Banda Milne Ko Qareeb e Hazrat e Qadir Gaya Lyrics Urdu/English

Banda Milne Ko Qareeb e Hazrat e Qadir Gaya Lyrics

Banda Milne Ko Qareeb e Hazrat e Qadir Gaya Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Banda milne ko qareeb e Hazrat e Qadir gaya
Lam’ah e baatin me gumne jalwah e zaahir gaya

Teri marzi paa gaya sooraj phira ulte qadam
Teri ungli uth gayi mah ka kaleja chir gaya

Barh chali teri ziya andher aalam se ghatta
Khul gaya gesu tera rahmat ka baadal ghir gaya

Bandh gayi teri hawa saa woh mein khaak urne lagi
Barh chali teri ziyaa aatish pe paani phir gaya

Teri rahmat se Safi ullah ka beraa paar tha
Tere sadqe se Naji ullah ka bajraa tir gaya

Banda milne ko qareeb e Hazrat e Qadir gaya
Lam’ah e baatin me gumne jalwah e zaahir gaya

Teri aamad thi ke Baitullah mujre ko jhuka
Teri haibat thi ke har but thar thara kar gir gaya

Momin un ka kya hua Allah uska ho gaya
Kaafir un se kya phira Allah hi se phir gaya

Woh ke us dar ka hua khalq e Khuda us ki hui
Woh ke us dar se phira Allah hi se phir gaya

Mujh ko deewana bataate ho main woh hoshiyaar hoon
Paaon jab tof e Haram me thak gaye sar phir gaya

Banda milne ko qareeb e Hazrat e Qadir gaya
Lam’ah e baatin me gumne jalwah e zaahir gaya

Rehmatul lil ‘aalameen aafat mein hoon kaise karoon
Mere Mawla main to is dil se bala mein ghir gaya

Mein tere haathon ke sadqe kaisi kankariyan thee woh
Jin se itne kaafiron ka daf’atan munh phir gaya

Kyun janaab e Bu Hurairah tha woh kaisa jaam e sheer
Jis se sattar saahibon ka doodh se munh phir gaya

Waasta pyaare ka aisa ho ke jo Sunni marre
Yoon na farmaayein tere shaahid ke woh faajir gaya

Banda milne ko qareeb e Hazrat e Qadir gaya
Lam’ah e baatin me gumne jalwah e zaahir gaya

Arsh par dhoomein machein woh momine saaleh mila
Farsh se maatam uthe wo tayyib o taahir gaya

Allah Allah ye ‘uloo e khaas ‘abdiyat Raza
Banda milne ko qareeb e Hazrat e Qadir gaya

Thokarein khaate phiroge unke dar par par raho
Qafila to aay Raza awwal gaya aakhir gaya

Banda milne ko qareeb e Hazrat e Qadir gaya
Lam’ah e baatin me gumne jalwah e zaahir gaya

بندہ ملنے کو قریب حضرتِ قادر گیا

لمعۂ باطن میں گمنے جلوۂ ظاہر گیا


تیری مرضی پاگیا سورج پِھرا اُلٹے قدم

تیری اُنگلی اُٹھ گئی مہ کا کلیجا چر گیا


بڑھ چلی تیری ضیا اَندھیر عالم سے گھٹا 

کھل گیا گیسو ترا رحمت کا بادل گھر گیا


بندھ گئی تیری ہوا ساوَہ میں خاک اُڑنے لگی

بڑھ چلی تیری ضیا آتش پہ پانی پھر گیا


تیری رَحمت سے صَفِیُّ اللہ کا بیڑا پار تھا

تیرے صدقے سے نَجِیُّ اللہ کا بجرا تر گیا


تیری آمد تھی کہ بیَتُ اللہ مُجرے کو جھکا

تیری ہیبت تھی کہ ہر بُت تھر تھرا کر گر گیا


مومن اُن کا کیا ہوا اللہ اس کا ہو گیا

کافر اُن سے کیا پِھرا اللہ ہی سے پھر گیا


وہ کہ اُس دَر کا ہُوا خَلْقِ خدا اُس کی ہوئی

وہ کہ اس دَر سے پھرا اللہ اُس سے پھر گیا


مجھ کو دِیوانہ بتاتے ہو میں وہ ہشیار ہوں 

پاؤں جب طوفِ حرم میں تھک گئے سر پھر گیا


رَحْمَۃٌ لِّلْعَا لَمِیْن آفت میں ہُوں کیسی کروں 

میرے مولیٰ میں تو اِس دل سے بلا میں گھر گیا


میں تِرے ہاتھوں کے صدقے کیسی کنکریاں تھیں وہ

جن سے اتنے کافروں کا دَفعتاً مُنھ پھر گیا


کیوں جنابِ بُوہُریرہ تھا وہ کیسا جامِ شِیر

جس سے سَتّر صَاحبوں کا دودھ سے مُنھ پھر گیا


واسطہ پیارے کا ایسا ہو کہ جو سُنّی مَرے

یُوں نہ فرمائیں تِرے شاہد کہ وہ فاجر گیا


عرش پر دُھومیں مچیں وہ مومن صالِح مِلا

فرش سے ماتَم اُٹھے وہ طَیِّب و طاہِر گیا


اللہ اللہ یہ عُلُّوِ خاصِ عبدیت رضاؔ

بندہ ملنے کو قریب حضرتِ قادِر گیا


ٹھوکریں کھاتے پِھرو گے اُن کے دَر پر پڑ رہو

قافلہ تو اے رضاؔ اَوّل گیا آخر گیا

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *