Qafile ne soye taiba kamar arayi ki
Mushkil aasaan ilaahi meri tanhaayi ki
Laaj rakh li tam’ e ‘afw ke saudaayi ki
E mein qurban mere Aaqa barri Aaqayi ki
Farsh taa arsh sab aayina zama’ir haazir
Bass qasam khaaiye ummi teri daanaayi ki
Shash jehat samt e muqabil shab o roz ek hi haal
Dhoom ‘wannajm’ mein hai aap ki beenaayi ki
Qafile ne soye taiba kamar arayi ki
Mushkil aasaan ilaahi meri tanhaayi ki
Paansau saal ki raah aisi hai jaise dogaam
Aas hum ko bhi lagi hai teri shunwaayi ki
Chaand ishare ka hila hukm ka baandha sooraj
Waah kya baat Shaaha teri tawaanaayi ki
Qafile ne soye taiba kamar arayi ki
Mushkil aasaan ilaahi meri tanhaayi ki
Tang thehri hai Raza jiske liye wus’ate ‘arsh
Bass jagah dil mein hai us jalwah e harjaayi ki
Qafile ne soye taiba kamar arayi ki
Mushkil aasaan ilaahi meri tanhaayi ki
قافلے نے سُوئے طیبہ کمر آرائی کی
مشکل آسان الہٰی مری تنہائی کی
لاج رکھ لی طَمَعِ عفو کے سودائی کی
اے میں قرباں مِرے آقا بڑی آقائی کی
فرش تا عرش سب آئینہ ضمائر حاضِر
بس قسم کھائیے اُمّی تِری دانائی کی
شش جہت سمت مقابل شب و روز ایک ہی حال
دُھوم وَالنَّجم میں ہے آپ کی بِینائی کی
پانسو(۵۰۰) سال کی راہ ایسی ہے جیسے دو گام
آس ہم کو بھی لگی ہے تِری شنوائی کی
چاند اشارے کا ہلا حکم کا باندھا سورج
واہ کیا بات شہا تیری توانائی کی
تنگ ٹھہری ہے رضاؔ جس کے لئے وُسعتِ عرش
بس جگہ دل میں ہے اس جَلوۂ ہرجائی کی