Biography of Ummul Mo’mineen Hazrat e Juwayriyya Bint Al Harith رضي الله عنها | Download Free PDF

Ummul Mo’mineen Hazrat e Juwayriyya Bint Al Harith رضي الله عنها

Aap ki Wiladat:

Hazrat e Juwayriyya Bint Al Harith رضي الله عنها ki wiladat 608 A.D. me hui. Aap ke waalid ka naam Haariṡ ibn Abi Diraar hai. Aap ke waalid Banu Mustaliq qabeele ke sardaar the.

Banu Mustaliq qabeele waalo ne Madeena munawwara par hamle karne ki tajweej ki Musalmano ko is ka pata chal gaya aur unho ne 700 muslimo ke lashkar ke saath kooch ki aur al-Muraisi tak pahunche. Pehle musalamno ki taraf se Banu Mustaliq apnaane ki daawat di gai. Magar Banu Mustaliq ne inkaar kiya aur jang ki tayyari ki.

Sha’abaan 6 Hijri (December 627A.D.) me maqaam e Muraisi par Banu Mustaliq aur musalamano ke bich jung hui. Hazrat Abu Bakr Siddeeq رضي الله عنها ko muhaajireen ke sardaar banaaye gaye aur Hazrat Sa’ad bin Ubadah al- Khazraaji رضي الله عنها ko ansaar ke sardaar banaaye gaye. Jung me ek musalman shaheed hue aur Musalmano ne jung me fateh haasil ki.

Hazrat e Juwayriyya Bint Al Harith رضي الله عنها ke shohar Musaafi bin Safwaan bhi jung me qatl hue. Aur Juwairiya ko dusre logo ke saath qaid kiya gaya. Aur Aap ko Ṡaabit bin Qays ko diya gaya.

Aap ke waalid Aap ko riha karaane ke liye bahot saare oont lekar Madeena pahunche. Madeena me daakhil hone se pehle unho ne un oonto me se apne pasandeeda 2 behtar mazboot oont ek waadi me chhupa diye. Jab Huzoor Rasool-Allāh ﷺ se mulaaqat hui to unho ne kaha ke ‘In oonto ko rakh lo aur meri beti ko aazaad kar do.’ Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne un se farmaaya ‘Aur un 2 oonto ka kya jo tum waadi me rakhkar aaye ho?’ Ye sunkar Haariṡ ibn Abi Diraar ko yaqeen ho gaya ke ‘Huzoor Mohammad Mustafa ﷺ ALLĀH ta’ala ke bheje hue Nabi e saadiq hain.’ Aur unho ne kalma padhkar Islaam apna liya.

Is duraan Hazrat e Juwayriyya Bint Al Harith رضي الله عنها Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ki baargaah me aai aur arz kiya ‘Main qabeele ke sardaar ki beti hu aur ab ghulaamo waala sulook bardaasht karna mere liye mumkin nahi. Aap meri najaat ka koi raasta bata’iye.’

Aap ki baat sunkar Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne farmaaya ‘Main behtar raasta bataata hu. Aap mujh se nikaah kar lo.’

Ye baat sunkar Aap behad khush hui. Aur Aap ne Islaam apnaaya. 6 Hijri (628A.D.) me Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne Hazrat e Juwayriyya Bint Al Harith رضي الله عنها se nikaah kiya tab Huzoor ﷺ ki umr 58 saal thi aur Aap ki umr 20 saal thi.

Huzoor ﷺ ne Banu Mustaliq ke logo ko aazaad kar diya. Baad me un me se bahot saare logo ne Islaam apnaaya.

Aap ka naam ‘Barrah’ tha. Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne Aap ka naam ‘Juwairiya’ rakha. Aap bahot khubsurat, zaheen aur faseeh thi. Aap bahot ibaadat guzaar aur parhezgaar thi. Aap har mahine me 3 roze rakhti thi.

Aap ka Wisaal:

Hazrat e Juwayriyya Bint Al Harith رضي الله عنها ka wisaal 10 Safar 50 Hijri (670 A.D.) ko hua. Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Ummul mo’mineen Hazrat e Juwayriyya Bint Al Harith رضي الله عنها aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *