Biography of Bishr al Hafi (Khwaja Abu Nasr) رحمة الله عليه | Download Free PDF

Aap ki Wiladat:

Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه ki wilaadat 150 Hijri (767 A.D.) me Merv ke qareeb ek gaanv me hui. Aap ke waalid ka naam Haariṡ bin Abdur Rahmān hai.

Aap ka Tauheed:

Ek martaba Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  sharab ke nashe me chur hokar kahi jaa rahe the ke raaste me Aap ki nazar ek kaagaz par padi, jis par ‘Bismillāhir-Rahmānir-Raheem’ likha tha. Aap ne ta’azeeman us kaagaz ko utha liya aur itr khareed kar us kaagaz pe lagaaya. Mu’attar karke adab ke saath us kaagaz ko ek buland jagah par rakh diya.

Usi raat ek Buzurg Rahmatullāhi Alaihi ne khwaab me suna ke ke “Jaao! Bishr se keh do ke tum ne mere naam ko mu’attar kiya, uski ta’azeem ki aur use buland jagar par rakha. Hum bhi tumhe paak karenge. ” Un buzurg ne socha ke “Bishr to sharaabi hai. Shaayad mujhe galat fehmi hui hai.” Chunaanche unho ne wuju kiya, nafl namaaze padhi aur phir so gaye. Unho ne dusri aur teesri baar bhi yehi khwaab dekha aur yeh bhi suna ki “Jaao, ishr ko hamara paighaam pahuncha do.”

Chunaanche woh Buzurg Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ki talaash me nikal pade. Jab unko pata chala ki Aap sharaab ki mehfil me hai to woh waha pahunche aur Hazrat Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ko aawaaz di. Logone bataaya ke “Woh to nashe me bad-mast hai.” Un Buzurg ne kaha ke “Unhe jaakar kisi tarah bata do ke ek aadmi Aap ke naam koi paighaam lekar aaya hai aur woh baahar khada hai.” Kisi ne andar jaakar Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ko khabar di. Aap ne kaha “Use puchho ke woh kis ka paighaam lekar aaya hai?” Un Buzurg ne farmaaya ke “Main ALLĀH ta’ala ka paighaam laaya hu.” Jab Aap ko yeh baat batai gai to Aap foran nange paanv baahar tashreef le aaye. Paighaam-e-Haq sunkar sache dil se tauba ki aur Mushaahid-e-Haq ke galbe ki shiddat se nange paanv rahne lage. Is tarah Aap Haafi (ya’ani naange paanv waala) ke laqab se mash’hoor ho gaye.

Aap ki Talimat:

Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ne Hadeeṡ sikhne ke liye Kufa, Basra aur Makka mukarrama ka safar kiya.
Aap ne Hammaad bin Zaid, Abdullāh ibn Mubarak, Imaam Maalik bin Anas aur Abu Bakr al-Ayyash se ta’aleem haasil ki.

Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ne Ibrāheem bin Sa’ad al-Zuhri, Shareek bin Abdullāh, Khwaja Fuzail bin Ayaaz aur Ali bin Khushram se bhi ta’aleem haasil ki.
Phir Aap baghdaad me sukoonat pazeer hokar ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.

Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ke mureedo me Hazrat  Imaam Ahmad bin Hambal Rahmatullāhi Alaihi mash’hoor hain.

Aap irshaad farmaate hain:

Zohad ek baadshaah hai jo sirf khaali [paak] qalb me sukoonat pazeer hota hai.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  Hazrat Khwaja Ali bin Khushram Rahmatullāhi Alaihi ke mureed hain.
Hazrat Khwaja Fuzail bin Ayaaz Rahmatullāhi Alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Jab tak Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  hayaat rahe Aap ki adab me Baghdad me kisi chopaaye ne raaste me gobar na kiya ke aap ke pairo me najaasat na lage. Ek din chopaaye ne raaste me gobar kar diya to yeh dekkhar us ka Maalik sochne laga “Lagta hai ki Aaj Hazrate Bishr Haafi ka intiqaal ho gaya hai warna yeh jaanwar kabhi raaste me gobar na karta. Thodi der ke baad use khabar mili ke waaqai Hazrat Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ka wisaal ho gaya hai

Aap ka Wisaal:

Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ka wisaal 10 Moharram 227 Hijri (30 October 841 A.D.) ko hua.

Aap ke wisaal ke baad Qaasim bin Munabbeh ne Aap ko khwaab me dekha to puchha, “ALLĀH ta’ala ne Aap ke saath kya muaamla farmaaya?” Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ne farmaaya “ALLAH ta’ala ne mujhe bakhs diya aur farmaaya : Tum ko aur tumhaare janaaze me jo bhi shareek hue, un sab ko maine bakhsh diya. To Maine arz kiya, “Ilaahi! Mujh se muhabbat karne waalo ko bhi bakhsh de. To ALLĀH ta’ala ki rahmat mazeed josh par aai aur farmaaya : Aye Bishr! Qayaamat tak jo tum se mohabbat karenge, un sab ko bhi maine bakhsh diya.”

Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه  ka mazaar (Baghdad / Iraq) me Baab-ul-Harb ke qareeb hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Bishr al Hafi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *