Hazrat Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه
Aap ke Wiladat:
Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه ki wilaadat 800 Hijri (1397 A.D.) me Lucknow me hui.
Aap ke waalid ka naam Shaikh Qutub-ud-deen Siddeeqi hai.
Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.
Aap ke waalid Delhi se Jaunpur aaye, phir Dalmau aur aakhir me Lucknow aaye.
Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه ki wilaadat se pehle Haaji-ul-Haramain Shaikh Qawaam-ud-deen ne apni biwi ko bataaya ke ‘Shaikh Qutub ke yaha jo bacha paida hoga use tumhe doodh pilaana hai.’ Haaji ul Haramain saahab ki biwi ne kaha ‘Main to budhi ho chuki hu. Mujhe kaise doodh aa sakta hai?’
Haaji ul Harmain saahab ne farmaaya ‘ALLĀH ta’ala apne fazl se us bache ke liye doodh ata farmaega.’
Aap ki wilaadat ke baad ALLĀH ta’ala ke fazl se Haaji-ul-Haramain saahab ki biwi ko doodh aana shuru ho gaya. Wo jab be-wuzu hoti to Aap doodh nahi peete.
Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه ne Qaazi Fareedun se ta’aleem haasil ki.
Jab Aap ki umr 10 saal hui Aap ne Hazrat Shaikh Sayyed Sadr-ud-deen Mohammad Raajan Qattaal ke shaagird Hazrat Bandagi miya ke paas Tasawwuf ki ta’aleem shuru ki.
Jab Aap ki umr 12 saal ki thi tab Hazrat Badi-ud-deen Madaar Shaah Lucknow pahunche to ek shakhs ne aakar arz kiya ke ‘Meri biwi 4 mahine se beemaar hai aur aap us ki sehat ke liye dua karen.’ Hazrat ne use Makhdoom Shah Meena ke se milne ke liye kaha aur saath me apne shaagird Shaikh Shahaab-ud-deen ko jaanamaaz aur ek thaili di aur farmaaya ‘Hazrat Qawaam-ud-deen ki dargaah par jaakar Shaikh Shaah Meena ko ye do cheezen dena aur un ko dua karne ke liye kehna.’
Jab wo log us aurat ko lekar waha pahunche to dekha ke Shaah Meena abhi bache hain. Unho ne dono cheeze un ko dekar saari baat batai.
Aap wuzu karke jaanamaz par khade hue to aap ke pair kaampne lage. Aap ne Shaikh Shahaab-ud-deen ko dua karne ke liye kaha. Magar unho inkaar kiya aur zor dekar aap ko dua ke liye kaha. Phir Shaah Meena ne Dua ki aur Shaikh Shahaab-ud-deen ne ‘Aameen’ kaha.
Aap ki dua se foran us aurat ki beemaari door hui aur wo hosh me aakar khaana maangne lagi. Aap ne us thaili me se chaawal aur sirka nikalkar use khilaaya. Use khaane ke baad use zyada achha mehsoos hone laga.
Is ke baad Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه mash’hoor ho gaye aur log Aap ke paas apni takleefo aur beemaariyo ke liye dua karaane ke liye aane lage.
Is tarah Hazrat Badi-ud-deen Madaar Shaah ne Shaah Meena ko Qutbiyat ko zaahir kiya.
17 Shawwaal 855 Hijri ki raat ko Aap Hazrat Makhdoom Shaikh Saarang رحمة الله عليه ki baargaah me haazir the. Hazrat ne apne bete Malik Meena Mas’ood Aalam ko pukaara. Wo waha maujood nahi the. Is liye Aap Hazrat ke paas gaye aur arz kiya ‘Huzoor! Ghulaam Meena haazir hai’.
Isi tarah 3 baar Aap Hazrat ki khidmat me haazir hue. Hazrat ne khush hokar farmaaya ‘Tu hi Meena hai arsh ka nageena hai. Aaj se hum tumhe Lucknow ki wilaayat ata karte hain.’ Aur khirqa aur apne buzurgo se jo tabarrukaat mile the wo bhi Hazrat ne Aap ko ata farmaaye aur naseehat farmaai ki ‘Haar haal me ALLĀH ki raza me raazi rehna.’ Usi raat Hazrat ka wisaal hua.
Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه hamesha yehi koshish karte ke ALLĀH ta’ala aur us ke Rasool ﷺ ke zyada qareeb ho jaayen.
Aap puri raat ibaadat aur riyaazat me mashgool rehte.
Thandi ke mausam me neend na aa jaaye is ke liye aap thande paani se bahre hue bartan me apne pair rakhte. Kai baar apne kapde paani se bhigo dete.
Kai baar Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه zameen par patthar bichha dete aur jab neend aane lage to un pattharo par so jaate taake badan ko takleef ho aur neend ud jaaye
Aap ki Karaamat :
(1) Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه ki khaanqaah bahot puraani thi aur lakde ki bani hui thi. Ek baar bhaari baarish ki wajah se khaanqaah ka makaan gir gaya aur khaanqaah me maujood log us ke neeche dab gaye. Aap ne apne khaadim ko un logo ko baahar nikaalkar khajoor ke darakht ke paas paani se bhare gad’he me rakhne ke liye farmaaya. Khaadim ne jaise hi un logo ko ek ek karke baahar nikaalkar us gad’he me rakhna shuru kiya to use ye dekhkar ta’ajjub hua ke jaise hi wo murde ko gad’he me rakhta wo zinda ho jaata. Isi tarah jitne bhi log dabkar mar gaye the wo sab zinda ho gaye.
(2) Ek baar aap ke shaagird Shaikh Sa’ad-ud-deen Khairabadi shadeed beemaar the aur koi dawa asar nahi kar rahi thi. Ek shakhs ne Shaah Meena ki baargaah me jaakar ko bataaya. Aap us waqt Hazrat Naasir-ud-deen Chiraag e Delhi ke urs ke mauqe par nyaaz ki tayyaari kar rahe the. Kisi ne aap ki baargaah me ghee aur shakar lagaai hui ek roti paish ki thi. Aap ne us shakhs ko wo roti di aur farmaaya ‘Shaikh Sa’ad-ud-deen se kehna ke ye roti puri kha lena zara bhi baaqi na rakhna.’ Shaikh Sa’ad-ud-deen ne waisa hi kiya. Roti khaane ke baad un ko neend aa gai aur jab wo jaage to bilkul tandurast ho gaye the.
(3) Ek baar ek ghair-muslim Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه ki baargaah me aaya aur kaha ‘Aap log kehte hai ki aap ke Nabi har jagah maujood hain to aap saabit kijiye.’ Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه jalaal me aa gaye aur farmaaya ‘Saamne jo neem ka ped hai use dekh.’ Angrez ne dekha to neem ki har patti me Shaah Meena dikhaai de rahe the. Phir aap ne kaha ‘Dekh dahini taraf jo ped hai. Us ped ki har har patti me bhi Shaah Meena dikhaai de rahe the. Isi tarah aap ne upar neeche daanye baanye dikhaaya.
Wo ghair-muslim jaan gaya ke Nabi ke gulaam ka ye aalam hai to khud Nabi ka kya aalam hoga aur wo Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه ke qadmo me gir gaya aur kalma padhkar Islaam me daakhil ho gaya
Aap ki Mureedi aur Khilafat :
Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه Hazrat Makhdoom Mohammad Khaamis Abdullāh Rumi urfe Shaikh Saarang رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Haaji-ul-Harmain Shaikh Qawaam-ud-deen رحمة الله عليه ne bhi 840 Hijri (1436 A.D.) me Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ko ‘Chishti Naasiri’ aur ‘Suharwardi Jalaali’ silsile ki khilaafat mili hai.
Aap se ‘(Chishti Nizaami) Meenaai’ silsila jaari hai.
Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه ke khulfa :
(1) Hazrat Makhdoom Shaikh Sa’ad-ud-deen Khairabadi رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Shaikh Qutub-ud-deen رحمة الله عليه.
Aap ka Wisaal:
Wisaal ke pehle 6 mahine tak Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه apne hujre me tanha rahe. Aakhir me beemaari ke sabab aap ka inteqqal hua.
Aap ka wisaal 23 Safar 884 Hijri (May 1479 A.D). ko hua.
Aap ka Mazaar Mubarak,, Lucknow, Uttar Pradesh
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Makhdoom Shah Meena Mohammad رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.