Hai Kalaam e Ilahi Mein Shams Ud Duha Lyrics Urdu/English

Hai Kalaam e Ilahi Mein Shams Ud Duha Lyrics

Hai Kalaam e Ilahi Mein Shams Ud Duha Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Hai kalaam e ilahi mein shams ud duha tere chehra e noor fiza ki qasam
Qasam e shab e taar mein raaz ye tha ke Habeeb ki zulfe do taa ki qasam

Tere khulq ko haq ne azeem kaha teri khalq ko haq ne jameel kiya
Koi tujh sa hua hai na hoga shaha tere khaaliq e husn o ada ki qasam

Wo Khuda ne hai martaba tujh ko diya na kisi ko mile na kisi ko mila
Ke kalaam e Majeed ne khaai shaha tere shaher o kalaam o baqaa ki qasam

Hai kalaam e ilahi mein shams ud duha tere chehra e noor fiza ki qasam
Qasam e shab e taar mein raaz ye tha ke Habeeb ki zulfe do taa ki qasam

Tera masnade naaz hai arsh e bareen tera mehram e naaz hai roohe ameen
Tu hi sarwar e har do jahaan hai shaaha tera misl nahin hai Khuda ki qasam

Yahi arz hai khaaliq e arz o samaa woh Rasool hain tere main banda tera
Mujhe unke jawaar mein de wo jagah ke hai khuld ko jis ki safaa ki qasam

Hai kalaam e ilahi mein shams ud duha tere chehra e noor fiza ki qasam
Qasam e shab e taar mein raaz ye tha ke Habeeb ki zulfe do taa ki qasam

Tu hi bandon pe karta hai lutf o ataa hai tujhi pe bharosa tujhi se dua
Mujhe jalwa e paak Rasool dikha tujhe apne hi izz o ulaa ki qasam

Mere garche gunaah hain had se siwa magar un se umeed hai tujh se rajaa
Tu Rahim hai unka karam hai gawaah wo Karim hain teri ataa ki qasam

Hai kalaam e ilahi mein shams ud duha tere chehra e noor fiza ki qasam
Qasam e shab e taar mein raaz ye tha ke Habeeb ki zulfe do taa ki qasam

Yahi kehti hai bulbule baaghe jinaa ke Raza ki tarah koi sehr bayaan
Nahin hind mein waasif e shaah e huda mujhe shokhiye tab’ e Raza ki qasam

Hai kalaam e ilahi mein shams ud duha tere chehra e noor fiza ki qasam
Qasam e shab e taar mein raaz ye tha ke Habeeb ki zulfe do taa ki qasam

ہے کلامِ الہٰی میں شَمس و ضُحٰے ترے چہرۂ نور فزا کی قسم

قسمِ شبِ تار میں راز یہ تھا کہ حبیب کی زلفِ دوتا کی قسم


تِرے خُلْق کو حق نے عظیم کہا تِری خِلْق کو حق نے جمیل کیا

کوئی تجھ سا ہوا ہے نہ ہو گا شہا ترے خالقِ حُسن و ادا کی قسم


وہ خدا نے ہے مرتبہ تجھ کو دیا نہ کسِی کو ملے نہ کسی کو ملا

کہ کلامِ مجید نے کھائی شہا تِرے شہر و کلام و بقا کی قسم


ترا مسندِ ناز ہے عرشِ بریں تِرا محرم راز ہے رُوحِ امیں 

تُو ہی سرورِ ہر دو جہاں ہے شہا تِرا مِثل نہیں ہے خدا کی قسم


یہی عرض ہے خالقِ ارض و سما وہ رسول ہیں تیرے میں بندہ تِرا

مجھے ان کے جوار میں دے وہ جگہ کہ ہے خلد کو جس کی صفا کی قسم


تُو ہی بندوں پہ کرتا ہے لطف و عطا ہے تجھی پہ بھروسا تجھی سے دعا

مجھے جلوۂ پاکِ رسول دِکھا تجھے اپنے ہی عِزّو عُلا کی قسم


مِرے گرچہ گناہ ہیں حد سے سِوا مگر ان سے امید ہے تجھ سے رَجا

تُو رحیم ہے ان کا کرم ہے گواہ وہ کریم ہیں تیری عطا کی قسم


یہی کہتی ہے بلبلِ باغِ جناں کہ رضاؔ کی طرح کوئی سِحر بَیاں 

نہیں ہِند میں واصفِ شاہِ ہُدیٰ مجھے شوخیِ طبعِ رضاؔ کی قسم

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *