Biography of Hazrat Sayyed Shah Saifullah Rifai رحمة الله عليه | Download Free Pdf

Hazrat Sayyed Shah Saifullah Rifai رحمة الله عليه

Sayyed Shah Saifullah Rifai ki Wiladat:

Aap Hazrat Sayyed Ahmad Kabeer Rifai رحمة الله عليه ki nasl se hain aur Husaini saadaat hain.

Aap Basra me muqeem the. Waha se bashaarat paa kar aap Hindustan ke Liye Rawaana Hue. Basra se Sindh pahunche, Sindh se Ahmedabad aaye aur Ahmedabad se oont par sawaar hokar Surat tashreef laaye.

Surat me Aap Manipur [Maujooda Rander] ilaaqe me muqeem hue. Yaha aap ne ek masjid me qayaam farmaane ka iraada kiya. Is masjid ko ‘Miyan ki Masjid’ kehte hain.

Waha kuchh jinnaat ka qabza aur qayaam tha. Wo jinnaat raat ko kisi ko us masjid me theharne nahi dete the. Agar koi raat ko masjid me reh jaata to wo jinnaat us ko maar daalte the.

Chunaanche Rander ke logo ne Aap ko samjhaaya ke “Aap waha na thehre.” Lekin aap ne un ki koi parwa na ki aur raat ko masjid me hi rooke. Subah ko jab masjid ka darwaaza khola gaya to sab ko yeh dekhkar badi herat hui ke Aap zinda hain aur namaaz padh rahe hain. Is waaqye ki khabar pure Rander me phail gai aur badi ta’adaad me log Aap ki khidmat me haazir hone lage aur faiz paane lage.

Aap ki ta’aleem se bahot saare log islaam me daakhil hue.

Sayyed Shah Saifullah Rifai ki Karamat:

(1) Sayyed Shah Saifullah Rifai ka ek mureed tha. Us ko aulaad nahi hoti thi. Ek din us ne aap se is ke muta’alliq arz kiya. Itne me ek dusra mureed phalo se bhara hua ek thaal lekar haazir hua. Us Khwaan me se Aap ne 2 phal uthaakar us mureed ko diye aur farmaaya “Ye 2 phal le jaa, ek phal khud khaa lena aur dusra phal apni biwi ko khilaana. Main dua karunga.” Us shakhs ne Sayyed Shah Saifullah Rifai ke farmaan par amal kiya. Ek saal baad ALLĀH ta’ala ke fazla se us ke yaha ladka paida hua.

(2) Ek martaba aap hajaamat banva rahe the ke yakaayak aap ne aa’ina maanga. Aa’ine me dekhkar foran Aap khade ho gaye aur ek kamre me chale gaye. Kuchh der ke baad jab Aap baahar tashreef laae to Aap ke dono haath paani se bhige hue hain aur Aap ke kandhe par kichad ke nishaan maujood hain. Yeh dekhkar naai ko aur dusre logo ko herat hui ke Aakhir ye maajar kya hai?

Is waaqye ke kuchh dino ke baad aap ki baargaah me kuchh log haazir hue aur nazr pesh ki. Aap ne qubool farmakar  un logo se puchha ke “Safar kaisa raha?” Phir aap ne farmaaya ke “Jo mannat tum logo ne maani thi us me kami kyun ki?” Is Par un me se ek shakhs ne arz kiya “Huzoor! Aap ne hum sab ko aur hamare jahaaz ko doobne se bacha liya.”

Phir un logo ne khaanqaah waalo ko bataaya ke “Jab hamara jahaaz doob raha tha tab yaad karne par Hazrat paani par chalkar tashreef laaye aur apne haath aur kandhe ka sahaara dekar jahaaz ko nikaala.” Aur yeh bhi bataaya ke unho ne mannat maani thi aur us me kami karna chaaha jis ki wo maafi chaahte hain.

Ye sab sunne ke baad aap ke mureedo ko pata chala ke us din Aap kis wajah se uthkar khade ho gaye the aur kis wajah se Aap ke haath paani se bhige hue the aur kyun Aap ke kandhe ke upar kichad ke nishaan the

Sayyed Shah Saifullah Rifai ka Wisaal:

Sayyed Shah Saifullah Rifai ka wisaal 2 Jamaadi-ul-Awwal ko hua.
Sayyed Shah Saifullah Rifai ka mazaar Surat (Gujarat) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Shah Saifullah Rifai رحمة الله عليه  aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *