Andheri raat hai gham ki ghata ‘isyaan ki kaali hai
Dil e be kas kaa is aafat mein Aaqa tu hi waali hai
Na ho maayoos aati hai sadaa gor e gharibaan se
Nabi ummat ka haami hai khuda bando ka waali hai
Utarte chaand dhalti chandni jo ho sake kar le
Andhera paakh aata hai ye do din ki ujaali hai
Andheri raat hai gham ki ghata ‘isyaan ki kaali hai
Dil e be kas kaa is aafat mein Aaqa tu hi waali hai
Arey yeh bherriyon ka ban hai aur shaam aagayi sar par
Kahaan soya musaafir haaye kitna laa ubaali hai
Andhera ghar akeli jaan dum ghut ta dil uktaata
Khuda ko yaad kar pyaare wo saa’at aane waali hai
Andheri raat hai gham ki ghata ‘isyaan ki kaali hai
Dil e be kas kaa is aafat mein Aaqa tu hi waali hai
Zameen tapti kateli raah bhaari bojh ghaayal paaon
Museebat jhelnay waale tera Allah waali hai
Na chonkaa din hai dhalne par teri manzil hui khoti
Arey o jaane waale neend ye kab ki nikaali hai
Raza manzil to jaisi hai woh ik mein kya sabhi ko hai
Tum usko rote ho yeh to kaho yaan haath khaali hai
Andheri raat hai gham ki ghata ‘isyaan ki kaali hai
Dil e be kas kaa is aafat mein Aaqa tu hi waali hai
اندھیری رات ہے غم کی گھٹا عصیاں کی کالی ہے
دلِ بے کس کا اِس آفت میں آقا تُو ہی والی ہے
نہ ہو مایوس آتی ہے صَدا گورِ غریبَاں سے
نبی اُمّت کا حامی ہے خدا بندوں کا والی ہے
اُترتے چاند ڈھلتی چاندنی جو ہو سکے کر لے
اندھیرا پاکھ آتا ہے یہ دو دن کی اُجالی ہے
ارے یہ بھیڑیوں کا بن ہے اور شام آگئی سر پر
کہاں سویا مسافر ہائے کتنا لا اُبالی ہے
اندھیرا گھر، اکیلی جان، دَم گُھٹتا، دِل اُکتاتا
خدا کو یاد کر پیارے وہ ساعت آنے والی ہے
زمیں تپتی، کٹیلی راہ، بَھاری بوجھ، گھائل پاؤں
مصیبت جھیلنے والے تِرا اللہ والی ہے
نہ چَونکا دن ہے ڈھلنے پر تری منزل ہوئی کھوٹی
ارے او جانے والے نیند یہ کب کی نکالی ہے
رضاؔ منزل تو جیسی ہے وہ اِک میں کیا سبھی کو ہے
تم اس کو روتے ہو یہ تو کہو یاں ہاتھ خالی ہے
Pingback: 100+ Ala Hazrat Naat Lyrics in Urdu and English | Hadaiq e Bakhshish Lyrics - Islamic Images