Table of Contents
ToggleHazrat Abdullah Shah Qadri Hussaini Shattari رحمة الله عليه
Laqab:
Sultaan e Salaateen e Mashaa’ikh.
Aap ki wiladat:
Hazrat Abdullah Shah Qadri Hussaini Shattari رحمة الله عليه ki wiladat 132 Hijri (750 A.D.) me Karkh, Baghdad (Iraq) me hui.Aap ke waalid ka naam Firoz hai.
Aap Ki Talimat:
Hazrat Abdullah Shah Qadri Hussaini Shattari رحمة الله عليه jayyad Aalim aur Shaikh e kaamil the. Aap Madrasa me ta’aleem wa tadrees karte.
Hazrat Abdullah Shah Qadri Hussaini Shattari رحمة الله عليه bahot muttaqi aur parhezgaar the. Kabhi kisi se koi tohfa ya nazraana nahi lete aur the.
Aap hamesha ghareebo, mohtaajo aur yateemo ko imdaad karte the.
Hazrat Abdullah Shah Qadri Hussaini Shattari رحمة الله عليه paabandi se namaaze tahajjud ada karte the aur akṡar roza rakhte the aur nimbu paani se iftaar karte the aur kaṡrat se tilaawate Qur’ān karte the.
Aap ke Sahabzaade:
(1) Shaikh Asadullāh
(2) Shaikh Haidar.
Aape ki mureedi aur khilafat:
Hazrat Abdullah Shah Qadri Hussaini Shattari رحمة الله عليه Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Alwi Gujarati rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat) ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Sayyed Haashim Peer Dastageer rahmatullāhi alaihi (Bijapur, Karnataka) hain.
Aapka Wisaal:
Hazrat Abdullah Shah Qadri Hussaini Shattari رحمة الله عليه ka wisaal 5 Moharram 1018 Hijri (11 April 1609 A.D.) ko hua. Aap ka mazaar Khanpur, Ahmedabad (Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeebﷺ ke sadqe me Aur Hazrat Abdullah Shah Qadri Hussaini Shattari رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.