Biography of  Hazrat Muhammad Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Muhammad Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه

Laqab :

Ustaad-ul-Ulama.

Aap ki Wiladat:

Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه ki wilaadat 18 Safar 1367 Hijri (1 January 1948 A.D.) ko Chak Number 12-AH, Zila Khanewal (Punjab, Pakistan) me hui.

Aap ke waalid ka naam Haaji Wali-ur-Rahmān bin Khuda Yaar Khan hai.
Aap Arayan qabeele se hain.

Aap ki Talimaat:

Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه ne apne gaanv me ibtidaai ta’aleem haasil ki. Phir Madrasa Ghauṡia, Khanewal, Madrasa Shaukat-ul-Islaam, Khanewal, Jaame Ashraf-ul-Madaaris, Okara, Madrasa Ihya-ul-Uloom, Bhure wala, Daar-ul-Uloom Mahmoodiya, Piplan Miyan waali, Jaame Ghauṡia Razawiya, Sakhar wagairah me Hazrat Allama Maulana Manzoor Ahmad Chishti (Navan Jhanda wala), Maulana Muhammad Shafi (Khanewal), Maulana Qaazi Noor Ahmad aur Allama Maulana Muhammad Husain Shauq (Piplan Miyan waali), Allama Maulana Ahmad Yaar (Okara) se uloome aqliya wa naqliya ki ta’aleem haasil ki.

1386 Hijri (1966 A.D.) me Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه Jaamia Razwiya, Faisalabad me daakhil hue aur Shaikh-ul-Hadeeṡ Maulana Ghulaam Rasool Razawi se Sihah Sitta ki ta’aleem haasil ki aur sanad aur ijaazat haasil ki.

Jaame Ghauṡia Jaame-ul-Uloom, Khanewal me qayaam ke dauraan Aap Mohaddiṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad Rahmatullāhi Alaihi ke mureed hue. Aap ne Hazrat Haafiz Muhammad Shafee se sulook ki ta’aleem haasil ki aur ijaazat wa khilaafat haasil ki.

Faraaghat e ba’ad 6 saal tak Jaame Noor-ul-Madaaris, Chishtiyan shareef me mudarris rahe. Phir 7 saal tak Madrasa Me’araj-ul-Uloom, Kachaku (Khanewal) me mudarris rahe aur Markazi Jaame Masjid, Kachaku me Imaam wa khateeb rahe.

Is ke ba’ad 1399 Hijri (1979 A.D.) me Markazi Jaame Masjid, Khanewal me tashreef laaye aur taweel arse tak Imaamat wa khitaabat farmai aur Madrasa Ghauṡia Jaame-ul-Uloom, Khanewal me mohtamim aur mudarris rahe. Is dauraan Aap ne aurto ke liye Jaame Ghauṡia Jaame-ul-Uloom lil Banaat qaa’im kiya. Phir Aap Bartaniya (U.K.) tashreef le gaye aur kuchh saal tak Sayyida Khadeeja Institute me mudarris rahe.

Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه ne Tabligh e deen ke liye mukhtalif mulko ka safar bhi kiya

Aap ke mash'hoor shaagird :

(1) Maulana Abul Umar Shaukat Ali Sialwi

(2) Maulana Fazle Rasool (Mudarris, Jaamia Ghauṡia, Khanewaal)

(3) Maulana Mufti Abdul Hameed Chishti

(4) Maulana Qaazi Wahaaj

(5) Mufti Muhammad Akmal

(6) Maulana Muhammad Safdar Saeedi

(7) Maulana Umar Hayaat Qaadri.

Pariwaar :

Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه ke 7 saahabzaade aur 4 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade :
(1) Maulana Muhammad Mubashshir Iqbaal Jameel,
(2) Maulana Muhammad Haamid Raza,
(3) Maulana Muhammad Shaahid Raza,
(4) Maulana Muhammad Ali Raza,
(5) Maulana Muhammad Guzanfar Raza,
(6) Maulana Haaji Muhammad Wali Raza,
(7) Haafiz Muhammad Amjad Raza.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليهHazrat Mohaddiṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad Rahmatullāhi Alaihi ke mureed hain. Hazrat Haafiz Muhammad Shafee ne Aap ko Chishti Nizaami silsila ki khilaafat ata farmai hai

Aap ka Hajj:

19 Shawwaal 1436 Hijri (5 August 2015 A.D.) ko Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه Hajj ada karke waapas tashreef laaye. Kuchh dino baad Aap ki tabiyat na-saaz hui aur Multan ke haspataal me Aap ka ilaaj karaaya gaya.

Aap ka Wisaal:

Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه ka wisaal 15 Moharram 1437 Hijri (29 October 2015 A.D.) ko baroz Jumeraat subah 9 baje 70 saal ki umr me hua.

Aap ke saahabzaade Maulana Muhammad Mubashshir Iqbaal Jameel ne Aap ki namaaze janaaza padhai. Aap ka mazaar Chak Number 12-AH, Zila Khanewal (Punjab, Pakistan) me hui.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ  ke sadqe me Aur Hazrat Mufti Ashfaq Ahmed Razawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *