Zarre jhar kar teri pezaaron ke
Taaj e sar bante hain sayyaron ke
Hum se choron pe jo farmaayein karam
Khil’at e zar banein pushtaaron ke
Mere Aaqa ka woh dar hai jiss par
Maathe ghiss jaate hain sardaaron ke
Mere Eesa tere sadqe jaaoon
Toor be toor hai beemaaron ke
Mujrimo! chashm e tabassum rakkho
Phool ban jaate hain angaaron ke
Zarre jhar kar teri pezaaron ke
Taaj e sar bante hain sayyaron ke
Tere abru ke tasadduq pyaare
Band kurre hain giriftaaron ke
Jaan o dil tere qadam par waare
kya naseebay hain tere yaaron ke
Sidq o ‘adl o karam o himmat mein
Chaar soo shohre hain inn chaaron ke
Behr e tasleem e ‘Ali maidaan mein
Sar jhuke rehte hain talwaaron ke
Kaise Aaqaaon ka bandah hoon Raza
Bol baale meri Sarkaaron ke
Zarre jhar kar teri pezaaron ke
Taaj e sar bante hain sayyaron ke
ذرّے جھڑ کر تری پیزاروں کے
تاجِ سر بنتے ہیں سَیّاروں کے
ہم سے چوروں پہ جو فرمائیں کرم
خِلْعَتِ زر بنیں پُشتاروں کے
میرے آقا کا وہ در ہے جس پر
ماتھے گھس جاتے ہیں سرداروں کے
میرے عیسیٰ تِرے صدقے جاؤں
طور بے طور ہیں بیماروں کے
مجرمو ! چشمِ تبسم رکھو
پھول بن جاتے ہیں انگاروں کے
تیرے اَبرو کے تَصَدُّق پیارے
بند کُرّے ہیں گرفتاروں کے
جان و دل تیرے قدم پر وارے
کیا نصیبے ہیں تیرے یاروں کے
صِدق و عَدل و کرم و ہمّت میں
چار سو شُہرے ہیں اِن چاروں کے
بہرِ تَسلیمِ علی میداں میں
سر جھکے رہتے ہیں تلواروں کے
کیسے آقاؤں کا بندہ ہوں رضاؔ
بول بالے مِری سرکاروں کے