Biography of  Hazrat Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan | Download Free PDF

Laqab

Sunni-Taraash.

Aap ki Wiladat:

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ki wilaadat 11 Ramazaan 1111 Hijri (1699 A.D.) ko Delhi me hui.
Aap ke waalid ka naam Mirza Jaan hai.
Aap Alawi hain.

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ke waalid Mughal baadshaah Aurangzeb ke lashkar me the.
Baadshaah Aurangzeb ne Aap ka naam ‘Jaan-e-Jaanaan’ rakhne ka mashwara diya

Aap ki Talimaat:

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ne apne waalid se ta’aleem haasil ki.

9 saal ki umr me hi ALLĀH ke fazl se Aap ko Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aur Hazrat Abu Bakr radiy-Allāhu ta’ala anhu, Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Naqshband Rahmatullāhi Alaihi aur deegar masha’ish ki ziyarat ki sa’adat haasil hui.

1129 Hijri me 18 saal ki umr me Hazrat Noor Muhammad Badayuni Naqshbandi ke mureed hue aur Peer ki khidmat karte rahe. Aap ne Hazrat se Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki

Aap Peer ke farmaan par jangal aur sehra me mujaahida karte rahe. 6 saal ke baad ek baar jab Aap ne aa’ine me dekha to Aap ko Peer o murshid ka aqs nazar aaya. Is ke baad Hazrat Noor Muhammad Badayuni ne Aap ko khilaafat ata farmai.

1135 Hijri (1722 A.D.) me Peer ke wisaal ke baad Aap 2 saal tak Hazrat ke mazaar par haazir hokar faiz haasil karte rahe.

Phir Peer ke farmaan par Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ne 20 saal tak Shaikh Haaji Muhammad Afzal Sialkoti se (Hadeeṡ ki ta’aleem), Shaikh Haafiz Safi Sa’adullāh aur Shaikh Muhammad Aabid Sanaami se ta’aleem haasil ki.Phir Aap logo ko ta’aleem aur faiz ata farmaate rahe.

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه Qutub e zamaan the. Aap baadshaah Aurangzeb ke lashkar me bhi rahe aur kuchh jung me bhi shareek hue.

Tasannif :

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ki likhi hui mash’hoor kitaaben:

(1) Khareet-e-Jawaahir
(2) Deewaan-e-Sha’iar bil Faarsi
(3) Deewaan-e-Ash’aar-e-Urdu.

‘Makaateeb-e-Mirza Mzhar’ me Aap ke likhe hue 147 Khato ko jama kiya gaya hai.
‘Ruq’at-e-Karaamat Sa’adat’ me Aap ke likhe hue 88 Khato ko jama kiya gaya hai.

Aqwaal :

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه irshaad farmaate hain ke :

(1) Mureed ko ek sipaahi jaisa hona chaahiye jo apne Aaqa ke liye apni jaan bhi qurbaan kar deta hai.

(2) Ek baar Peer ke saath mureed ka ta’alluq jood jaata hai to mureed ghaib se faiz ke khazaane paata rehta hai. Is ke liye sab se pehle mazboot e’atamaad zaroori hai. Adab ke saath Peer ki mohabbat aati hai. Aur yeh mohabbat ghaib ke khazaane paane ki chaabi hai. Aam haalaat me Peer se baatini ta’alluq samajhna mushkil hai. Magar jab ghaib ke darwaaze khul jaate hain to saabiq masha’ikh se bhi ta’alluq ho jaata hai aur aane waale Auliya aur buzurg bhi zaahir ho jaate hain. Aur is baatini ta’alluq se tareeqat wa ma’arifat aur roohaani rif’at ke liye jo kuchh bhi zaroori hai wo haasil ho jaata hai.

Roohaani safar andheri ghaar me safar karne jaisa hai. Jis me sirf ibaadat wa mujaahida ke saath aage badhna mushkil hai. Is safar me murshid ke faiz ki roshni hi madad karti hai. Peer aise maqaam par pahunchaate hain ke jaha par yeh andhera khatm ho jaata hai aur baatin munawwar ho jaata hai. Yeh noor Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se shuru hokar silsila ke masha’ikh se hote hue mureed tak pahunchta hai.

Aap ki Karaamat:

(1) Ek martaba Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ne apne mureedo ko kuchh naseehat farmai. Lekin un me se kuchh shakhso ne hasad ki wajah us par aitraaz kiya. Aap ne farmaaya “Agar tum log meri baat ko sahi nahi maante to hum Qaazi ko bula lete hain.” Un logo ne kaha “Hum Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke siwa kisi qaazi ko nahi maante aur Roze qaayamat unhi se is ka faisla puchhenge.” Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ne farmaaya “Roze Qayaamat tak intazaar karne ki zaroorat nahi hai. Hum Huzoorko aaj hi faisla karne ke liye iltija karte hain.”

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه muraaqaba me chale gaye aur Soorah al-Faatiha ki tilaawat farmai. Foran Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam waha tashreef laaye aur farmaaya “Mazhar Habeebullāh sahi hai aur tum log galat ho.”

(2) Ek martaba aap kuchh mureedo ke saath safar kar rahe the. Un logo ne apne saath khaane ka koi saamaan nahi liya tha aur paidal safar kar rahe the. Raaste me ek maqaam par aaraam karne ke liye rooke. Hazrat ne farmaaya “Tumhare liye khaana haazir hai.” Jaise hi Aap ne yeh farmaaya foran ghaib se khaane se saja hua dastarkhwaan haazir ho gaya.

Phir ek martaba tez toofaan shuru hua aur shadeed thand ki wajah se sab ka haal bahot bura ho gaya. Aap ne haath uthakar dua maangi “Aye ALLĀH! Humare upar se is toofaan ko door kar de.” Sab ne dekha ke un ke upar se baarish aur toofaan hat gaya jab ke ek mile door toofaan jaari tha aur thandi ke badle mausam bhi khushnuma ho gaya.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Sayyed Noor Muhammad Badayuni Naqshbandi Mujaddidi Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Shaikh Muhammad Aabid Sanaami Rahmatullāhi Alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ko Naqshbandi, Qaadri, Suharwardi aur Chishti silsile ki ijaazat mili hai.
Aap se ‘Naqshbandi Mazhariya’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa:

(1) Hazrat Khwaja Shaikh Shaah Ghulaam Ali Abdullāh Dehlawi Rahmatullāhi Alaihi

(2) Hazrat Qaazi Ṡanaaullāh Panipati Rahmatullāhi Alaihi

(3) Hazrat Maulana Shaah Naeemullāh Bahraichi Rahmatullāhi Alaihi

(4) Hazrat Shaikh Sayyed Meer Musalman Rahmatullāhi Alaihi

(5) Hazrat Maulana Fazalullāh Rahmatullāhi Alaihi

(6) Hazrat Maulana Ahmadullāh bin Qaazi Ṡanaaullāh Panipati Rahmatullāhi Alaihi

(7) Hazrat Shaikh Muhammad Jameel Rahmatullāhi Alaihi

(8 ) Hazrat Shaikh Muhammad Muraad Rahmatullāhi Alaihi

(9) Hazrat Shaikh Abdur Rahmān Rahmatullāhi Alaihi

(10) Hazrat Meer Aleemullāh Gangohi Rahmatullāhi Alaihi

(11) Hazrat Shaikh Muraadullāh urfe Ghulaam Kaaki Rahmatullāhi Alaihi

(12) Hazrat Shaikh Muhammad Ehsaan Rahmatullāhi Alaihi

(13) Hazrat Shaikh Ghulaam Hasan Rahmatullāhi Alaihi

(14) Hazrat Shaikh Muhammad Muneer Rahmatullāhi Alaihi

(15) Hazrat Khwaja Ibaadullāh Rahmatullāhi Alaihi

(16) Hazrat Maulana Qalandar Bakhsh Rahmatullāhi Alaihi

(17) Hazrat Meer Naeemullah Rahmatullāhi Alaihi

(18) Hazrat Maulana Ṡanaullāh Sanbhali Rahmatullāhi Alaihi

(19) Hazrat Meer Abdul Baaqi Rahmatullāhi Alaihi

(20) Hazrat Shaah Bheek Rahmatullāhi Alaihi

(21) Hazrat Maulana Abdul Haq Rahmatullāhi Alaihi

(22) Hazrat Shaah Muhammad Saleem Rahmatullāhi Alaihi

(23) Hazrat Shaah Rahmatullāh Rahmatullāhi Alaihi

(24) Hazrat Muhammad Shaah Rahmatullāhi Alaihi

(25) Hazrat Meer Mubeen Khan Rahmatullāhi Alaihi

(26) Hazrat Meer Muhammad Mueen Khan Rahmatullāhi Alaihi

(27) Hazrat Meer Ali Asghar urfe Meer Makhoo Rahmatullāhi Alaihi

(28) Hazrat Muhammad Hasan Arab Rahmatullāhi Alaihi

(29) Hazrat Muhammad Qaa’im Kashmiri Rahmatullāhi Alaihi

(30) Hazrat Haafiz Muhammad Rahmatullāhi Alaihi

(31) Hazrat Maulana Qutb-ud-deen Rahmatullāhi Alaihi

(32) Hazrat Maulana Ghulaam Yahyā Rahmatullāhi Alaihi

(33) Hazrat Maulana Sayyed Ghulaam Muhiy-ud-deen Jilani Rahmatullāhi Alaihi

(34) Hazrat Maulana Kaleemullah Bangali Rahmatullāhi Alaihi

(35) Hazrat Sayyed Meer Roohul Ameen Rahmatullāhi Alaihi

(36) Hazrat Shaah Muhammad Shafi Rahmatullāhi Alaihi

(37) Hazrat Muhammad Wasil Rahmatullāhi Alaihi

(38) Hazrat Muhammad Husain Rahmatullāhi Alaihi

(39) Hazrat Shaikh Ghulaam Husain Thanesari Rahmatullāhi Alaihi

(40) Hazrat Maulana Abdul Kareem Rahmatullāhi Alaihi

(41) Hazrat Maulana Abdul Hakeem Rahmatullāhi Alaihi

(42) Hazrat Nawaab Irshaad Khan Rahmatullāhi Alaihi

(43) Hazrat Ghulaam Mustafa Khan Rahmatullāhi Alaihi

(44) Hazrat Noor Muhammad Kandahari Rahmatullāhi Alaihi

(45) Hazrat Mulla Naseem Rahmatullāhi Alaihi

(46) Hazrat Mulla Abdur Razzaaq Rahmatullāhi Alaihi

(47) Hazrat Mulla Jaleel Rahmatullāhi Alaihi

(48) Hazrat Mulla Abdullāh Rahmatullāhi Alaihi

(49) Hazrat Mulla Taimoor Rahmatullāhi Alaihi.

 

Aap ka Hajj:

108 Hijri me Hajj ada karne ke baad Makka se Madeena ki taraf safar ke dauraan Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ne Maqaame Qudayd par qayaam farmaaya.

Yaha Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ko ye mushaahida hua ke Aasmaan se beshumaar rahmat ke farshte tashreef laa rahe hain aur Aap ka qalb ma’arifat e ilāhi se munawwar ho gaya hai.

Us ke baad foran Aap par neend ka ghalba taari hua aur Aap ko khwaab me Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ki ziyarat hui. Aap ne arz kiy ‘Aye Jadde amjad! Ye sab kya hai, Aasmaan se beshumaar rahmat ke farshten tashreef laa rahe hain aur mera qalb ma’arifat e ilāhi se munawwar ho gaya hai?’ Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ne farmaaya ke ‘Ye tamaam rahmat ke farishten Rab ta’ala ke hukm se us jagah ki ziyarat ke liye aa rahe hain jaha par tumhari qabr banegi. Bahot jald tumhe dunya se rukhsat hokar uqaba ki taraf aana hai.’

Jab Aap ki aankh khuli to Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ko saamne maujood paaya. Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ne puchha ke ‘Abhi maine aap ko khwaab me dekha.’ Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ne farmaaya ‘Haan, Mujhe tumhe bashaarat den eke liye bheja gaya hai.’ Aap ne arz kiya ;Kya waaqai main is dunya se rukhsat hone waala hu.’ Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu anhu ne farmaaya ‘Haan, Anqareeb tum is dunya se rukhsat hokar hume milne waale ho.’

Aap ka Wisaal:

7 Moharram 1195 Hijri ko Budh ke roz fajr ke waqt ek shia shakhs ne aap par pistol se hamla kiya aur Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ko zakhmi kar diya.

Baadshaah ne hakeem ko bheja to aap ne ilaaj se inkaar karke hakeem ko waapas bhej diya aur farmaaya “Mujhe ilaaj ki zaroorat nahi hai. Maine us shakhs ko bhi maaf kar diya hai. Kyun ki main khush hu ke mujhe shahaadat ki maut mil rahi hai.”

Jum’aa ko Aap Soorah al-Faatiha aur Soorah Yā-Sin ki tilaawat karte rahe. Phir aap ne puchha ke “Ghuroobe aaftaab ko kitna waqt baaqi hai.” Shaagirdo ne bataaya “Taqreeban 4 ghante.” Aap ne farmaaya “Abhi to bahot waqt baaqi hai.”

Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه ka wisaal 10 Moharram 1195 Hijri (January 1781 A.D.) ko Shabe Aashoora ko hua.

Aap ka mazaar Delhi me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeebke sadqe me Aur Hazrat Mirza Shams ud deen Habeebullah Mazhar Jaan e Janaan رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *