Biography of Hazrat Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti Urfe Badshah Miya رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab :

Baadshaah miyan, Qutbe Jobat.

Aap ki Wiladat:

Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه ki wiladat Jobat me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Qutb-ul-aqtaab Khwaja Sayyed Haafiz Abdul Majeed urfe Daada Miyan Sarkaar رحمة الله عليه hai.

Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه Hasani saadaat hain aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani رحمة الله عليه ki nasl se hain.

Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه ke waalid Hazrat Khwaja Sayyed Haafiz Bahaadur Ali Shaah urfe Daada Miyan Sarkaar رحمة الله عليه (Jabalpur) ke bhatije aur khalifa hain Aap ke waalid Ambetha me rehte the aur phir Jobat tashreef laaye.

Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه ke naana Hazrat Meer Ewaz Ali Chishti Gurdezi رحمة الله عليه (Alirajpur) Husaini saadaat hain aur Hazrat Sayyed Zaid bin Imaam Zain-ul-Aabideen رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain aur Hazrat Khwaja Banda nawaaz Gaisu daraaz Sayyed Muhammad Husaini رحمة الله عليه ke khaandaan se hain.

Aap paida’ishi wali the
Bachpan se hi saadgi aur faqr pasand farmaate the aur apne waalid ke saath buzurgo aur durwesho ki khidmat me aur mazaaraat par haazir hokar faiz haasil karte the.

Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه ne ibtidaai ta’aleem apne waalid se haasil ki Phir mazeed ta’aleem ke liye Gujarat tashreef le gaye aur Haafiz e Qur’ān hue. Phir Hazrat Baadshaah miyan Haloli رحمة الله عليه (Halol, Gujarat) se tasawwuf ki ta’aleem wa faiz haasil kiya.

Is ke baad Aap ibaadat o riyaazat aur mujaahida wa muraqaba me mashgool rahe aur kam waqt me hi roohaniyat ke a’ala manzil tak pahunche.
Raahe Sulook ki manzile tay karne ke baad Aap Jobat tashreef laaye aur ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.

Aap bahot muttaqi, aur aabid o zaahid the. Aur saahibe karaamat buzurg the aap akṡar wajd me kho jaate.

Madhya Pradesh (Jobat, Alirajpur, Jhabua, Jabalpur, Narsinghpur, Hoshangabad, Bhopal, Balaghat, Damoh), Maharashtra (Nagpur), Uttar Pradesh (Banaras, Bhadohi, Mirzapur, Allahabad), Delhi aur Gujarat me beshumaar log aap se muta’aṡṡir hokar Aap ke mureed bane.

Bahot saare logo ne Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه ki tawajjoh aur faiz se hidaayat paai.
Aap Mustajaab-ud-Daawaat the. Log Aap ke paas aakar apni haajat bayaan karke dua ke liye arz karte. Aap dua karte to ALLĀH ke fazl se un ki haajat puri ho jaati

Aap ki Karaamat :

Ek martaba logo ne Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه ko da’awat ki to Aap Jabalpur tashreef laaye. Yaha Mohalla Chaandani chauk me Sher Khan ka baada makaan me ek jinn logo ko pareshaan karta tha. Aap us makaan me tashreef le gaye to woh jinn aap ke saamne aaya. Jab woh jinn waha se jaane ke liye na maana to Aap ne use hamesha ke liye khatm kar diya.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه (apne waalid) Hazrat Khwaja Sayyed Haafiz Abdul Majeed رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain aur ‘Chishti Nizaami Sulaimāni’ silsila ke shaikh hain.

Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke bade bhai) Hazrat Qaazi Sayyed Ahmad Hasan Chishti رحمة الله عليه,
(2) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Maulana Sayyed Zahoor-ul-Hasan Chishti رحمة الله عليه.

Aap ka Wisaal:

Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه ka wisaal 18 Safar 1405 Hijri (13 November 1984 A.D.) ko hua.Aap ka mazaar Jobat (Zila Alirajpur, Jhabua, Madhya Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Mahmood ul Hasan Chishti رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *