Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
Rukhsat e qaafila ka shor ghash se hamein uthaaye kyun
Sote hain unke saaye mein koi hamain jagaye kyun
Baar na thai habeeb ko paalte hi ghareeb ko
Royen jo ab naseeb ko chain kaho ganwaaye kyun
Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
Yaad e Huzoor ki qasam ghaflat e aish hai sitam
Khoob hai qaid e gham mein ham koi hamein churaye kyun
Dekh ke hazrat e Ghani phail pare faqeer bhi
Chaayi hai ab to chaaoni hashr hi aa na jaaye kyun
Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
Jaan hai ishq e Mustafa roz fazoon kare Khuda
Jis ko ho dard ka mazaa naaz e dawa uthaie kyun
Ham to hain aap dil figaar gham mein hansi hai naa gawaar
Cher ke gul ko nau bahaar khoon hamein rulaaye kyun
Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
Yaa to yoon hi tarap ke jaayein ya wahi daam se churayein
Mannat e ghair kyun uthaiein koi taras jataaye kyun
Un ke jalaal ka asar dil se lagaaye hai qamar
Jo ke ho laut zakhm par daagh e jigar mitaye kyun
Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
Khush rahe gul se andaleeb khaar e haram mujhe naseeb
Meri balaa bhi zikr par phool ke khaar khaaye kyun
Gard e malaal agar dhule dil ki kali agar khile
Barq se aankh kyun jale roone pe muskuraaye kyun
Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
Jaan e safar naseeb ko kis ne kaha maze se siwaa
Khatka agar seher ka ho sham se maut aaye kyun
Ab to na rok aay ghani aadat e sag bigar gayi
Mere Kareem pehle hi luqma e tar khilaaye kyun
Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
Raah e Nabi me kya kami farsh biyaade deedah ki
Chadar e zil mulgaji zer e qadam bichaaye kyun
Sang e dar e Huzoor se ham ko Khuda na sabr de
Jaana hai sar ko jaa chuke dil ko qaraar aaye kyun
Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
Hai to Raza nira sitam jurm pe gar lajaayein ham
Koi bajaaye soz e gham saaz e tarab bajaaye kyun
Phir ke gali gali tabah thokarein sabki khaayein kyun
Dil ko jo aql de Khuda teri gali se jaaye kyun
پھر کے گلی گلی تباہ ٹھو کریں سب کی کھائے کیوں
دِل کو جو عقل دے خدا تیری گلی سے جائے کیوں
رُخصتِ قافلہ کا شور غش سے ہمیں اُٹھائے کیوں
سوتے ہیں اُن کے سایہ میں کوئی ہمیں جگائے کیوں
بار نہ تھے حبیب کو پالتے ہی غریب کو
روئیں جو اَبْ نصیب کو چین کہو گنوائے کیوں
یادِ حُضور کی قسم غفلتِ عیش ہے سِتم
خُوب ہیں قیدِ غم میں ہم کوئی ہمیں چُھڑائے کیوں
دیکھ کے حضرتِ غنی پھیل پڑے فقیر بھی
چھائی ہے اب تو چھاؤنی حشر ہی آنہ جائے کیوں
جان ہے عشقِ مصطفٰے روز فَزوں کرے خدا
جس کو ہو درد کا مزہ نازِ دوا اُٹھائے کیوں
ہم تو ہیں آپ دِل فِگار غم میں ہنسی ہے ناگوار
چھیڑ کے گُل کو نوبہار خون ہمیں رُلائے کیوں
یا تو یوں ہی تڑپ کے جائیں یا وہی دام سے چھڑائیں
مِنّت غیر کیوں اُٹھائیں کوئی ترس جتائے کیوں
اُن کے جلال کا اثر دل سے لگائے ہے قمر
جو کہ ہو لوٹ زخم پر داغِ جگر مٹائے کیوں
خوش رہے گُل سے عندلیب خارِ حرم مجھے نصیب
میری بَلا بھی ذِکر پر پھول کے خار کھائے کیوں
گردِ ملال اگر دُھلے دِل کی کلی اگر کِھلے
بَرق سے آنکھ کیوں جلے رونے پہ مسکرائے کیوں
جانِ سفر نصیب کو کس نے کہا مزے سے سو
کھٹکا اگر سحر کا ہو شام سے موت آئے کیوں
اب تو نہ روک اے غنی عادتِ سگ بگڑ گئی
میرے کریم پہلے ہی لقمہ تر کھلائے کیوں
راہِ نبی میں کیا کمی فرشِ بیاض دِیدہ کی
چادرِ ظل ہے مَلْگجی زیرِ قدم بچھائے کیوں
سنگِ درِ حضور سے ہم کو خدا نہ صبر دے
جانا ہے سر کو جا چکے دل کو قرار آئے کیوں
ہے تو رضاؔ نِرا سِتَم جُرم پہ گر لجائیں ہم
کوئی بجائے سوزِ غم سازِ طَرَب بجائے کیوں