Table of Contents
ToggleHai Lab e Isa Se Ja Bakhshi Nirali Haath Me Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Hai lab e isa se ja bakhshi nirali haath me
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein
Be nawaon ki nigaahein hain kahaan tehreer e dast
Reh gayien jo paa ke jood e laa yazaali haath mein
Kya lakiron mein yadullah khat sar o aasa likhaa
Raah yoon is raaz likhne ki nikaali haath mein
Hai lab e isa se ja bakhshi nirali haath me
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein
Jood shahe Kausar apne pyason ka joya hai aap
Kya ajab ur kar jo aap aaye piyaali haath mein
Abr nisyaan momino ko taigh uriyaan kufr par
Jam’a hain shaan e jamaali o jalaali haath mein
Hai lab e isa se ja bakhshi nirali haath me
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein
Maalik e kaunain hain go pass kuch rakhte nahin
Do jahan ki nematein hain un ke khaali haath mein
Saaya afgan sar pe ho parcham Ilaahi jhoom kar
Jab liwaul hamd le ummat ka waali haath mein
Hai lab e isa se ja bakhshi nirali haath me
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein
Har khate kaf hai yahaan aay dasht e baizaaye kaleem
Mojzan daryaae noor e be misaali haath mein
Wo giraan sangi qadr e mas wo arzaani jood
Nauiya badla kiye sang walaali haath mein
Hai lab e isa se ja bakhshi nirali haath me
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein
Dastageere har do aalam kar diya sibtain ko
Aay main qurbaan jaan e jaan angusht kya lee haath mein
Aah wo aalam ke aankhein band aur lab par durood
Waqf sang e dar jabeen rauza ki jaali haath mein
Hai lab e isa se ja bakhshi nirali haath me
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein
Jis ne bai’at ki bahaar e hassan par qurbaan raha
hai lakeerein naqsh e taskheer e jamaali haath mein
Kaash ho jaaun lab e Kausar mein yoon waa rafta hosh
Le kar us jaan e karam ka zel aali haath mein
Hai lab e isa se ja bakhshi nirali haath me
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein
Aankh mehwe jalwa e deedaar e dil pur josh e wajd
Lab pe shukr e bakhshish saaqi pyaali haath mein
Hashr mein kya kya mazey waaraftagi ke loon Raza
Laut jaaun paa ke wo daamane aali haath mein
Hai lab e isa se ja bakhshi nirali haath me
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein
ہے لبِ عیسٰی سے جاں بخشی نِرالی ہاتھ میں
سنگریزے پاتے ہیں شِیریں مَقالی ہاتھ میں
بے نواؤں کی نِگاہیں ہیں کہاں تحریر دست
رہ گئیں جو پا کے جودِ لایزالی ہاتھ میں
کیا لکیروں میں یَدُ اللہ خط سرو آسا لکھا
راہ یوں اس راز لکھنے کی نکالی ہاتھ میں
جُودِ شاہِ کوثر اپنے پیاسوں کا جُویا ہے آپ
کیا عجب اُڑ کر جو آپ آئے پیالی ہاتھ میں
ابر نِیساں مومنوں کو تیغِ عُریاں کفر پر
جمع ہیں شانِ جمالی و جلالی ہاتھ میں
مالکِ کونین ہیں گو پاس کچھ رکھتے نہیں
دو جہاں کی نعمتیں ہیں ان کے خالی ہاتھ میں
سایہ اَفگن سر پہ ہو پرچم الہٰی جُھوم کر
جب لِوَاء الْحَمْد لے اُمّت کا والی ہاتھ میں
ہر خطِ کف ہے یہاں اے دستِ بیضائے کلیم
موجزن دریائے نورِ بے مثالی ہاتھ میں
وہ گراں سنگی قدرِ مَس وہ ارزانی جود
نوعیَہ بدلہ کیے سنگ و لآلی ہاتھ میں
دستگیرِ ہر دو عالم کر دیا سِبطین کو
اے میں قرباں جانِ جاں انگشت کیا لی ہاتھ میں
آہ وہ عالم کہ آنکھیں بند اور لب پر دُرود
وقف سنگِ در جبیں رَوضہ کی جالی ہاتھ میں
جس نے بَیْعَتْ کی بہار حسن پر قرباں رہا
ہیں لکیریں نقش تسخیرِ جمالی ہاتھ میں
کاش ہو جاؤں لبِ کوثر مَیں یوں وارفتہ ہوش
لے کر اس جانِ کرم کا ذیل عالی ہاتھ میں
آنکھ محوِ جلوۂ دیدار دل پُر جوشِ وجد
لب پہ شکرِ بخشِشِ ساقی پیالی ہاتھ میں
حشر میں کیا کیا مزے وارفتگی کے لُوں رضاؔ
لوٹ جاؤں پا کے وہ دامانِ عالی ہاتھ میں