Table of Contents
ToggleBiography of Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه
Alqaab:
Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه, Mujaddid e deen o millat, Imaam e Ahle sunnat, Azeem-ul-barkat, Faazil e Bareilwi.
Aap ki Wilaadat :
Aap ki wilaadat 10 Shawwaal 1272 Hijri (14 June 1856 A.D.) ko Bareilly (Uttar Pradesh) me hui.
Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Maulana Naqi Ali Khan bin Maulana Raza Ali Khanرحمة الله عليه aur waalida ka naam Husaini khaanam binte Asfandar Yaar Beg hai.
Aap Hazrat Malik Qais Abdur Rasheed bin Ays Afghani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ anhu ki nasl se hain.
Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke pardaada Hazrat Saeedullāh Khan 1151 Hijri (1739 A.D.) me Naadir Shaah ke saath Hindustan aaye the aur yahi sukoonat pazeer hue the. Sultaan Muhammad Shaah ne un ko lashkar ke saalaar banaaye the.
Aap bachpan se hi bade zaheen the.
Aap ne 4 baras ki umr me Qur’ān majeed mukammal kiya.
Aap ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Aap ne Mirza Ghulaam Qaadir Baigرحمة الله عليه se ‘Meezan e Munsha’ab’ ki ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Shaikh-e-Kabeer Maulana Abdul Ali Rampuri, Hazrat Allama Sayyed Shaah Aale Rasool Marehrawi, Hazrat Allama Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad-e-Noori Marehrawi, Shaikh Ahmad bin Zain-e-Dahlaan Makki, Shaikh Abdur Rahmān Makki aur Shaikh Husain bin Saalih Makki se bhi ta’aleem haasil ki.
Aap ne 6 saal ki umr me Rabi-ul-Awwal me Meelaad e Rasool ke unwaan par shaandar taqreer farmai.
8 saal ki umr me Arabi zabaan me 1 kitaab likhi.
14 Sha’abaan 1286 Hijri ko 13 baras 10 maah ki umr me pehla Fatawa likha aur Dastaar e Fazeelat ata ki gai.
Bachpan me Aap ne Maah e Ramazaan me roza rakha. Bahot garmi hone ki wajah se aur aap par abhi roza farz nahi tha is liye Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke waalid aap ko ek kamre ke andar le gaye aur kamra band karke meethai di aur kaha “Ise khaa lo”. Aap ne kaha “Maine roza rakha hai.” Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke waalid ne kaha “Darwaaza band hai, Koi nahi dekhega. Tum khaa lo. Tum abhi bache ho.” Aap ne kaha “Bhale koi na dekh raha ho. Magar mera Rab jis ke liye maine roza rakha hai woh to dekh raha hai.”
1291 Hijri (1874 A.D.) me 18 saal ki umr me Aap ka nikaah Sayyeda Irshaad Begum bint Shaikh Fazle Husain se hua.
Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke 3 saahabzaade aur 5 saahabzaadiya hain.
Aap ke Saahabzaade:
(1) Haamid Raza Khan urfe Hujjat-ul-Islaam
(2) Muhammad Mahmood Raza Khan (Jin ka intiqaal 5 mahine ki umr me hua)
(3) Mustafa Raza Khan urfe Mufti e Aazam e Hind.
Saahabzaadiya :
(1) Mustafa’i Begum
(2) Kaneez Hasan
(3) Kaneez Husain
(4) Kaneez Hasnain
(5) Murtaza’i Begum.
1294 Hijri (1877 A.D.) me Hazrat Maulana Abdul Qaadir Badayuniرحمة الله عليه Bareilly Shareef aaye aur Aap un ki daawat se un ke saath Marehra shareef gaye. Jab waha pahunche to Aap ne farmaaya “Mujhe mere peer ki khushbu aa rahi hai.” Jab Aap Khaanqaah-e-Barkaatiya me pahunche to Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Barkaati Marherawiرحمة الله عليه ne Aap ko dekhkar farmaaya “Aao. Main kab se tumhara intazaar kar raha tha.”
Aap bai’at karke Hazrat ke mureed ho gaye. Bai’at ke baad Hazrat ne foran Aap ko ijaazat wa khilaafat ata farmai.
Hazrat Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati ne arz kiya “Huzoor! Aaj maamool ke barkhilaaf is naujawaan ko Ijaazat wa Khilaafat se nawaaza gaya? Yaha mureed hokar khilaafat haasil karne ke liye aane waalo ko pehle mujaahida karna padta hai. Jab wo us darje par pahunch jaata hai tab hi use khilaafat aur ijaazat milti hai.”
Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasoolرحمة الله عليه ne foran kaha ke “Miya saahab! Log zang aalood dil lekar aate hai, jinko saaf karne ke liye un se Riyaazat wa Mujaahida karaaya jaata hai. Yeh naujavaan saaf suthra dil lekar hamaare paas aaya tha, jis ki safaai ki zaroorat nahi thi, sirf nisbat darkaar thi. Woh Bai’at se haasil ho gai. Is liye maine riyaazat wa mujaahida ke baghair Khilaafat wa ijaazat de di.”
Phir farmaaya “Qayaamat jab me main Rab ta’ala ke saamne khada rahunga aur mujhe puchhega ki tum apne saath kya laaye ho to main kahunga ki : Aye mere Rab tera ata kiya hua Ahmad Raza lekar aaya hu.”
Aap ne 2 baar Hajj ada kiye :
(1) 1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid Maulana Naqi Ali Khan ke saath,
Aur (2) 1323 Hijri (1906 A.D.) me apne biraadar Maulana Hasan Raza Khan aur saaahabzaade Haamid Raza Khan aur Mustafa Raza Khan ke saath.
Aap ko Sunnat o hadeeṡ par mukammal yaqeen tha aur har amal Sunnat o hadeeṡ ke mutaabiq hi karte the.
Aap hamesha ba-jama’at namaaz ada karta.
Aap farmaate hain ke “Wali ki asl karaamat ye hai ke wo hamesha nek aur parhezgaar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai.”
(1) Ek baar ye afwah phaili ke Bareilly Shareef me Taa’oon (Plague) phaila hai. Ittefaaq se Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ko masoodo me soojan ho gaya aur dard itna shadeed tha ke aap ka munh bhi khul nahi pata tha aur tez bukhaar bhi tha. Jab doctor ko bulaaya gaya to us ne jaanch karne ka baad kaha ke “Aap ko Plague hone ka andesha hai.” To aap ne kaha ke “Yeh mumkin nahi hai. Kyun ki Huzoor ﷺ ne ek dua batai hai aur farmaaya hai ke jab koi badi beemaari phailne ki khabar suno to is dua ko padh lena. In shaa Allāh hifaazat ho jaayegi. Aur maine is masnoon dua ko padh liya hai.”
Phir aap ne farmaaya “Aye ALLĀH! Tere Habeeb ﷺ ke farmaan ko sahi ṡaabit kar de.”
Itne aap ne ghaib se ek aawaaz suni ke “Miswaak aur kaali mirch istemaal karo.”
Aap ne takleef bardaasht karte hue bhi miswaak kiya aur apne munh me kaali mirch ke daane rakhe. Aisa karne se ALLĀH ke karam se aap ki takleef kam hone lagi aur aap me phir se taaqat aane lagi.
Aur is tarah us doctor ko maanna pada ke us ki tashkees (diagnosis) galat thi.
(2) Aap 1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid ke saath hajj ke liye gaye. Hajj ke safar me jahaaz se waapas aate waqt samundar me toofan shuru ho gaya. Jahaaz ke kaptan ne aakar kaha ke “Toofaan itna tez hai ke shaayad ham nahi bach sakte.”
Yeh sunkar Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke waalid ne kaha ke “Aye mere bete! Mujhe mujh se zyada tumhari fikr hai.”
Aap ne farmaaya ke “Hume kuchh nahi ho sakta kyun ke maine jahaaz par sawaar hote hi bahri sawaari (safar) ki masnoon dua padh li thi aur mujhe yaqeen hai ke mere Aaqa ﷺ ka farmaan hamesha sahi hota hai. Is liye hamare jahaaz ko kuchh bhi nahi hoga.”
Thodi der me toofaan rook gaya aur kaptan ne aakar kaha ke “Ab hamare jahaaz ko koi khatra nahi hai.”
Aap ne apne har amal se Huzoore akram Rasool-Allāh ﷺ aur Aale rasool ke mukammal ishq ka saboot diya.
(1) Ek baar aap doli me bethkar Bareilly Shareef ke bazaar se guzar rahe the. Aap ne doli uthaane walo ko doli rokne ke liye kaha aur puchha “Aap me se saadaat kaun hai?” Kisi ne jawaab nahi diya. Aap ne phir se ilteja karte hua ke “Meharbani karke bata do ke aap me kaun saadaat hai. Mujhe aale rasool ki khushboo aa rahi hai.”
Tab ek hazrat ne kaha “Main Aale rasool hu. Ghareebi aur majboori ki wajah se main doli uthaane ka kaam kar raha hu.”
Aap ne foran haath chumkar kaha ke “Mujhe muaf kar dena.”
Phir Aap ne us sayyedzaade ko doli me bithaaya aur khud un ki jagah par doli uthaakar chalne lage.
(2) A’ala Hazrat ko Hazrat Sayyed Shaah Mahedi miyan Barkaati se bahot mohabbat thi aur aap un ki bahot ta’azeem karte the. Hazrat ko baadi aur bawaasir ki takleef thi. Un ke ek mureed Hajj karke Marehra shareef aaye. Apne Peer ki takleef sunkar unho ne is ke ilaaj ek taambe ka chhalla (angoothi) diya. Hazrat Shaah Mahedi miyan ko bahot zyada takleef thi. Is liye aap ne wo chhalla apne ungli me pehan liya. Ittifaq se A’ala Hazrat un dino me Marehra shareef tashreef laaye aur Hazrat Shaah Mahedi miyan ke ghar par qayaam kiya. Aap ne dekha ke Hazrat ne apni ungli me taambe ka chhalla pehna hai.
Aap ne socha ke Hazrat ko kis tarah batau ke ye chhalla pehnna khilaaf e shariat hai kyun ke Sayyedzaade ke adab ka muamala hai. Aap ne ek tarkeeb ki aur Hazrat se arz kiya “Huzoor! Mujhe baadi ki takleef ka koi ilaaj bataaiye.” Hazrat ne foran apni ungli me se woh chhalla utarkar aap ko diya aur kaha “Hamare ek mureed ne Madeena munawwara se yeh chhalla laakar is beemaari ke ilaaj ke liye mujhe diya hai. Tum ise le lo.” Aap ne adab ke saath us chhalle ko le liya aur Peerzaade ko is khilaaf e shariat kaam se rok diya aur un ko ehsaas bhi nahi hone diya.
(3) Ek martaba Khaanqaahe Barkaatiya ke Sajjaada nasheen saahab ne ghar ki rakhwaali ke liye do kutto ki farma’ish ki. Aap ne ba-adab jawaab diya ki “Faqeer jaldi do kutte haazire khidmat kar dega.” Phir Bareilly se apne dono saahabzaado ko Khaanqaahe Aaliya Barkaatiya me laaye aur Sajjaada nasheen saahab se arz kiya “Huzoor! Ye saara din kaam-kaaj bhi karenge aur raat ko rakhwaali bhi karenge.”
Aap ki Karamaat:
(1) Ek baar Aap Rail se Pilibhit se Bareily ja rahe the. Raaste me Nawabganj station par train 1-2 minute ke liye ruki. Maghrib ka waqt ho chuka tha. Aap apne saathiyon ke saath namaaz ke liye platform par utre. Saathi pareshaan the ki train chali jaayegi to kya hoga. Lekin aap ne itminaan se Azaan dilwakar ba-jama’at namaaz shuru kar di.
Udhar Driver train ka engine chalu karta hai lekin train nahi chalti. Engine uchalta aur phir patri par girta hai. T .T, Station Master, wagairah sab log jama ho gaye. Driver ne bataya ki engine me koi kharaabi nahi hai.
Achanak ek Pandit chikh utha “Woh dekho koi durwesh Namaaz padh raha hai, shaayad train isi wajah se nahi chalti?” Yeh sunkar log Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke ird gird jama ho gaya.
Aap itminaan se namaaz mukammal karke jaise hi apne saathiyo ke saath Rail me sawaar hue to Rail chalu ho gai aur aage badhi.
(2) Bareilly Shareef me ek shakhs Auliya, Peer o Murshid aur bai’at me nahi maanta tha. Us ka ek dost Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه se milne ke liye jaa raha tha. Us ne us shakhs se kaha ke “Tum mere saath Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه se milne chalo aur waha un se is baare me mubaahisa kar lena.” Woh yeh baat kar raha tha ke us shakhs ne ek dukaan me taazi mithai dekhi. Us ne kaha ke “Pehle ye mithaai lete hain, Phir main tumhare saath chalta hu.”’ Us ne kaha ke “Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه milne ke baad waapas aate waqt raaste me yaha se mithaai le lenge.”
Bahot samjhaane par woh maana.
Aur dono Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ki baargaah me gaye. Dono waha baithe the, itne me ek mureed kuchh mithai lekar aaya aur waha haazir sab ko taqseem karne ke liye kaha.
Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke darbaar me ye tareeqa tha ke jin ki daadhi hoti un ko do hisse diye jaate aur baghair daadhi wale ko ek hissa diya jaata kyun ki wo bache jaise lagte hain.
Chunaanche jo mureed taqseem karne ke liye khada hua wo isi tarah sab ko de raha tha.
Jab us shakhs ki baari aai to woh mureed use ek hissa de raha tha. Tab Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ne use do hisse dene ke liye kaha. To us mureed ne kaha “Hazrat! Is ki daadhi nahi hai.”
Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ne farmaaya “Us ko do hisse khaane ki khwaahish hai.”
Us shakhs ne jab yeh suna to use pata chal gaya ke Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ko us ke dil ki khwaahish bhi khabar ho gai hai. Woh sharminda hua aur Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ka mureed ho gaya.
Ek baar kisi ne khat me Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke naam ke saath ‘Haafiz’ likh diya. Yeh khat Aap ko 29 Sha’abaan ko mila. Aap ne jab padha to socha ke main haafiz e Qur’ān nahi hu. Is liye mujhe Haafiz kehna sahi nahi. Magar main jald hi Haafiz e Qur’ān ban jaaunga.
Phir maah e Ramazaan me ishaa ke waqt me azaan aur namaaz ke dauraan Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Mufti Amjad Ali Aazmiرحمة الله عليه Aap ko Qur’ān majeed ka ek paara padhkar sunaate aur Aap us ko namaaz e taraaweeh me Qir’at me padhte. Aur is tarah Ramazaan ke khatm hone tak aap Haafiz e Qur’ān ho gaye.
Log agar kisi mas’ale ke liye talaash karte to Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه baghair kitaab dekhe safah number ke saath us ka jawaab dete.
Ilme Falkiyat o Taqweem (Astronomy) me Aap ko itni mahaarat thi ke Aap din ko sooraj ko dekhkar aur raat me sitaara ko dekhkar ghadi me waqt mila lete aur 1 minute ka bhi farq na hota.
Aligarh University ke Vice Chancellor Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ko Ilme Riyaazi ke ek aham mas’ale ka hal nahi mil raha tha. Bahot saare University me mas’ala bheja magar jawaab nahi mila. Aakhirkaar ye tay kiya ke Germany jaakar is mas’ale ka jawaab haasil kiya jaaye. Jab Hazrat Sayyed Sulaimān Ashraf Bihari ko is baat ka pata chala to unho ne Bareilly jaaakar Aala Hazrat se milne ka mashwara diya.
Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ne kaha “Woh to Maulwi hain aur deeni masaa ke baare me jaankaari rakhte honge. Is masale ka hal unhe kaise pata hoga?” Sayyed Sulaimān Ashraf ne kaha ke “Bareilly nazdeek hi to hai. German jaane se pehle ek baar Aala Hazrat se mil to lijiye.” Bahot israar karne par Dr. Zia-ud-deen Ahmad Bareilly jaane ke liye tayyaar hue. Sayyed Sulaimān Ashraf ne Aala Hazrat ko paighaam bhej diya ke “Agar Dr. Zia-ud-deen Ahmad suit aur tie pehankar aaye to kuchh kehna nahi. Pehle un se baat kar lena.”
Dopahar ko Aligarh se nikle aur Bareilly pahunche to asr ki azaan ho chuki thi. Aala Hazrat wuzu ke liye tayyaari kar rahe the. Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ko dekhkar puchha “Aaiye, Kya baat hai?” Unho ne kaha “Bada aham mas’ala hai. Aap pehle namaaz padh len. Us ke baad aaraam se baat karte hain.” Aala Hazrat ne farmaaya “Bataiye to sahi.”
Unho ne apna masala bataaya. Jaise us ki baat puri hui foran Aala Hazrat ne us ka jawaab de diya. Jawaab sunkar unhe bahot ta’ajjub hua. Sochne lage ke “Main is ke hal ke liye pure Hindustan me kai jagah par raabat kar chuka hu aur inho ne mas’ala sunkar foran tasalli bakhsh jawaab de diya.”
Jab Aala Hazrat namaaz ada karke aaye us ne mazeed sawaal kiye aur jawaab sunte sunte aankho se aansoo jaari ho gaye aur kehne laga ke “Ilme ladunni ke baare me suna tha, aaj dekh bhi liya.” Aur un ki zindagi me tabdeeli aa gai. Namaaz ke paaband ho gaye.
1301 Hijri (1882 A.D.) me Pilibhit me Madrasa Daar-ul-Hadeeṡ ke bunyaadi jalse me Hindustan ke bahot saare mash’hoor mohaddeeṡeen aur ulama tashree laaye the aur A’ala Hazratرحمة الله عليه ke mubarak haatho se Madrasa ki sange bunyaad rakhi gai aur Aap ne lagaatar 3 ghante tak Ilm e Hadeeṡ, Usool e Hadeeṡ aur is se muta’alliq mozu par shaandaar taqreer farmaai.
Aap Imaam e Ahle sunnat aur 14wi sadi ke Mujaddid e Islaam hain.
1317 Hijri (1900 A.D.) me Patna me Ahle Sunnat wal Jama’at ke ijtema ke dauraan Hazrat Maulana Abdul Muqtadir Badayuniرحمة الله عليه ne Aala Hazrat ko ‘Mujaddid’ kehkar khitaab kiya.
Is ke ilaawa Shaikh Ismā’eel bin Khaleel aur Shaikh Moosā Ali Shaamiرحمة الله عليه aur dusre arab wa ajam ke ulama ne Aap ko Mujaddid kaha hai.
Aap ne apni kitaabo aur taqreero me bahot saari buri bid’ato ko radd kiya hai.
(1) Mazaar (ya Qabr) ko Sajda, Rooku ya Tawaaf karna.
(2) Aurto ka mazaaraat par jaana.
(3) Maushiqi aur saaz (Music) waali Qawwaali.
(4) Mazaar par ya Majlis ya Juloos me naachna, gaana-bajaana.
(5) Taaziyadaari.
Jab Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani ne Imaam Mahdi hone ka aur phir Nabi hone ka daawa kiya tab Aap ne 1323 Hijri (1906 A.D.) me Hajj ke liye gaye to ‘Al-Motamad Al-Mustanad’ naam se ek tehreeri ṡaboot (Document) tayyaar karke Makka aur Madeena ke ulama ko pesh kiya aur phir Hejaaz ke 33 ulama ki raay aur faisla jama karke Arabi me ‘Husaam-ul-Harmain’ naami kitaab tayyaar ki jis me Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani ke kaafir hone ke ṡaboot diye gaye hain.
Aap ne Wahaabi aur Deobandi ke Huzoor Ashraf-ul-Ambiya Khair-ul-Bashar Rasool-Allāh ﷺ ki gustaakhi bhare bad-aqeedo ko radd karte hue ṡaboot pesh kiye.
(1) Huzoor Mohammad Mustafa ﷺ Insaan-e-kaamil hone ke saath noor bhi hain.
(2) Huzoor Mohammad Mustafa ﷺ ko ALLĀH ta’ala ne Mukhtaar-ulkul banaaya hai.
(3) Huzoor Mohammad Mustafa ﷺ Haazir wa naazir hain.
(4) Huzoor Mohammad Mustafa ﷺ ko ALLĀH ta’ala ne Ilm e ghaib ata kiya hai.
(5) ALLĀH ta’ala ne apne Ambiya, Auliya aur Shohada ko wisaal ke baad bhi Aalam e baqa me hamesha ki zindagi ata farmai hai.
(6) ALLĀH ta’ala ke muqarrab bande ya’ani Ambiya, Auliya, Shohada, Ahle bait aur Saaliheen ka waseela lena jaa’iz hai.
1323 Hijri (1906 A.D.) me jab Aap dusri baar Hajj ke liye gaye the to Makka me sirf 8 ghante me Huzoor ﷺ ke Ilm e ghaib ke ṡaboot par ‘Ad-Daulatul Makkiyah’ naam ki kitaab likhi. Jise padhkar Arab ke ulama ne Aap ko Imaam maana.
Tehreek e Khilaafat ke dauraan Mohandas Gandhi ko kisi ne Ahmad Raza Khan se milne ka mashwara diya. Jab Aap ko bataya gaya ke Gandhi aap se milna chahte hain to aap ne farmaaya ke “Woh kis baare me guftagoo karna chahte hain? Deeni ya Dunyawi? Agar dunyaawi muamale me guftaguoo karna chaahte hain to main un se nahi mil sakta. Mujhe dunyaawi baato me dilchaspi nahi hai.”
Tasannif:
1330 Hijri (1912 A.D.) me Aap ne ‘Kanz-ul -Eimaan fee Tarjuma al-Qur’ān’ naam se Qur’ān majeed ka Urdu tarjuma kiya hai.
Aap ne bahot saari mash’hoor Hamd e baari ta’ala, Na’at e Mustafa, Manqabat aur Munaajaat likhi hain.
Aap ne 55 se zyada uloom par taqreeban 1000 kitaaben likhi hain.
Un me se kuchh mash’hoor kitaaben
Aap ki Mash’hoor Kitaaben:
(1) Fataawa Razawiya (12 Jild)
(2) Ahkaam e Shariat
(3) Husaam-ul-Harmain
(4) Fataawa Harmain
(5) Ad-Daulat-ul-Makkiya
(6) Al-Fuyuzaat-ul-Makkiya
(7) Az-Zubdat-uz-Zakiyya
(8) Al-Ijaazat-ul-Mateena
(9) Kifl-ul-Faqeeh
(10) Aalil Ifaada Fee Taaziyatil Hind wa Bayaane Shahaadat.
1322 Hijri (1904 A.D.) me Aap ne Jaamia Razawia Manzar e Islaam ki ta’ameer ki.
Aa'la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke mash'hoor shaagird:
Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke 2 saahabzaade Hujjat-ul-Islaam Haamid Raza Khan aur Mufti e Aazam e Hind Mustafa Raza Khan, Ustaad-e-Zamaan Maulana Hasan Raza Khan, Sadr-ush-Shariah Amjad Ali Aazami, Sadr-ul-Afaazil Maulana Sayyed Naeem-ud-deen Muradabadi, Mohaddeeṡ-e-aazam-e-Hind Sayyed Muhammad Ashrafi Kachhauchhawi, Malik-ul-Ulama Zafar-ud-deen Bihari, Qutb-e-Madeena Zia-ud-deen Ahmad al-Madani, Allama Mufti Burhaan-ul-Haq Jabalpuri Sher Besha e Ahle Sunnat Maulana Hashmat Ali Khan Pilibhiti.
Ramazaan 1339 Hijri me Aap shadeed beemaar aur kamzor the. Bareilly Shareef me sakht garmi thi. Shariat me shaikhe faani ko ijaazat hai ki roza na rakh sake to fidiya de aur naatwa mareez ko ijaazat hai ki qaza kare. Lekin Aap ne farmaaya ki “Barielly me shiddate garmi ke sabab mere liye roza rakhna mumkin nahi lekin pahaad par thandak hoti hai yaha se Nainitaal qareeb hai. Muwali pahaad par roza rakha jaa sakta hai. Main waha jaane par qaadir hu.” Chunaanche maahe Ramaaan Aap ne wahi guzaara aur pure roze rakhe.
Kamzori ke sabab Aap chalkar masjid tak nahi jaa sakte the magar chaar aadami Aap ko kursi par bitha kar masjid tak pahuchaate aur isi tarah ba-jama’at namaaz ada karte rahe.
Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke wisaal ke kuchh waqt pehle Shaam (Syria) ke kisi Wali ne Bait-ul-Muqaddas me khwaab me dekha ke Huzoore akram ﷺ ki mehfil me Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke aas-paas kuchh ashaaba baithe hai jaise wo kisi ka intazaar kar rahe the.
Unho ne puchha “Ya Rasool-Allāh ﷺ! Aap kis ka intazaar kar rahe hain?”
Aap ne farmaaya ke “Ahmad Raza Khan.”
Unho ne puchha “Ahmad Raza Khan kaun hain?”
Aap ne farmaaya ke “Hindustan ke Bareilly ka ek aalim.”
Jab un ki aankh khuli to foran Syria se Bareilly aane ke liye nikal pade. Lekin jab woh waha pahunche to pata chala ke Imaam Ahmad Raza Khan ka inteqaal ho chuka tha.
Wisaal se pehle Aap ne naseehat farmai ke “Jis se ALLĀH aur us ke Rasool ﷺ ki shaan me adna tauheen bhi paao us se foran juda ho jaao chaahe woh tumhe kaisa bhi pyara ho. Jis ne ise maana us ke liye roze qayaamat noor aur najaat hai aur jis ne na maana us ke liye zulmat aur halaakat hai.”
25 Safar Jum’aa ke roz dopahar 12 baje Aap ne Hazrat Hujjat-ul-Islaam ko Soorah Ra’ad tilaawat karne ke liye farmaaya aur bade itminaan aur ghaur se sunte rahe, phir Soorah Yāseen shareef ki tilaawat suni.
Apne wisaal ke 42 minute pehle Aap ne farmaaya “Mere kamre se paisa, lifaafa, card wagairah hata do kyun ki us par tasweer bani hoti hai.”
2 baje paani talab farmaaya. Paani pee kar Kalma e Tayyaba padhne lage. Kuchh der ke baad sirf isme jalaalat [ALLĀH] ka wird farmaaya.
Aap ne wisaal se pehle wasiyat ki thi ke “Meri namaaz e janaaza Maulana Haamid Raza Khan ya Allama Amjad Ali Aazami padhayen aur mere janaaza ko ‘Ka’abe ke Badr ud Duja’ padhte hue le jaayen aur meri qabr ko itni gehri banaana jitni meri unchaai hai.”
Aap Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Ahmadi Barkaati Marehrawiرحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Qaadri Razawi’ Silsila jaari hai.
Aa'la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ke khulfa:
(1) Hazrat Hujjat-ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khanرحمة الله عليه
(2) Hazrat Mufti-e-aazam-e-Hind Maulana Mustafa Raza Khanرحمة الله عليه
(3) Hazrat Ustaad-e-Zamaan Maulana Hasan Raza Khanرحمة الله عليه
(4) Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Maulana Mufti Amjad Ali Aazamiرحمة الله عليه
(5) Hazrat Sadr-ul-Afaazil Allama Maulana Sayyed Naeem-ud-deen Muraadabadi رحمة الله عليه
(6) Hazrat Qutb-ul-Madeena Allama Shaikh Zia-ud-deen Ahmad Madaniرحمة الله عليه
(7) Hazrat Malik-ul-Ulama Allama Maulana Sayyed Zafar-ud-deen Bihariرحمة الله عليه
(8) Hazrat Burhaan-e-Millat Allama Burhaan-ul-Haq Jabalpuriرحمة الله عليه
(9) Hazrat Allama Maulana Abdus Salaam Jabalpuriرحمة الله عليه
(10) Hazrat Sher Besha e Ahle Sunnat Allama Maulana Hashmat Ali Khanرحمة الله عليه
(11) Hazrat Mubbaligh-e-aazam Allama Maulana Shaah Abdul Aleem Siddeeqi Meerutiرحمة الله عليه
(12) Hazrat Allama Maulana Mukhtaar Ahmad Siddeeqi Meerutiرحمة الله عليه
(13) Hazrat Sultaan-ul-waa’izeen Maulana Abdul Ahad Mohaddeeṡ Pilibhitiرحمة الله عليه
(14) Hazrat Raees-ul-Muhaqqiqeen Maulana Sayyed Shaah Sulaimān Ashraf Bihariرحمة الله عليه
(15) Hazrat Allama Mufti Sayyed Deedaar Ali Shaah Mohaddeeṡ Alwariرحمة الله عليه
(16) Hazrat Allama Mufti Sayyed Abul Hasanaat Muhammad Ahmad Qaadriرحمة الله عليه
(17) Hazrat Maulana Jameel-e-Qaadriرحمة الله عليه
(18) Hazrat Maulana Sayyed Ahmad Ashrafرحمة الله عليه
(19) Hazrat Shaikh Muhammad Abdul Hayyرحمة الله عليه
(20) Hazrat Shaikh Ahmad Khaleelرحمة الله عليه
(21) Hazrat Shaikh Ahmad Khudrawiرحمة الله عليه
(22) Hazrat Shaikh Muhammad bin Abi Bakrرحمة الله عليه
(23) Hazrat Shaikh Muhammad Saeedرحمة الله عليه
(24) Hazrat Maulana Mufti Mahmood Jaanرحمة الله عليه
(25) Hazrat Budh Shaah Baabaرحمة الله عليه.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921 A.D.) ko azaan e Jum’aa ke dauraan 65 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Bareilly Shareef (Uttar pradesh) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Aa’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه Imaam e Ahle sunnat aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Pingback: Biography of Hazrat Maulana Muhammad Ibrahim Raza Khan Urfe Jilani Miya رحمة الله عليه | Download Free PDF - Islamic Images