Biography of Hazrat Khwaja Fuzail Bin Ayaz Rahmatullāhi Alaihi | Download Free PDF

Aap ki Walid:

Aap ke waalid ka naam Ayyaaz bin Bishr hai.

Aap ki Ibtadai zindagi:

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه daakoo ke giroh ke sardaar the aur Shaam aur Khurasan ke musaafiro ko lootkar apna guzraan karte the.

Us waqt me bhi aap paabandi ke sath namaz ada karte the, roze rakhte the aur aurto ko be-parda karne se ya takleef dene se mana karte the.

Ek martaba ek qaafila waha se guzar raha tha. Ek saudagar ne mashwara diya ke hum apna qeemati saamaan aur sona chaandi kahi chhupa den to daakoo lootne ke liye aaye tab hamara maal bach jaaye. Wo salaamat jagah ki talaash karta hua us jagah par pahuncha jaha Fuzail bin Ayaaz the.

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ke haath me tasbeeh dekhkar us ne socha ke yeh nek insaan ma’aloom hota hai. Us ne apna maal hifaazat ke liye aap ko rakhne ke liye diya. Aap ne use ek kone me rakhne ke liye kaha.

Qaafila aage badha to dakaito ne roka aur un ka maal loot liya. Jab daakoo chale gaye to woh shakhs aap ke khaime me waapas aaya to us ne dekha ke aap loot ke maal ko dakaito me baant rahe the.

Us ne socha ke Ab mujhe mera maal waapas nahi milega. Aap ne us shakhs ko dekhkar kaha ke “Us kone me se tumhara maal le lo.” Aap ke saathiyo ne aap se kaha “Aaj loot me zyada maal nahi mila hai.

Agar aap is ka maal na lautaate to hume zyada maal mil jaata.” Aap ne kaha “Woh apna maal mere paas batore amaanat chhod gaya tha aur main amaanat me khayaanat nahi karta.”

Is ke ba’ad ek din Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ke saathi ek qaafile ko loot kar maal Aap ke saamne laaye to us me ek thaila tha jo sone se bhara hua tha aur us par ‘Aayat-ul-Kursi’ likhi hui thi.

Aap ne woh thaila utha liya aur us ke maalik ko bula kar us ko woh sone se bhara hua thaila waapas kar diya. Saathiyo ko bada ta’ajjub hua aur kaha ke “Is me badi daulat thi use Aap ne waapas kar diya?”

Aap ne farmaaya ke “Mujhe yeh khauf hua ke wo log jo Qur’ān majeed aur Aayat-ul-Kursi par aitemaad rakhte hain jab yeh dekhenge ke thaile par Aayat-ul-Kursi likhne se koi faa’ida na hua, thaila loot liya gaya, to kahi aisa na ho ke Qur’ān e paak aur Aayat-ul-Kursi se door ho jaayen aur us ka wabaal mere sar ho.”

Is ke chand din baad ek martaba ek qaafila guzar raha tha jis me ek Qaari tilaawate Qur’ān kar rahe the. Jab Aap ne yeh aayat suni ke “Kya eimaan waalo ke liye woh waqt nahi aaya ke un ke dil ALLĀH ki yaad ke liye aajizi ke saath jhuk jaaye.

(Soorah al-Hadeed, Aayat 16)” to aap ke dil ka aalam badal badal gaya aur aap ko ehsaas hua ke main ibaadat aur loot dono kar raha hu to yeh Fisq hai. Aap ne foran tauba ki aur loot aur dakaiti chhod diya aur sehra me ghumne lage.

Ek martaba Aap ne 2 aadamiyo ko baat karte suna. Jis me ek shakhs dusre se keh raha the ke “Yaha se aage sambhalkar jaana hoga. Aage daakoo Fuzail bin Ayaaz ka ilaaqa hai.” Yeh sunkar aap un ke qareeb gaye aur kaha ke “Main hi Fuzail bin Ayaaz hu. Ab main badal gaya hu aur aap ko koi khatra nahi hai.”

Is ke baad aap ne jin ka maal loota tha un sab logo se milkar un ko batore muawaza maal dekar un se muafi maangne lage.

Ek Yahudi ne aap ko muaf karne se inkaar kiya. Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ne kaha “Tum jo chaaho wo karne ke liye main tayyaar hu agar mujhe muaf kar do.” Us ne kaha “Mere ghar ke saamne jo kooda hai use hata do.” Aap us kooda saaf karne lage.

Dusre din ALLĀH ke fazl se ek tez toofaan aaya aur us koode ke dher ko waha se hata diya. Is ke ba’ad us yahudi ne mitti ki 100 thikariya banai aur thaili me rakhkar takiye ke neeche rakh di aur jab Aap dobaara aye to us ne kaha “Mere takiye ke neeche thaili me 100 deenaar rakhe hain wo lekar aao.”

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  jaakar woh thaili lekar aaye aur jab us thaili ko khola to aap ke daste mubarak ki barkat se wo thikariya sone ke deenaar ban gai thi. Yeh dekhkar woh yahudi tauba karke musalman ho gaya.

Aap ne puchha “Tumne aisi kaun si baat dekhi ke mere haath par Musalman ho gaye?” to us shakhs ne jawaab diya ke “Maine Tauraat me padha hai ke Muhammad sallallāhu alaihi wa sallam ki ummat me aise log bhi honge ke jab wo sache dil se tauba karenge aur mitti par haath daalenge to woh sona ban jaayegi. Ye bhi mitti ki thikriya hi thi, jo aapke haath se sona ban gai.”

Aap ke Hajj:

Jab Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ne Hajj ka iraada kiya to aap ne apni zauja se farmaaya ‘”Main ek lambe aur pur khatar safar par jaa raha hu. Is liye main tumhe aazaad kar dena chaahta hu taake agar tum chaaho to dusra nikaah kar sako.” Aap ki zauja ne inkaar kiya aur kaha ke “Main hamesha aap ke saath rahi hu. Is liye is safar me bhi aap ke saath aana chaahti hu.”

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ne taweel arse tak Makka mukarrama me qayaam karke auliya aur asfiya se faiz haasil karte rahe.

Phir Kufa me Hazrat Imaame aazam Abu Haneefa Noamaan bin Ṡaabit Rahmatullāhi Alaihi se Fiq’h ki ta’aleem haasil ki

Aap ki ibadat:

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  har roz 500 rak’at namfl namaaz padhte.

Aap rozaana 2 khatm Qur’ān majeed mukammal karte.

Aap kai dino tak lagaataar roze rakhkar iftaar karte.

Aap akṡar raat ke waqt rokar munaajaat karte rehte.

Ek martaba raat ko Khalifa Hāroon al-Rasheed ne apne wazeer se kaha ke “Mujhe kisi buzurg ke paas le chalo. Main apne dil ki sakhti aur kharaabi door karna chaahta hu.”

Wazeer khalifa ko Hazrat Sufyaan bin Uyainah Rahmatullāhi Alaihi ke paas lekar gaya. Darwaaze par dastak di to Hazrat ne puchha “Kaun hai?” Wazeer ne kaha “Khalifa aaye hain.” Hazrat ne andar se kaha “Mujhe pehle bataana chaahiye tha.

Main khud aa jaata.” Khalifa ne kaha “Mujhe jis buzurg ki talaash hai woh yeh nahi hain. Tum mujhe yaha kyun lekar aaye ho?” Yeh sunkar Hazrat Sufyaan bin Uyainah ne farmaaya “Hazrat Fuzail bin Ayaaz ke ilaawa aisa koi buzurg nahi hai.”

Jab khalifa apne wazeer ke saath Hazrat Fuzail bin Ayaz ke makaan par aaya. Jab wazeer ne darwaaze par dastak di to aap ne puchha “Kaun hai?” Wazeer ne kaha “Khalifa aaye hain.”

Aap ne farmaaya “Khalifa ko mujh se kya kaam hai? Mera waqt zaaya mat karo.” Wazeer ne kaha “Aap ko Khalifa ka hukm ki ta’ameel karni hogi.’ Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ne kaha “Mujhe pareshaan mat karo.” Wazeer ne kaha “Agar aap ijaazat nahi denge to hum darwaaza todkar andar aa jaayenge.” Aap ne farmaaya “Agar baghair ijaazat ke andar aana ho to tumhari marzi.”

Dono andar aaye to aap ne chiraagh gul kar diya taake un par nazar na pade. Khalifa ne jab andhere me aap ka haath pakda to Aap ne farmaaya “Kitna naazuk haath hai yeh. Kaash ise jahannam se najaat mil jaaye.” Yeh kehkar aap namaaz me mashgool ho gaye. Jab Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  namaaz se faarigh hue to khalifa ne aap ko kuchh naseehat farmaane ke liye kaha.

Aap ki Nashiyat:

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ne irshaad farmaaya “Tumhare pardaada Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ne farmaaya tha ke Apne Nafs ke haakim bano, Nafs ko qaaboo me rakhkar ALLĀH ta’ala ki ita’at karna yeh hazaaro saal tak logo par hukoomat karne se behtar hai. Qayaamat ke din hukoomat afsos karne ka sabab banegi.”

Hāroon al-Rasheed ne kuchh aur naseehat farmaane ke liye kaha to Aap ne irshaad farmaaya ke “Hazrat Umar bin Abdul Azeez Rahmatullāhi Alaihi khalifa bane to unho ne Hazrat Saalim Bin Abdullāh, Hazrat Rajaa bin Hayaat aur Hazrat Muhammad bin Ka’ab Rahmatullāhi Alaihi ajameen ko bulakar arz ki ke : Main hukoomt ke muamale me shareek hua, mujhe naseehat farmaiye. 

Un Hazraat ne farmaaya tha ke : Agar qayaamat me najaat chaahte ho to mulk ke Buzurgo ke saath apne waalidain ki tarah sulook karo, Jawaano ke saath apne bhaiyo ki tarah sulook karo, Bacho ke saath apni aulaad ki tarah sulook karo aur Aurto ke saath apni maa aur baheno ki tarah sulook karo.”

Hāroon al-Rasheed ne kuchh aur naseehat farmaane ke liye kaha to Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ne irshaad farmaaya ke “Saaliheen ke saath narmi ka bartaav karo aur apni aulaad aur bhaaiyo ke saath husne sulook karo.”

Hāroon al-Rasheed ne kuchh aur naseehat farmaane ke liye kaha to Aap ne irshaad farmaaya ke “ALLĀH ta’ala se daro aur use jawaab dene ke liye tayyaar raho. Qayaamat ke din ALLĀH ta’ala tumhe har shakhs ke baare me sawaal karega jo tumhare maatahet hai. Agar ek budhi aurat tumhari hukoomat me bhuki soti hai to woh roze mehshar tumhe pakadkar Rabb ta’ala ki baargaah me insaaf talab karegi.’

Ye sab sunkar Khalifa ghash khaakar gir pada. Wazeer ne Aap se kaha “Itna kaafi hai. Tum khalifa ko maar daaloge.” Aap ne farmaaya “Aye Haamaan! Chup ho jaa. Maine khalifa ko nahi maara balke tum jaise log use maar daaloge.”

Hāroon al-Rasheed ko hosh aaya to us ne kaha “Tum ne suna, Hazrat ne tumhe Haamaan kaha. Is ka matlab hai ke mujhe Fir’aun kaha.”

Phir us ne Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  se kaha “Aap par koi qarz hai.” Aap ne farmaaya “Haan, ALLĀH ta’ala ka qarzdaar hu.” Us ne kaha “Main logo ke qarz ki baat kar raha hu.” Aap ne farmaaya “ALLĀH ta’ala ka mujh par itna zyada fazl hai ke mujhe kisi se koi qarz lene ki zaroorat nahi hai.”

Hāroon al-Rasheed ne aap ko 1000 deenaar se bhari hui ek thaili batore nazraana di. Aur kaha “Yeh halaal raqam hai. Mujhe meri maa se miraaṡ me mili hai. Aap ise qubool karen.”

Aap ne farmaaya ke “Afsos hai ke meri naseehato ka tum par koi khaas aṡar nahi hua hai. Ta’ajjub hai ke main tumhe najaat ki taraf le jaane ki koshish kar raha hu aur tum baat bigaadne me lage ho. Main keh raha hu ke yeh maal tumhe haajatmando ko dena chaahiye magar tum use de rahe ho jise is ki zaroorat nahi hai.”

Phir Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ne un ko waha se chale jaane ke liye kaha aur jab wo baahar nikle to Aap ne ghar ka darwaaza band kar diya. Khalifa ne apne wazeer se kaha “Haqeeqat me hazrat nek aur afzal hain.”

Aqwaal :

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه irshaad farmaate hain:

(1) Mujhe Ambiya se hasad nahi ke un ko bhi qabr, qayaamat aur pul siraat se guzarna hai, Mujhe Farishto se hasad nahi ke un ke andar insaan se zyada khuafe khuda hota hai. Albatta mujhe us bache se hasad hai jis ko us ki maa ne paida hi nahi kiya hai.

(2) Jo aadami logo se zyada mel jhol rakhta hai woh Achhai se door ho jaata hai.

(3) Us shakhs ke liye afsos hai jise ALLĀH deta hai magar woh ghaflat aur laa-parwaahi me zindagi guzaarta hai.

(4) Jo shakhs ALLĀH se darta hai woh fuzool kaamo me masroof nahi rehta aur us ke dil me duniya ki mohabbat ke liye jagah nahi hoti.

(5) Jo shakhs ALLĀH se darta hai woh kisi se nahi darta aur jo shakhs ALLĀH se nahi darta woh har cheez se darta hai.

(6) Insaan ka Taqwa us ke ilm (ma’arifat) ke mutaabiq hota hai aur Insaan ka Zuhad Aakhirat se mohabbat mutaabiq hota hai.

(7) Tamaam buraaiyo ki jad Dunya se dosi hai.

(8 ) Apni zabaan ko Gheebat aur Jhut se bachaao aur logo ke saath fuzool baato me waqt barbaad na karo.

(9) Sachi dosti yeh hai ke muflisi me dost ki zyada izzat ki jaaye.

(10) Haq ka raasta apnaao, is baat se mat daro ke is par chalne waale bahot kam hain.

(10) Mo’min baaten kam aur amal zyada karta hai aur munaafiq amal kam aur baaten zyada karta hai.

Aap ke shaagird:

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ke shaagirdo me Hazrat Shaikh Sirri al-Saqati , Khwaja Sultaan Ibrāheem bin Ad’ham aur Khwaja Bishr Haafi Rahmatullāhi Alaihi mash’hoor hain.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Khwaja Abdul Waahid bin Zaid Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Abu Ayaaz ibn Mansoor Rahmatullāhi Alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai (jin ka silsila Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu tak pahunchta hai).

Aap ke khulfa :

(1) Hazrat Khwaja Sultaan Ibrāheem bin Ad’ham Rahmatullāhi Alaihi,

(2) Hazrat Khwaja Bishr al-Haafi Rahmatullāhi Alaihi.

Aap ka Wisaal:

Wisaal se pehle Aap ne apni zauja se wasiyat farmaai ke “Mere inteqaal ke baad dono saahabzaadiyo ko lekar Jabale Abu Qubais par jaana aur ALLĀH ta’ala se dua karna ke ab tak Fuzail ne in ki parwarish aur tarbiyat ki hai. Aur ab in ko tumhare hawaale kiya hai.”

Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه  ki ahalya ne waisa hi kiya. Jab woh dua kar rahi thi tab Yemen ka baadshaah apne qaafile ke saath waha se guzra. Us ne jab in ko dekha to in ke baare me ma’aloomaat haasil ki aur apne 2 shehzaado ke saath un ka nikaah ka paighaam bheja. Is tarah aap ki saahabzaadiyo ka nikaah shehzaado ke saath hua.

Aap ka inteqaal haalate namaaz me hua.

Aap ka wisaal 7 Moharram 187 Hijri (January 803 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai.

Book of Hazrat Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه by Abdul Rehman Ajiz

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me

Aur Khwaja Fuzail Bin Ayaz رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se

Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke imaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *