Muhammad Mazhar e Kamil Haq Ki Shan Izzat Ka Lyrics Urdu/English

Muhammad Mazhar e Kamil Haq Ki Shan Izzat Ka Lyrics

Muhammad Mazhar e Kamil Haq Ki Shan Izzat Ka Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Muhammad mazhar e kamil haq ki shan izzat ka
Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka

Yahi hai asl e aalam e maadah ijaad e khalqat ka
Yahaan wahdat mein barpa hai ajab hangaama kasrat ka

Gadaa bhi muntazir hai khuld mein nekon ki da’wat ka
Khuda din khair se laaye sakhi ke ghar ziyafat ka

Gunah maghfoor, dil raushan, khanak aankhein, jigar thanda
Ta’ala Allah maah e Taiba aalam teri tal’at ka

Na rakhi gul ke josh e husn ne gulshan meinjaa baaqi
Chatakta phir kahaan ghuncha koi baagh e Risaalat ka

Muhammad mazhar e kamil haq ki shan izzat ka
Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka

Barhaa ye silsila e rahmat ka daur e zulf e waala mein
Tasalsal kaale koson reh gaya isiyan ki zulmat ka

Saf e maatam uthe khaali ho zindaan tootein zanjeerain
Gunahgaaro chalo Mawla ne dar khola hai jannat ka

Sikhaaya hai yeh kis gustaakh ne aaina ko Yaa Rab
Nazaarah rooye jaanaan ka bahaana kar ke hairat ka

Idhar ummat ki hasrat par udhar Khaaliq ki rahmat par
Niraala taur hoga gardish e chashme shafa’at ka

Muhammad mazhar e kamil haq ki shan izzat ka
Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka

Barhein is darja maujein kasrat e afdaal e waala ki
Kinaarah mil gaya is neher se daryaa e wahdat ka

Kham e zulf e Nabi saajid hai mehraab e do abru mein
Ke Yaa Rab tu hi waali hai siyah kaaraan e ummat ka

Madad aay joshish e girya baha de kooh aur sehra
Nazar aa jaaye jalwah be hijaab us paak turbat ka

Hue kam khwaabi e hijraan mein saaton parde kam khwaabi
Tassawwur khoob baandha aankhon ne astaar e turbat ka

Muhammad mazhar e kamil haq ki shan izzat ka
Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka

Yaqeen hai waqt e jalwah laghzishain paaye negah paaye
Mile josh e safaaye jism se paa bos hazrat ka

Yahaan chirka namak waa marham e kafoor haath aaya
Dil e zakhmi namak parwardah hai kis ki malaahat ka

Ilaahi muntazir hoon woh khiraam e naaz farmaaein
Bicha rakha hai farsh aankhon ne kam khwaab e basaarat ka

Na ho Aaqa ko sajdah Adam o Yusuf ko sajdah ho
Magar sad e zaraay’ e daab hai apni shari’at ka

Muhammad mazhar e kamil haq ki shan izzat ka
Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka

Zabaan e khaar kis kis dard se un ko sunaati hai
Tarapna dasht e Taiba mein jigar afgaar furqat ka

Sirhaane un ke bismil ke ye betaabi ka matam hai
Shahe kausar tarahham tishnahjaata hai ziyaarat ka

Jinhein marqad me taa hashr ummati keh kar pukaroge
Hamain bhi yaad kar lo un mein sadqa apni rahmat ka

Woh chamke bijliyan Yaa Rab tajalli haaye jaanaan se
Ke chashm e toor surma ho dil mushtaaq rooyat ka

Raza e khasta josh e behr e ‘isiyaan se na ghabraana
Kabhi to haath aajaayega daaman unki rahmat ka

Muhammad mazhar e kamil haq ki shan izzat ka
Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz wahdat ka

محمد مظہرِ کامل ہے حق کی شانِ عزّت کا

نظر آتا ہے اِس کثرت میں کچھ انداز وحدت کا


یہی ہے اصل عالم مادّہ ایجادِ خلقت کا

یہاں وحدت میں برپا ہے عجب ہنگامہ کثرت کا


گدا بھی منتظر ہے خلد میں نیکوں کی دعوت کا

خدا دِن خیر سے لائے سخی کے گھر ضیافت کا


گنہ مَغفُور، دل روشن، خُنَک آنکھیں، جگر ٹھنڈا

تَعَالَی اللہ! مَاہِ طیبہ عالم تیری طلعت کا


نہ رکھی گل کے جوشِ حسن نے گلشن میں جَا باقی

چٹکتا پھر کہاں غنچہ کوئی باغِ رسالت کا


بڑھا یہ سِلسلہ رحمت کا دَورِ زلفِ والا میں 

تسلسل کالے کوسوں رہ گیا عِصیاں کی ظلمت کا


صَفِ مَاتَم اُٹھے، خالی ہو زِنداں، ٹوٹیں زَنجیریں 

گنہگارو! چلو مولیٰ نے دَر کھولا ہے جنت کا


سکھایا ہے یہ کس گستاخ نے آئینہ کو یارب

نَظَّارہ رُوئے جاناں کا بہانہ کر کے حیرت کا


اِدھر اُمّت کی حسرت پر اُدھر خالق کی رحمت پر

نِرالا طَور ہوگا گردشِ چشم شفاعَت کا

بڑھیں اِس دَرجہ موجیں کثرتِ اَفضالِ والا کی

کنارہ مل گیا اس نہر سے دریائے وَحدت کا


خَمِ زُلفِ نبی ساجد ہے محرابِ دو اَبرو میں 

کہ یارب تو ہی والی ہے سِیہ کارانِ اُمّت کا


مدد اے جوشِشِ گِریہ بہا دے کوہ اور صحرا

نظَر آ جائے جلوہ بے حجاب اس پاک تُربت کا


ہوئے کَمخوابیَ ہِجراں میں ساتوں پردے کمخوابی

تصور خوب باندھا آنکھوں نے اَستارِ تُربت کا


یقیں ہے وَقْتِ جلوہ لغزشیں پائے نگہ پائے

ملے جوشِ صَفائے جسم سے پابوس حضرت کا


یہاں چھڑکا نمَک وَاں مَرْہمِ کافور ہاتھ آیا

دِلِ زَخمی نمک پَروَردَہ ہے کس کی مَلاحَت کا


الہٰی منتظر ہوں وہ خِرامِ ناز فَرمائیں 

بچھا رکھا ہے فرش آنکھوں نے کمخوابِ بَصارَت کا


نہ ہو آقا کو سجدہ آدَم و یوسُف کو سجدہ ہو

مگر سَدِّ ذَرائع داب ہے اپنی شریعت کا


زَبانِ خار کِس کِس دَرد سے اُن کو سناتی ہے

تڑپنا دَشت طیبہ میں جِگر اَفگار فُرقَت کا


سِرھانے ان کے بِسْمِل کے یہ بیتابی کا ماتَم ہے

شہِ کوثر تَرَحّم تشنہ جاتا ہے زیارت کا


جنھیں مر قد میں تا حشر اُ مّتی کہہ کر پکارو گے

ہمیں بھی یاد کر لو اُن میں صدقہ اپنی رَحمت کا


وہ چمکیں بجلیاں یارب تجلّیہائے جاناں سے

کہ چشم طور کا سُرمہ ہو دِل مشتاق رُویت کا


رضاؔئے خستہ! جوشِ بَحرِ عصیاں سے نہ گھبرانا

کبھی تو ہاتھ آجائے گا دامن اُن کی رحمت کا

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *