Aariz e Shams o Qamar Sey Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyrics Urdu/English

Aariz e Shams o Qamar Sey Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyrics

Table of Contents

Aariz e Shams o Qamar Sey Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

عارضِ شمس و قمر سے بھی ہیں انور ایڑیاں 

عرش کی آنکھوں کے تارے ہیں وہ خوشتر ایڑیاں


جا بجا پرتو فگن ہیں آسماں پر ایڑیاں 

دِن کو ہیں خورشید شب کو ماہ و اختر ایڑیاں


نجمِ گَردوں تو نظر آتے ہیں چھوٹے اور وہ پاؤں 

عرش پر پھر کیوں نہ ہوں محسوس لاغر ایڑیاں


دَب کے زیر پا نہ گنجایش سمانے کو رہی

بن گیا جلوہ کفِ پا کا اُبھر کر ایڑیاں


اُن کا منگتا پاؤں سے ٹھکرا دے وہ دُنیا کا تاج

جس کی خاطر مر گئے مُنْعِم رگڑ کر ایڑیاں


دو قمر، دو پنجۂ خور، دو ستارے، دس ہِلال

ان کے تلوے، پنجے، ناخن، پائے اطہر ایڑیاں


ہائے اس پتھر سے اس سینہ کی قسمت پھوڑیے

بے تکلف جس کے دل میں یوں کریں گھر ایڑیاں


تاجِ رُوح القدْس کے موتی جسے سجدہ کریں 

رکھتی ہیں واللہ وہ پاکیزہ گوہر ایڑیاں


ایک ٹھوکر میں اُحد کا زلزلہ جاتا رہا

رکھتی ہیں کتنا وقار اللہ اکبر ایڑیاں


چرخ پر چڑھتے ہی چاندی میں سیاہی آ گئی

کر چکی ہیں بَدْر کو ٹَکسال باہر ایڑیاں


اے رضاؔ طوفانِ محشر کے طَلاطُم سے نہ ڈر

شاد ہو! ہیں کَشتیِ امّت کو لنگر ایڑیاں

Aariz e shams o qamar sey bhi hain anwar aeriyan
Arsh ki aankhon key taare hain wo khushtar aeriyan

Jaa baja par to figan hain aasmaan par aeriyan
Din ko hain khursheed shab ko maah o akhtar aeriyan

Najm gardoon to nazar aate hain chote aur wo paaon
Arsh par phir kyun na hon mehsoos laaghar aeriyan

Dab key zer e paa na gunjaish samaane ko rahi
Ban gaya jalwa kaf e paa ka ubhar kar aeriyan

Un ka mangta paaon sey thukra de wo duniya ka taaj
Jis ki khaatir mar gaye mun’am ragar kar aeriyan

Do qamar do panja e khowr do sitaare das hilaal
Un key talwe panje naakhun paaye athar aeriyan

Haaye us patthar sey is seene ki qismat phoriye
Be takalluf jis key dil mein yoon karein ghar aeriyan

Taaj e roohul quds key moti jise sajdah karein
Rakhti hain wallah woh pakizah gauhar aeriyan

Ek thokar mein uhad ka zalzala jaata raha
Rakhti hain kitna waqaar Allahu Akbar aeriyan

Charkh par charhte hi chaandi mein siyahi aa gayi
Kar chuki hain badr ko taksaal bahar aeriyan

Aay Raza toofan e mehshar key talatum sey na dar
Shaad hon hain kashti e ummat ko langar aeriyan

1 thought on “Aariz e Shams o Qamar Sey Bhi Hain Anwar Aeriyan Lyrics Urdu/English”

  1. Pingback: 100+ Ala Hazrat Naat Lyrics in Urdu and English | Hadaiq e Bakhshish Lyrics - Islamic Images

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *