Hazrat Khwaja Muhammad Afaaq Shah Naqshbandi Dehlawi رحمة الله عليه
Laqab:
Aarif e Haq.
Aap ki Wiladat:
Aap ki wiladat 1160 Hijri (1747 A.D.) me hui.
Hazrat Khwaja Muhammad Afaaq Shah Naqshbandi Dehlawi ke waalid ka naam Hazrat Shaikh Ihsaanullāh bin Shaikh Muhammad Azhar Mujaddidi hai.
Aap Hazrat Mujaddid-e-Alf-e-Ṡaani Imaam Shaikh Ahmad Sirhindi al-Faarooqi Rahmatullāhi Alaihi ke khaandaan se hain.
Aap ki Talimaat:
Hazrat Khwaja Muhammad Afaaq Shah Naqshbandi Dehlawi ne Hazrat Khwaja Zia-ullāh Naqshbandi Mujaddidi Sirhindi Rahmatullāhi Alaihi se ta’aleem haasil ki aur un ke wisaal ke baad Aap ne Hazrat Muhammad Nasir Andalib ke saahabzaade aur khalifa Hazrat Meer Dard Rahmatullāhi Alaihi se ta’aleem haasil ki
Aap ki Ibadat:
Hazrat Khwaja Muhammad Afaaq Shah Naqshbandi Dehlawi roz 10000 martaba Durood shareef aur 50000 martaba Kalma e Tayyabah padhte the.
Aur tahajjud me 10 se 12 khatm Qur’ān majeed tilaawat farmaate the.
Aur roz 5 waqt Salaat-ut-Tasbeeh padhte the
Aap ki khilafat:
Aap Hazrat Khwaja Zia-ullāh Naqshbandi Mujaddidi Sirhindi Rahmatullāhi Alaihi ke khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Maulana Shaah Fazle Rahmān Gunj-muradabadi Rahmatullāhi Alaihi,
(2) Hazrat Maulwi Haidar Ali Shaah Rahmatullāhi Alaihi,
(3) Hazrat Khwaja Ala-ud-deen Rahmatullāhi Alaihi,
(4) Hazrat Maulana Naseer-ud-deen Dehlawi Rahmatullāhi Alaihi.
Aap ka Wisaal:
Hazrat Khwaja Muhammad Afaaq Shah Naqshbandi Dehlawi ka wisaal 7 Moharram 1251 Hijri (1835 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Mehrauli, Delhi me Aazaad Market ke qareeb hai.
ALLAĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Muhammad Afaaq Shah Naqshbandi Dehlawi رحمة الله عليه ke aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.