History of Hazrat Qaazi Abul Ma ali Shamsuddin Ahmad Jaafri Jaunpauri | Download Free PDF

Laqab:

Shams-ul-Ulama, Badr-ul-Fuzala, Umdtaul Muhaqqiqeen.

Aap ki Wiladat:

Hazrat Shamsuddin Ahmad Jaafri Jaunpauri ki wiladat 28 Zil Hijja 1322 Hijri (5 March 1905 A.D.) ko dopahar 2 baje hui. 4 saal 4 maah 4 din ki umr me Aap ki Bismillāh khwaani ki gai.

Aap ke walid:

Shamsuddin Ahmad Jaafri Jaunpauri ke waalid ka naam Hazrat Nazeer-ud-deen bin Qamar-ud-deen hai. Aap Hazrat Ja’afar Tayyaar bin Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

Aap ki Talimaat:

Hazrat Shamsuddin Ahmad Jaafri Jaunpauri ne apne dada aur waalid e mohtaram se Urdu, Faarsi aur Angrezi ki ibtidaai taleem haasil ki aur Qur’ān majeed ka kuchh hissa hifz kiya.

7 Ramadan 1334 Hijri (8 July 1916 A.D.) ko Mission High School me daakhila liya aur 1341 Hijri (1923 A.D.) tak padhai ki.

Phir 1 saal tak Madrasa e Faarooqiya, Jaunpur me Kaafiya, Tehzeeb wagairah kitaaben padhi. 1343 Hijri (1925 A.D.) me Hazrat Sadr-ul-Afaazil Maulana Sayyed Muhammad Naeem-ud-deen Muradabadi rahmatullāhi alaihi ki khidmat me haazir hue.

1344 Hijri (1926 A.D.) me Hazrat Sadr-ul-Afaazil Ajmer tashreef le gaye. Aap ne bhi Ajmer jaakar Madrasa Moeeniuya me beshtar kitaaben padhi.

Phir jab Hazrat Bareilly tashreef laaye to Aap ne Manzar e Islaam mein ek saal me baaqi ta’aleem mukammal ki aur sanad aur dastaar ata ki gai.

Shamsuddin Ahmad Jaafri Jaunpauri ne Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi se bhi ta’aleem haasil ki aur Hadeeṡ, Fiq’h aur Ma’aqoolaat ki sanad haasil ki.

Aap ne (apne maamu) Shaikh Noor-ul-Hasan, Allama Maulana Hafiz Abdul Azeez Khan Fatehpuri, Maulan Wasi Ahmad Sarsarami, Maulana Abullāh Kandahari, Maulana Zafar-ud-deen Bihari, Maulana Abdul Hayy se bhi ta’aleem haasil ki.

Aap ke Mashoor Shaagird:

(1) Hazrat Allama Mufti Sibtain Raza Khan rahmatullāhi alaihi,

(2) Hazrat Shaikh-ul-Islaam Muhammad Madani miyan,

(3) Hazrat Maulana Muhammad Haashami miyan Kichhauchhawi,

(4) Hazrat Maulana Muhamamd Aazam,

(5) Hazrat Allama Mufti Zain-ul-Aabideen,

(6) Hazrat Allama Zain-ud-deen Ahmad Ja’afari,

(7) Hazrat Maulana Abul Fath Muhiy-ud-deen Ahmad Hishaam Ja’afari,

(8) Hazrat Maulana Anwar Ali Siddeeqi Gorakhpuri,

(9) Hazrat Maulana Muattar Ali Razawi Bhadohi,

(10) Hazrat Maulana Abdush Shakoor Giyawi rahmatullāhi alaihi,

(11) Hazrat Maulana Najm-ud-deen,

(12) Hazrat Maulana Mufti Muhammad Yaameen,

(13) Hazrat Maulana Abdul Azeez Ashrafi Bhagalpuri,

(14) Hazrat Maulana Muhammad Muslim Husain Shamsi,

(15) Hazrat Maulana Shabbeer Ahmad Ronahi,

(16) Hazrat Maulana Hakeem Muhammad Tayyab Ashrafi,

(17) Hazrat Maulana Muhammad Moeen Ashrafi Sambhali,

(18) Hazrat Maulana Muhammad Shams-ud-deen Ahmad Bahraichi.

Aap ki likhi hui Mashoor Kitabein:

(1) Qaanoon-e-Shariat (2 Hisse)

(2) Qawa’id-un-Nazar fee Majaalil Fikr (Istilahat-e-Mantiq)

(3) Qawa’id-al-Arab.

Apne aakhri dino me Aap ne mustaqbil ki kai basharaten sunai.

Aap ki Khilafat aur Mureedi:

Hazrat Shamsuddin Ahmad Jaafri Jaunpauri, 14 saal ki umr me Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Bareilwi Rahmatullāhi Alaihi ke mureed hain.

Hazrat Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilafat ata farmaye hai.

Aap ne Hazrat Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Hujjat-ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza

Hazrat Shamsuddin Ahmad Jaafri Jaunpauri ne taqreeban 50 saal tak mukhtalif idaaro me ta’aleem wa tadrees karte rahe jin me Daar-ul-Uloom Mazhar-e-Islam, Bareillly, Jaamia Naeemiya, Muradabad, Madrasa Manzar-e-Haq, Toda, Saabiq Jaamia Azhar, Madrasa e Hanafiya, Jaunpur, Daar-ul-Uloom Ashrafiya, Mubarakpur, Jaamia Hameediya Razawiya, Banaras shamil hain.

Aap ka Wisaal:

Hazrat Shamsuddin Ahmad Jaafri Jaunpauri ka wisaal 1 Muharram 1492 Hijri (30 October 1981 A.D.) ko Shab e Jum’aa ko hua. Aap ka mazaar Banaras (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Allama Qaazi Shams-ud-deen Ahmad Ja’afari Jaunpuri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se

Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa akhirat mein kamyabi ata farmaye aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *