ki saari pareshaniya aur tang-dasti door ho gai aur wo khush-haal ho gaya.

Aap ka Fatwa:

General Ayyoob Khan ki hukoomat ke dauraan Pakistan me har mahine aur khaas kar Shawwaal (Eid-ul-Fitr) aur Zil Hijja (Eid-ul-Ad’ha) ke chaand ka elaan karne ke liye Rooyat Hilaal Committee banai gai thi.

Ek baar 29 Ramazaan ko ek hawaai jahaaz aasman me ud raha tha aur us me se chaand dekhkar Hilaal Committee ne chaand ho jaane ka elaan kar diya. Magar Pakistan ke Sunni ulama ne ise sahi maanne se inkaar kiya. Unho ne har mulk ke ulema ke paas iske liye sawaal naama bheja.

Huzoor Mufti e aazam ke paas jab ye aaya to Aap ne foran likhkar diya ‘Shariat me chaand dekhkar Roza rakhne ka ya Eid manaane ka hukm hai. Jaha chaand na dikhe waha ke Qaazi ko tehqeeqaat karke is ke baare me faisla dena chaahiye. Chaand zameen par se ya zameen se judi hui jagah se dikhna chaahiye. Aur hawaai jahaaz se chaand dekhna galat hai kyun ki chaand ghuroob hota hai, fana nahi hota. Isi liye kabhi 29wi ko dikhta hai, kabhi 30wi ko. Aur chaand dekhne ke liye hawaai jahaaz lekar jaana ho to itni bulandi par se 27wi aur 28wi ko bhi chaand dikh sakta hai. To is soorat me kya ye maan len ke 27wi ya 28wi ko chaand dikh gaya. Koi bhi aaqil is baat ko qubool nahi kar sakta. Lihaaza is soorat e haal me kya ye munaasib nahi hoga ki 29wi ko chaand dekha jaaye?’

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ka ye fatawa Pakistan ke akhbaaro me bataaya gaya. Is ke baad Hilaal Committee ko barkhaast kar diya gaya. Aap ke bahot saare shaagirdo ne Hindustan aur dusre mulko me Islaam ki isha’at ka kaam jaari rakha.

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ke mash'hoor shaagird :

(1)  Muhaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Muhammad Sardaar Ahmad

(2) Faqeeh e Asr Maulana E’ajaaz Wali Khan

(3) Raees-ul-Atqiya Maulana Mubeen-ud-deen Amrawi

(4) Faqeeh e aazam e Hind Maulana Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi

(5) Maulana Muhammad Rehaan Raza Khan Bareilwi

(6) Taaj-ush-Shariah Faqeeh e Islaam Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Azhari Bareilwi

(7) Mufti Sayyed Muhammad Afzal Husain

(8) Maulana Qaazi Abdul Raheem Bastawi

(9) Maulana Mufti Burhaan-ul-Haq Jabalpuri.

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ke Khulfa Hindustan me :

(13) Hazrat Allama Qaazi Sayyed Shams-ud-deen Ja’afari al-Husaini Jawanpuri Rahmatullāhi Alaihi

(14) Hazrat Haaji Mubeen-ud-deen Mohaddeeṡ Amrohi Rahmatullāhi Alaihi

(15) Hazrat Shaikh-ul-Hadeeṡ Allama Abdul Mustafa Azhari Amjadi Rahmatullāhi Alaihi

(16) Hazrat Khaleel-ul-Millat Mufti Muhammad Khaleel Khan Barkaati Rahmatullāhi Alaihi

(17) Hazrat Soofi Muhammad Iqbal Razawi Rahmatullāhi Alaihi

(18) Hazrat Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi Mohaddeeṡ Rahmatullāhi Alaihi

(19) Hazrat Bahr-ul-Uloom Mufti Abdul Mannaan Rahmatullāhi Alaihi

(20) Hazrat Maulana Mushtaaq Ahmad Nizaami Rahmatullāhi Alaihi

(21) Hazrat Ustaaz-ul-Ulama Maulana Muhammad Jahaangeer Fatehpuri Rahmatullāhi Alaihi

(22) Hazrat Mufti Sayyed Afzal Husain al-Qaadri Rahmatullāhi Alaihi

(23) Hazrat Maulana Shaah Muhammad Ibrāheem Khushtar Siddeeqi Razawi Rahmatullāhi Alaihi

(24) Hazrat Shaikh ul-Hadeeṡ Maulana Abdul Qayyoom Hazarwi Rahmatullāhi Alaihi

(25) Hazrat Mohaddeeṡ e kabeer Maulana Zia-ul-Mustafa Qaadri Amjadi Mohaddeeṡ Rahmatullāhi Alaihi

(26) Hazrat Faqeeh e aazam e Hind Maulana Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi Rahmatullāhi Alaihi

(27) Hazrat Qaazi Abdur Raheem Bastawi Rahmatullāhi Alaihi

(28) Hazrat Maulana Mufti Muhammad Husain Mohaddeeṡ Rahmatullāhi Alaihi

(29) Hazrat Mufti Sayyed Abdul Aleem Qaadri (Mumbai)

(30) Hazrat Maulana Muhammad Ibrāheem Turki Rahmatullāhi Alaihi (Rajkot, Gujarat)

(31) Hazrat Maulana Qaari Muslih-ud-deen Siddeeqi Amjadi Mohaddeeṡ Rahmatullāhi Alaihi (Karachi / Pakistan)

(32) Hazrat Allama Maulana Muhammad Zareef Faizi Chishti Rahmatullāhi Alaihi (Ahmadpur Sharqia, Punjab / Pakistan)

(33) Hazrat Allama Mufti Manzoor Ahmad Faizi Chishti Rahmatullāhi Alaihi (Ahmadpur Sharqia, Punjab / Pakistan)

(34) Hazrat Mujaahid-e-Ahle-Sunnat Maulaana Allama Sayyed Shaah Turaab-ul-Haq Qaadri Jilani Rahmatullāhi Alaihi (Pakistan)

(35) Hazrat Mufakkir e Islaam Allama Maulana Qamar-uz-zama Aazmi

(36) Hazrat Ashraf-ul-Fuqaha Mufti Mujeeb Ashraf Nagpuri

(37) Hazrat Allama Maulana Mufti Abdul Haleem Siddeedi Nagpuri

(38) Hazrat Mufti Azeez-ul-Hasan

(39) Hazrat Dr. Sayyed Shaah Muhammad Ameen Miyan Barkaati Marehrawi (Ph.D.)

(40) Hazrat Dr. Sayyed Shaah Mufti Ghulaam Sarwar al-Husaini Rahmatullāhi Alaihi (Ph.D. Arabic Grammer)

(41) Hazrat Siraaj-e-Millat Allama Sayyed Siraaj Azhar Qaadri Razawi Rahmatullāhi Alaihi (Mumbai)

(42) Hazrat Allama Mufti Sayyed Shaahid Ali Rampuri

(43) Hazrat Shehbaaz-e-Deccan Maulana Qaari Muhammad Mujeeb Ali Qaadri Razawi

(44) Hazrat Allama Abdul Sattaar Hamadani

(45) Hazrat Sayyed Tasneem-ul-Qaadri

(46) Hazrat Raaqim-ul- Huroof Maulana Qaari Muhammad Amaanat Rasool

(47) Hazrat Mufti Sayyed Muhammad Afzal Husain

Arab mulk me :

(1) Hazrat Qutb-ul-Waqt Sayyed Ameen Qutbi Makki Rahmatullāhi Alaihi

(2) Hazrat Shaikh Sayyed Abbaas Alawi al-Hasani Maaliki Rahmatullāhi Alaihi

(3) Hazrat Ustaaz-ul-Ulama Shaikh Noor Muhammad Saif Makki Rahmatullāhi Alaihi

(4) Hazrat Sayyed Muhammad Alawi al-Maaliki Hasani Mohaddeeṡ Rahmatullāhi Alaihi

(5) Hazrat Maulana Shaikh Fazl-ur-Rahmān Qaadri al- Madani Rahmatullāhi Alaihi

(6) Hazrat Shaikh Sayyed Muaz Fat’hullūh Husaini al-Shaami Rahmatullāhi Alaihi

South Africa me :

(1) Hazrat Maulana Muhammad Ahmad Muqaddam Rahmatullāhi Alaihi

(2) Hazrat Maulana Abdul Hameed Palmer al-Qaadri Noori Rahmatullāhi Alaihi

(3) Hazrat Khaadim-ul-Ilm Shaikh Abu Muhammad Abdul Haadi Qaadri Razawi Rahmatullāhi Alaihi.

Europe me :

Hazrat Ghufraan Siddeeqi (America)

Hazrat Mawlana Badrul Qaadri (Holland)

Aap likhi hui Mashoor kitabe:

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ne taqreeban 40 kitaaben likhi hain. Jin me se ye mash’hoor hain:

(1) Fataawa Mustafawiya (2 Jild)

(2) Tanweer ul Hujjat bi Tawaaril Hajjah

(3) Tard-ush-Shaitaan

(4) Hujjatul Da’ira bi Jawaabil Hujjatul Hazira

(5) Al-qaul ul Ajeeb fi Ajoobatit Tasweeb

(6) Masaa’il e Sima

(7) Adkhal-ul-Insaan

(8) Almaut-ul-Ahmaar

(9)  Noor-ul-Irfaan

(10) Saif-ul-Jabbaar

(11) Malfoozaat e Aa’la Hazrat.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Mufti e Azam, Hazrat Allama Shaah Sayyed Abul Husain Ahmad Noori Barkaati Qaadri Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Jab Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ki umr 6 mahine thi tab aap ke Peer ne aap ko dekhkar farmaaya tha ‘Yeh bacha ALLĀH ka wali ma’aloom hota hai aur ALLĀH ke fazl se ye deen e islaam ki khub khidmat karega. Ye faiz o barkat ka samundar hai aur log is se faizyaab hote rahenge.’ Phir unho ne apni ungli aap ke munh me rakhi.

Aap ka Wisaal:

Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه ka wisaal  14 Moharram 1402 Hijri (12 November 1981 A.D.) ko raat ko 1:40 ko 92 saal ki umr me hua. Aap ki namaaz e janaaza me Taqreeban 25,00,000 log is me shaamil hue.

Mufti e Azam رحمة الله عليه ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me Aa’la Hazrat ke bagal me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Huzoor Mufti e aazam e Hind Mufti Muhammad Mustafa Raza Khan رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
A
ameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *