Biography of Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Khwaja Khuda Bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه

Aap ki Wiladat :

Aap ki wiladat 1150 Hijri (1737 A.D.) me Tulamba (Zila Khanewal) me hui.
Aap ke waalid ka naam Maulana Jaan Muhammad bin Maulana Inaayatullāh hai.

Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Phir apne waalid ke farmaan par Delhi tashreef le gaye aur Madrasa Raheemiya me Hazrat Shaah Ahmad Waliullāh Mohaddeeṡ Dehlawi رحمة الله عليه se ta’aleem wa faiz haasil kiya.

Phir Aap Tulamba waapas aaye aur apne waalid ke saath qayaam pazeer hue. Kuchh arse baad Aap Multan tashreef le gaye aur Daulat darwaaza ke qareeb Mohalla Kumhaar pura me qayaam pazeer hue. Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه ne Masjid me Qur’an aur Hadeeṡ ki ta’aleem wa tadrees shuru ki.
Phir jab Hazrat Haafiz Jamaalullāh Multani رحمة الله عليه Delhi se Multan tashreef laaye to Aap Hazrat ke mureed hue aur Hazrat ki khidmat me rehtar ta’aleem wa faiz haasil kiya.

Ek martaba Hazrat Aap ko saath lekar Mahar tashreef le gaye. Aap ke aane se pehle hi Hazrat Khwaja Noor Muhammad Maharwi رحمة الله عليه ne logo se kaha ke “Haafiz Jamaalullāh Multani apne saath ek behtareen hadiya lekar aa rahe hain.” Logo ne socha ke koi naayaab cheez lekar aa rahe honge. Jab Hazrat Haafiz Jamaalullāh Multani tashreef laaye to logo samajh me aaya ke Hazrat ki baat ka matlab Khwaja Khuda bakhsh Multani the. Jab Aap tashreef laaye to Hazrat ne Aap ki ta’areef wa tausif bayaan farmai.

Kai baar Aap chalte chalte aalame wajd me apna raasta bhul jaate the. Hazrat Haafiz Jamaalullāh Multani رحمة الله عليه ne apne peer o murshid Hazrat Khwaja Noor Muhammad Maharwi رحمة الله عليه ko jab is ke bare me bataaya to Hazrat ne farmaaya “Tamaam awraad o wazaa’if mauqoof karake sirf ta’aleem wa tadrees ki zimmedaari sonp do.”
Is ke baad Hazrat ke farmaan par Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه ne Khairpur Tamewali me ta’aleem wa tadrees karna shuru kiya. Aap Hadeeṡ, Tafseer, Fiq’h, Aqaa’id, Sarf o Nahw, Mantiq, Khitaabat ki ta’aleem farmaate. Aap bacho aur bado sab ko ta’aleem wa faiz ata farmaate. Beshumaar logo ne Aap ke Madrasa me ta’aleem haasil ki.

Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه ne ‘Taufiqiyah’ naami mash’hoor kitaab likhi hai jis me Shariat, Tareeqat, Ma’arifat aur Haqeeqat ka bayaan hai.

Hazrat Qibla-e-Aalam Khwaja Noor Muhammad Maharwi رحمة الله عليه ke wisaal ke baad namaaze janaaza ki imaamat ke liye yeh tay hua ke jis ne apni zindagi me koi Mustahab tark na kiya ho woh shakhs Hazrat ki namaaze janaaza padhaaye. Jab koi bhi shakhs aage na aaya to aakhirkaar Aap aage aaye aur namaaze janaaza padhai.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Maulana Haafiz Jamaalullāh Chishti Multani رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Hafiz Muhammad Akram رحمة الله عليه hain.

Aap ka Wisaal:

Aap ka wisaal 1 Safar 1250 Hijri (9 June 1834 A.D.) ko Jumeerat ke roz hua.

Aap ka mazaar Khairpur Tamewali (Punjab, Pakistan) me hai.

Allah ﷻ us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

1 thought on “Biography of Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه | Download Free PDF”

  1. Pingback: Biography of Hazrat Maulana Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismail Hasan urfe Shahji Miya Barkaati رحمة الله عليه | Download Free PDF - Islamic Images

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *