Gunahgaron Ko Hatif Se Lyrics Urdu/English

gunahgaron ko hatif se Lyrics

Gunahgaron Ko Hatif Se Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Gunahgaron Ko Hatif Se naweed e khush maali hai
Mubarak ho shafaa’at ke liye Ahmad saa waali hai

Qaza haqq hai magar us shawq ka Allah waali hai
Jo unki raah mein jaaye woh jaan Allah waali hai

Tera qad e Mubarak gulban e rehmat ki daali hai
Use bo kar terey Rab ne binaa rahmat ki daali hai

Gunahgaron Ko Hatif Se naweed e khush maali hai
Mubarak ho shafaa’at ke liye Ahmad saa waali hai

Tumhari sharm se shaan e jalaal e Haqq tapkati hai
Kham e garden hilaal e aasmaan e zuljalaali hai

Zah e khud gum jo gum hone pe yeh dhoondhe ki kya pea
Arey! Jab tak keh paana hai jabhi tak haath khali hai

Gunahgaron Ko Hatif Se naweed e khush maali hai
Mubarak ho shafaa’at ke liye Ahmad saa waali hai

Mein ek mohtaaj e be waq’at gadaa tere sag e dar ka
Teri Sarkaar waala hai tera darbaar aali hai

Teri bakhshish pasandi uzr joi tawbah khwaahi se
Umoom e be gunaa hi jurm shaan e laa oobali hai

Gunahgaron Ko Hatif Se naweed e khush maali hai
Mubarak ho shafaa’at ke liye Ahmad saa waali hai

Abu Bakr o Umar Usman o Haidar jiske bulbul hain
Tera sarwe sahi us gulbune khubi ki daali hai

Raza qismat hi khul jaayay jo geelaan se khitaab aayay
Ke tu adnaa sag e dargaah e khuddaam e ma’aali hai

Gunahgaron Ko Hatif Se naweed e khush maali hai
Mubarak ho shafaa’at ke liye Ahmad saa waali hai

گنہ گاروں کو ہاتِف سے نوید خوش مآلی ہے

مُبارک ہو شفاعت کے لئے احمد سا والی ہے


قضا حق ہے مگر اس شوق کا اللہ والی ہے

جو اُن کی راہ میں جائے وہ جان اللہ والی ہے


تِرا قدِّ مبارک گلبَنِ رحمت کی ڈالی ہے

اسے بو کر ترے ربّ نے بِنا رحمت کی ڈالی ہے


تمہاری شرم سے شانِ جلال حق ٹپکتی ہے

خمِ گردن ہلالِ آسمانِ ذُوالجلالی ہے


زہے خود گم جو گم ہونے پہ یہ ڈھونڈے کہ کیا پایا

ارے جب تک کہ پانا ہے جبھی تک ہاتھ خالی ہے


میں اِک محتاج بے وَقعت گدا تیرے سگِ در کا

تری سرکار والا ہے تِرا دربار عالی ہے


تِری بخشِش پَسندی، عُذر جوئی، توبہ خواہی سے

عمومِ بے گناہی، جرم شانِ لا اُبالی ہے


ابو بکر و عمر عثمان و حیدر جس کے بلبل ہیں 

تِرا سروِ سہی اس گُلْبُنِ خوبی کی ڈالی ہے


رضاؔ قِسمت ہی کُھل جائے جو گیلاں سے خطاب آئے

کہ تُو اَدنیٰ سگِ دَرگاہِ خُدَّامِ مَعالی ہے

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *