Hazrat Khwaja Shah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه
Aap ki Wiladat :
Khwaja Saah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه ki wilaadat Zil Hijja 1241 Hijri (July 1826 A.D.) me Taunsa me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Gul Mohammad bin Khwaja Sulaimān Taunsawi hai.
Aap ki Talimaat:
Khwaja Shah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه ne Maulana Muhammad Ameen se Qur’ān, Ilme Sarf wa Nahaw, Faarsi aur Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Aap ke daada Hazrat Khwaja Shaah Sulaimān Taunswi رحمة الله عليه ne Aap ko baatini ta’aleem ata farmai.
Hazrat ki ta’aleem wa tarbiyat se bachpan se hi Aap ko Namaaz aur Roze ki mohabbat aur aadat ho gai thi. Waqt guzarne ke saath saath Ibaadat aur Riyaazat ka lagaaw intiha ko pahunch gaya.
Khwaja Shaah Sulaiman Taunsvi رحمة الله عليه Aap ke deeni jazbe se bahot khush hote the. Hazrat ne apni hayaate zaahiri me hi ‘Dalaa’il-ul-Khairaat shareef’ padhna Aap ko supurd kar diya tha. Aur apni taraf se Shajarah par dastkhat karne ke liye bhi muqarrar farma diya tha.
Khwaja Shaah Sulaiman Taunsvi رحمة الله عليه ke wisaal ka waqt qareeb tha tab Aap ne haazir hokar qadmo me sar rakhkar arz kiya ke “Main aur kuchh nahi maangta sirf itna chaahta hu ke aap ke mureedo ke joote sidhe karta rahu.” Yeh sunkar Hazrat par ek kaifiyat taari ho gai aur farmaaya “Wanafakhat fee man roohee.” aur intiqaal farmaaya.
Shaah Ghulaam Nizaam (farzande Kaale saahab) ne Aap ke sar par dastaar baandhi aur sajjaada e shaikh par bithaaya.
Is ke baad Aap hidaayate khalq aur isha’ate islaam me masroof rehne lage.
Khwaja Shah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه ne Hindustan ke mukhtalif shahero ka safar karke Buzurgaane deen ke mazaaraat par haazir hokar faiz haasil kiya.
Bikaner me hazaaro log Aap ke mureed hue. Phir Khwaja Soofi Hameed-ud-deen Naagori رحمة الله عليه ke mazaar par haazir hue aur 10 roz qayaam farmaaya. Yaha bhi badi ta’adaad me log Aap ke mureed hue. Phir Kishangadh, Jaipur, Rajputana hote hue Delhi pahunche aur Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki رحمة الله عليه, Khwaja Naseer-ud-deen Chiraagh e Delhi رحمة الله عليه, aur Khwaja Fakhr-ud-deen Chishti Dehlawi رحمة الله عليه aur Silsila e Chishtiya ke deegar Auliya ke mazaar par haazir hue.
Delhi me qayaam ke dauraan Mughal baadshaah Bahaadur Shaah Zafar Khwaja Shah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه ki khidmat me haazir hue. Deegar ameer bhi aap ki khidmat me haazir hokar mureed hue.
Mirza Ghulaam Ahmad Qaadiyani ne jab apne aqaa’id ki tash’heer ki to Aap ne apne masnad par baithkar nihaayat sakhti se tardeed farmaai aur musalmano ko gumraahi se bachaane ki koshish ki.
Khwaja Shah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه ko ta’ameeraat se bahot dilchaspi thi. Aap ki banaai hui imaarat shaher ke taqreeban nisf hisse me phaili hui hain.
Khwaja Shah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه ne ‘Seerat e Khair-ul-Wara ke Anwaar wa Tajjaliyaat’ naami kitaab likhi hai.
Pariwaar:
Aap ke 3 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade :
(1) Khwaja Haafiz Moosā,
(2) Khwaja Ahmad,
(3) Khwaja Mahmood.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Khwaja Shaah Sulaimān Taunsawi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Khwaja Shah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Haafiz Moosā Taunsawi رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Shaikh Allama Abdul Haq Khairabadi رحمة الله عليه,
(3) Hazrat Khwaja Faiz Mohammad Chishti Shah-jamali رحمة الله عليه,
(4) Hazrat Sayyed Mehboob Ali Shaah Hazarwi رحمة الله عليه,
(5) Hazrat Khwaja Sayyed Yaar Muhammad Bakhtiar Chishti Dehlawi رحمة الله عليه.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 29 Jamaadi-ul-awwal 1319 Hijri (13 September 1901 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Taunsa (Punjab, Pakistan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Shah Allah Bakhsh Chishti Taunsvi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allah ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.