Woh Kamal e Husn e Huzoor Hai Lyrics Urdu/English

Woh Kamal e Husn e Huzoor Hai Lyrics

Woh Kamal e Husn e Huzoor Hai Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Woh kamal e husn e Huzoor hai ki gumaane naqs jahaan nahi
Yahi phool khaar se door hai yahi sham’a hai ki dhoowa nahi

Do jahaan ki behtariya nahi ke amaniye dil o jaan nahi
Kaho kia hai woh jo yahaa nahi magar ek nahi ki woh haan nahi

Mein nisaar tere kalaam par mili yoon to kis ko zabaan nahi
Woh sukhan hai jis mein sukhan na ho woh bayaan hai jiska bayaan nahi

Bakhuda Khuda ka yahi hai dar nahi aur koi mafar maqar
Jo wahaan se ho yahi aake ho jo yahaan nahi to wahaan nahi

Kare Mustafa ki ihaanatain khule bando uss pe yein jur’ate
Ke mein kya nahi hoon Muhammadi? Are haan nahi are haan nahi

Tere aage yoon hai dabe lache foosahaa arab ke bare bare
Koi jaane moonh mein zubaan nahi nahi balke jism mein jaan nahi

Woh sharf ke qat’a hain nisbatain wo karam ke sab se qareeb hain
Koi keh do yaas o ummid se wo kaheen nahi wo kahaan nahi

Woh kamal e husn e Huzoor hai ki gumaane naqs jahaan nahi
Yahi phool khaar se door hai yahi sham’a hai ki dhoowa nahi

Yeh nahi ke Khuld na ho neko wo nekoi ki bhee hai aabroo
Magar aay Madinah ki aarzoo jise chahe to wo samaan nahi

hai unhi ke Noor se sab ayaan hai unhi ke jalwah mein sab neeha
Bane subhe taabishe mehr se rahe peshe mehr yehjaan nahi

Wahi Noor e Haqq wahi zille Rab hai unhi se sab hai unhi ka sab
nahi unki milk mein aasmaan ke zameen nahi ke zamaan nahi

Wahi la makaan ke makeen huwe sare arsh takht nasheen huwe
Woh Nabi hai jiske hain yeh makaan woh Khuda hai jiska makaan nahi

Sare arsh par hai teri guzar dil e farsh par hai teri nazar
Malakoot o malk mein koi shai nahi woh jo tujh pe ayaan nahi

Woh kamal e husn e Huzoor hai ki gumaane naqs jahaan nahi
Yahi phool khaar se door hai yahi sham’a hai ki dhoowa nahi

Karoon tere naam pe jaan fida na has ek jaan do jahaan fida
Do jahaan se bhi nahi ji bharaa karoon kya karoro jahaan nahi

Tera qad to naadire daher hai koi misl ho to misaal de
nahi gul ke paudo mein daaliya ke chaman mein saro chamaa nahi

nahi jis ke rang ka dusra na to ho koi na kabhi huwa
Kaho us ko gul kahe kiya koi ke gulo ka dher kahaa nahi

Karu madh e ahl e duwal Raza pare is balaa mein meri balaa
Mein gadaa hun apne Kareem ka mera deen paara e naan nahi

Woh kamal e husn e Huzoor hai ki gumaane naqs jahaan nahi
Yahi phool khaar se door hai yahi sham’a hai ki dhoowa nahi

وہ کمالِ حُسنِ حضور ہے کہ گمانِ نَقْص جہاں نہیں 

یہی پھول خار سے دور ہے یہی شمع ہے کہ دُھواں نہیں


دو جہاں کی بہتریاں نہیں کہ امانیٔ دل و جاں نہیں 

کہو کیا ہے وہ جو یہاں نہیں مگر اک ’’نہیں‘‘ کہ وہ ہاں نہیں


میں نثار تیرے کلام پر مِلی یُوں تو کِس کو زباں نہیں 

وہ سخن ہے جس میں سخن نہ ہو وہ بیاں ہے جس کا بیاں نہیں


بخدا خدا کا یہی ہے در نہیں اور کوئی مَفَر مَقَر

جو وہاں سے ہو یہیں آکے ہو جو یہاں نہیں تو وہاں نہیں


کرے مصطفٰی کی اِہانتیں کھلے بندوں اس پہ یہ جرأتیں 

کہ میں کیا نہیں ہوں مُحَمَّدِی! ارے ہاں نہیں ارے ہاں نہیں


تِرے آگے یُوں ہیں دَبے لَچے فُصَحَاعرب کے بڑے بڑے

کوئی جانے منھ میں زباں نہیں، نہیں بلکہ جسم میں جاں نہیں


وہ شرف کہ قطع ہیں نسبتیں وہ کرم کہ سب سے قریب ہیں 

کوئی کہدو یاس و امید سے وہ کہیں نہیں وہ کہاں نہیں


یہ نہیں کہ خُلد نہ ہو نِکو وہ نِکوئی کی بھی ہے آبرو

مگر اے مدینہ کی آرزو جسے چاہے تو وہ سماں نہیں


ہے اُنہیں کے نور سے سب عیاں ہے اُنہیں کے جلوہ میں سب نہاں 

بنے صبح تابش مہر سے رہے پیش مہر یہ جاں نہیں


وہی نورِ حق وہی ظلِّ ربّ ہے انہیں سے سب ہے انہیں کا سب

نہیں ان کی مِلک میں آسماں کہ زمیں نہیں کہ زماں نہیں


وہی لامکاں کے مکیں ہوئے سرِ عرش تخت نشیں ہوئے

وہ نبی ہے جس کے ہیں یہ مکاں وہ خدا ہے جس کا مکاں نہیں


سرِ عرش پر ہے تِری گزر دلِ فرش پر ہے تِری نظر

ملکوت و ملک میں کوئی شے نہیں وہ جو تجھ پہ عیاں نہیں


کروں تیرے نام پہ جاں فدا نہ بس ایک جاں دو جہاں فِدا

دو جہاں سے بھی نہیں جی بھرا کروں کیا کروڑوں جہاں نہیں


تِرا قد تو نادرِ دہر ہے کوئی مِثل ہو تو مِثال دے

نہیں گُل کے پودوں میں ڈالیاں کہ چمن میں سرو چماں نہیں


نہیں جس کے رنگ کا دوسرا نہ تو ہو کوئی نہ کبھی ہوا

کہو اس کو گل کہے کیا بنی کہ گلوں کا ڈھیر کہاں نہیں


کروں مدحِ اہلِ دُوَلْ رضاؔ پڑے اِس بَلا میں مِری بَلا

میں گدا ہوں اپنے کریم کا مِرا دِین پارۂ ناں نہیں

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *