History of Shaikh Sharf ud Deen Abul Hasan Ali al Hankari | Download Free PDF

Hazrat Shaikh Sharf-ud-deen Abul Hasan Ali al-Hankari Rahmatullāhi Alaihi

Laqab:

Shaikh-ul-Islaam.

Aap ki Wiladat:

Huzoor Shaikh Sharf ud Deen Abul Hasan Ali al Hankari ki wiladat 409 Hijri (1018 A.D.) me Hankar, Mosul (Iraq) me hui.

Aap ke walid:

Aap ke waalid ka naam Ahmad bin Yousuf al-Quraishi hai. Aap Abu Sufyaan Mugheera bin Haariṡ bin Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

Aap ki Talimaat:

Huzoor Shaikh Sharf ud Deen Abul Hasan Ali al Hankari ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.

Phir Aap ne Haramain shareefain aur dusre mulko ka safar karke bahot saare ulama, mohaddeeseen aur masha’ikh se Qur’ān, Hadeeṡ aur Fiq’h ki ta’aleem haasil ki.

Makka mukarrama me Hazrat Shaikh Abul Hasan Mohammad bin Ali bin Sakhar al-Azadi rahmatullāhi alaihi se, Misr me Hazrat Shaikh Abu Abdullāh Mohammad al-Fazl rahmatullāhi alaihi se aur Baghdad me Hazrat Abul Qaasim rahmatullāhi alaihi wagairah se Ahadeeṡ akhz kiye.

Phir apne watan waapas aaye.

Aap Hazrat Shaikh Abul Farah Yousuf al-Tartusi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue aur Peer ki khidmat me rehkar ta’aleem wa faiz haasil kiya.

Huzoor Shaikh Sharf ud Deen Abul Hasan Ali al Hankari ‘Jable Hankar’ par 40 saal tak ibaadat wa mujaahida me mashgool rahe. Is arse me ALLĀH ke fazl se Aap par tajalliyat ka zahoor hua aur arsh se farsh tak sab kuchh munkashaf ho gaya.

Aap Isha aur Tahajud ke darmiyaan 2 mukammal Qur’ān majeed ki tilawat karte. Aap lagatar 3 roza rakhte aur phir waqfa karte.

Aap ka Khandaan:

1393 Hijri (1973 A.D.) me Aap ka nikaah Sayyeda Aamena Sultana se hua.

Aap ka Laqab:

Aap Raahbar e shariat, Waaqif e Rumooze haqeeqat, Aarife Rabbaani aur Muqtada e ahle zamaan the. Aap logo ko ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.

Aap hamesha shariat par amal karte aur logo ko sunnato par amal karne ki aur buri bid’ato se bachne ki tanqeed farmaate.

Aap ki Khilafat aur Mureedi:

Aap Hazrat Shaikh Abul Farah Yousuf al-Tartusi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke Khulfa:

(1) Hazrat Shaikh Abu Saeed Mubarak al-Makhzoomi rahmatullāhi alaihi,

(2) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Shaikh Taahir rahmatullāhi alaihi.

Aap ka Wisaal:

Huzoor Shaikh Sharf ud Deen Abul Hasan Ali al Hankari ka wisaal 1 Moharram 486 Hijri (1 February 1093 A.D.) ko hua. Aap ka mazar Baghdad (Iraq) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me. Aur Hazrat Shaikh Abul Hasan, Ali Hankari rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se.

Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko dunya wa akhirat mein kamyabi ata farmaye aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen. 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *