Table of Contents
ToggleHazrat Khwaja Sayyed Jamaal-ud-deen Dana Shah (Khwaja Dana) رحمة الله عليه
Laqab:
Shehanshaah e Surat.
Aap ki Wiladat :
Khwaja Dana رحمة الله عليه ki wilaadat 898 Hijri (1492 A.D.) me Junooq (Turkey) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Sayyed Baadshaah Parda-posh Khwarizmi bin Sayyed Ismā’eel رحمة الله عليه hai.
Aap Husaini saadaat hai.
Khwaja Dana رحمة الله عليه ke waalid aur daada mash’hoor wali e kaamil aur soofi the. Bahot saare log aap ke waalide mohtaram ke paas ilme deen sikhne aur sharai masaa’il jaanne ke liye aate the aur faiz haasil karte the.
Aap ki waalida Chughtaai baadshaah ki shehzaadi thi aur bahot nek parhezgaar thi.
Khwaja Dana رحمة الله عليه ki umr 4 maah ki thi tab Aap ke waalid Iran ke Shia baadshaah Shaah Ismāeel Safawi se jung me shaheed hue. Aur is gham me kuchh arse baad Aap ki waalida ka bhi inteqaal ho gaya.
Apne wisaal ke baad Khwaja Sayyed Baadshaah Parda-posh ne apne mureede khaas Khwaja Hasan Ata ko khwaab me bashaarat di ke “Aye mere mureede saadiq! Mere Shir-khwaar bache ki ta’aleem wa tarbiyat ki taraf khaas dhyaan dena.” Unho ne arz kiya “Huzoor! Bache ki ammi jaan kaha hain?” Khwaja Sayyed Baadshaah Parda-posh ne farmaaya “Hasan Ata! Zindagi ka koi bharosa nahi hai. Meri biwi mere paas aalame baqa me aana chaahti hain.” Khwaja Hasan Ata ne pareshaan hokar arz kiya “Huzoor! Aap jaldi bataa’iye ke woh shir-khwaar bacha kaha hain?” Khwaja Sayyed Baadshaah Parda-posh ne unhe pura pata samjhaya aur jaldi se waha jaane ke liye taaqeed farmai.
Khwaja Hasan Ata jaldi se apne Peer ke bataaye hue pate ki jaanib rawaana ho gaye. Aur kai din tak safar karne ke baad nishaani ke mutaabiq ek jhonpadi nazar aai. Qareeb pahunchkar unho ne kaha “Mohtaram khaatoon! Main aap ke shohar e naamadaar ka mureed Hasan Ata hu. Mujhe andar aane ki ijaazat ata farmaen.’ Magar andar se koi jawaab na mila. Unho phir se dusri baar aur teesri baar ijaazat maangi. Magar jawaab na mila to pareshaan ho gaye. Jab andar daakhil hue to dekha ke Peer o Murshid ki biwi inteqaal farma chuki thi. Aap ne foran bache ko apni god me liya. Thodi der ke baad chand khawaatin ko apne saath le aaye aur marhooma ke ghusl aur kafan ka intazaam karwaaya.
Tajheez o tadfeen ke se faarigh hokar apne peer ke farzanad ko lekar Khwarizm se baahar Maa-waaraa-un-Naher (Transoxiana) ke jangal ki jaanib rawaana hue aur waha ek taalaab ke kinaare qayaam kiya. Jangal me shir-khwaar bache ke liye doodh ka koi maaqool intazaam na tha. Aap ne doodh pilaane ke liye daaee ki talaash shuru ki. Pura din guzar jaane ke baad bilkul maayoos hokar baargaahe ilāhi me peshani jhukakar dua ki “Aye Rabbul aalameen! Tu musabbi ul asbaab hai aur tu hi raaziq hai. Is maasoom bache ki parwarish aur nigraani mere zimma hai aur tu jaanta hai ki is bache ko doodh ki zaroorat hai. Maine koshish kar li ab tera hi sahaara hai. Aye mere maula! is bache ke liye doodh ka intazaam farma de.”
Dua karne ke baad aap jab waapas apne maqaaam ki taraf aa rahe the tab aap ne dekha ki koi jangali jaanwar bache ke paas hai. Aap jaldi jaldi bache ke paas aaye to dekha ke ek loolo hirni bache ko doodh pila rahi hai. Aap samajh gaye ke ALLĀH ta’ala ne ghaib se ye sab intazaam kiya hai. Aap ne Rab ta’ala ka shukr ada kiya.
Us hirni ka yeh maamool tha ke rozaana subah o sham apne muqarrar waqt par aati aur hazrat ko doodh pilakar chali jaati. Yeh silsila Khwaja Dana رحمة الله عليه ke doodh pilaane ki umr tak jaari raha. Us ke baad aap ka guzar basar jangal ke phal aur phool par hone laga. Is tarah 12 saal ki umr tak Khwaja Hasan Ataa ne Aap ki ta’aleem wa tarbiyat ki.
Jab Khwaja Hasan Ataa ke wisaal ka waqt qareeb aaya to jangal me se ek haath lambi lakdi laaye aur ye asa aur apna khirqa mubarak Khwaja Daana ko ata farmaya aur aap ko naseehat farmai “Aye mere azeez farzand! Main jo naseehat karta hu use ghaur se sunna aur yaad rakhna. Yeh dunya makr o fareb aur fitna wa fasaad ki jagah hai. Yeh ek musaafir-khaana hai. Yaha jo bhi aata hai use ek na ek din jaana hai. Na koi raha hai, na koi rahega. Yeh badi bewafa hai. Is ne kisi ke saath wafa nahi ki.
Aye mere daana bête! Maut ka maza har jaandaar ko chakhna hai. Maut se kisi ko bhi maphar nahi. Is se bachkar koi bhi kahi bhi nahi jaa sakta. Is liye tumhe chaahiye ki jab maut ka waqt qareeb aa jaaye to khud ko pareshaani me mubtala na karna aur na hi apne dil ko hairaan aur pareshaan karna.”
Itna farmakar Khwaja Hasan Ata ki haalat kharaab hone lagi. Aap ne foran 2 rak’at namaaz ada ki aur haalat e sajda me khaaliq e haqeeqi se jaa mile. Yeh dekhkar Khwaja Daana apne Peer ki tajheez wa takfeen ke baare me sochkar fikrmand hue. Achaanak Qible ki jaanib se ek nooraani qaafila aata dikhaai diya. Aap ne Rab ta’ala ka shukr ada kiya. Us muqaddas jama’at ne taalaab ke paak saaf paani se Khwaja Hasan Ataa ko ghusl diya, kafan pehnaaya aur namaaz e janaaza ada ki. Us ke baad farishto ki woh muqaddas jama’at ghaa’ib ho gai.
Is ke baad Khwaja Dana رحمة الله عليه tanha jangal me ibaadat wa riyaazat me mashgool rehne lage. Jangal ke khatarnaak jaanwar Aap ki chaaro taraf jama hokar zikr e ilāhi ko sunte the.
Isi tarah Aap ne 18 saal jangal me guzaare.
Ek roz Aap hasabe maamool ibaadat e ilāhi me mashgool the ki achaanak majzoob Baaba Chopaal waha tashreef laaye. Unhe dekhkar aap ne door bhaagna chaaha to unho ne farmaaya “Bete! Main tumhe yeh samjhaane aaya hu ke insaan ko ALLĀH ta’ala ne insaano ke kaam aane ke liye dunya me bheja hai. Jangal me jaanwaro ke saath zindagi basar karne ke liye nahi bheja hai. Aap ke waalid e giraami bhi insaano ke saath rehte the aur insaano ki deeni wa dunyawi zaroorato ko pura farmaate the. Jangal me rehkar tum makhlooq e khuda ki zaroorato ko kaise pura ka sakoge. Is liye main hukm e khuda se tumhe jangal ki zindagi se nikalkar insaano ki taraf le jaane ke liye aaya hu.”
Baaba Chopaal ki baato se Aap ke dil o dimaagh me halchal paida hui. Itne me dusri jaanib se majzoob Baba Turkistani tashreef laaye aur aate hi farmaaya “Are Daana! Tum abhi tak is jangal me hi maujood ho.” Yeh sunkar Aap aur hairaan ho gaye.
Is ke baad teeno hazraat ek dusre se gale mile. Phir Baaba Chopaal ne apni bagal se 3 garm garm rotiya nikaali. Aur dono ke saamne rakhi. Phir in me se ek roti uthakar uske 3 tukde kiye aur ek khud khaaya aur ek tukda Baba Turkistani ko diya aur ek Khwaja Daana ko diya. Baaba Chopaal ka diya hua roti ka tukda khaane ke baad aap ki zindagi me tabdeeli aa gai aur aap jangal ko chhodkar shaher ki taraf rawaana hogaye.
Jab Khwaja Dana رحمة الله عليه Balkh shaher me tashreef laaye to Aap ne Balkh ke mash’hoor soofi Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Paarsa رحمة الله عليه ke pote Hazrat Khwaja Abdul Haadi رحمة الله عليه ke makaan par qayaam farmaya. Hazrat ki biwi Shaah Begum pure khuloos wa aqeedat ke saath Khwaja Daana Shaah ki khidmat karti thi.
Jab Aap Balkh shaher me tashreef farma the us dauraan Aap ki mulaaqaat Hazrat Maulana Muhammad Saeed Turkistani رحمة الله عليه se hui. Unho ne farmaaya “Bete! Tum paidaishi wali ho. Aao, Main tumhe ek wali e kaamil se milaata hu.”
Phir Maulana Muhammad Saeed Turkistani Aap ko Hazrat Khwaja Islaam Naqshbandi Juybari رحمة الله عليه se milaaya. Woh aap ko dekhkar muskuraye aur farmaya “Jamaal-ud-deen Daana! Main tumhara intazaar kar raha tha ke tumhare hisse ki jo ne’amaten mere paas hai un amaanat ko tumhare hawaale karke itminaan haasil kar saku.”
Phir Hazrat Khwaja Islaam ne Aap ko Zaahiri wa baatini uloomo ki ne’amato se sarfaraz farmaaya aur ‘Naqshbandi Ahraari’ silsile ki khilaafat ata farmai.
Balkh ka baadshaah Peer Muhammad Khan bin Jaani Beg Aap ka mureed aur moataqid tha. Us ne apni razaai bahen se Aap ka nikaah karaaya.
Kuchh arse tak Aap ne Balkh me qayaam farmaaya. Phir hukm e ilāhi se Aap apni ahalya aur mureedo ke saath Hindustan ki jaanib rawaana hue. Aap samundar se safar karte hue Thatta ke saahil par utre. Yaha kuchh din qayaam farmaane ke baad aap Agra tashref laaye aur Masjide Raheel me qayaam farmaaya. Sher Shaah Suri ke bete aur Umara ne nazraana e aqeedat pesh kiya. Kuchh din Agra me qayaam farmaane ke baad Aap Vadodara tashreef laaye.
Yaha Maulana Nazeer Badakhshi ne Aap ki khidmat me tashreef laakar Aap ko chand din apne makaan par qayaam farmaane ke liye darkhwast ki.
Vadodara me daaku ke giroh ne Khwaja Dana رحمة الله عليه ka saamaan loot liya. Mo’ataqideen haazir hokar daakuo ko bura kehne lage to Aap ne muskurakar farmaaya “Dosto! ALLĀH ta’ala ka shukr hai ke amaanat un ke paas pahunch gai.”
Kuchh dino baad Aap Burhanpur tashreef le gaye. Waha se phir Aap Surat tashreef laaye aur sukoonat pazeer hokar puri zindagi yahi guzaari.
Khwaja Dana رحمة الله عليه ki tashreef aawari se pehle Mughal Baadshaah Akbar ne Surat ke haakim Abdur Rahmān Tehraani aur Naazim e Qilaadaar Qaleez Khan ke naam hukm-naama bhej diya tha ke Khwaja Daana Shaah ka shaan o shauqat se istaqbaal kiya jaaye. Chunaanche haakim aur Naazime Surat apne saathiyo ke saath Surat bandar par aaye aur aap ke isteqbaal kiya.
Chand roz baad baadshaah Akbar ne bataure nazraana e aqeedat Aap ko 1 laakh rupye pesh kiye. Khwaja Dana رحمة الله عليه ne apni khaanqaah ki ta’ameer shuru ki. Jo Khaanqah e Naqshbandiya Jamaaliya ke naam se mash’hoor hai.
Khwaja Dana رحمة الله عليه ko Surat shaher bahot pasand aaya aur Aap ne is ki ta’areef me Ash’aar bhi likhe hain.
Aap tamaam zindagi isha’ate islaam aur ta’aleem e deen karte rahe. Aur logo ko apne faiz ata karke un ki pareshaaniyo ko door karte rahe.
Aap ki Karamat:
(1) Baadshaah Akbar ke zamaane me Akbar ke beta Daaniyaal Burhanpur ka governor tha. Us ka bete Taimoor sakht beemaar ho gaya. Tajurbakaar hakeemo ke ilaaj ke bawajood woh theek na ho saka aur us ka inteqaal ho gaya. Hazrat apne bade saahabzaade Khwaja Muhammad Haashim ke saath waha pahunche to Daaniyaal ne Taimoor ki laash ko aap ki god me rakh diya aur zaar o qataar rone laga.
Khwaja Dana رحمة الله عليه ko raham aa gaya aur shehzaade ki laash par haath phera to ALLĀH ke fazl se woh zinda ho gaya. Yeh dekhkar tamaam haazareen aap ke qadmo me gir pade aur pure Burhanpur me khushi ki leher daud gai.
(2) Khwaja Dana رحمة الله عليه ko jangal ki taraf hamesha lagaaw raha. Aap roz jangal me tashreef le jaate. Ek roz aap jangal me sair kar rahe the ke shaher ke chand mo’azziz hazraat aap ki khidmat me haazir hue aur arz kiya ke “Hamare baadshaah salaamat ko lakwa ho gaya hai. Bahot ilaaj kiya gaya lekin koi faa’ida nahi hua. Aap in ke haq me shifa e kaamila ki dua farma dijiye.”
Khwaja Dana رحمة الله عليه ne farmaaya “Main shaher me aata hu” Namaaze Ishaa ke baad jab aap waha aaye to aap ke farmaan par Baadshaah ko aur khwaja ko ek kamre me band kar diya gaya aur baahar se taala laga diya gaya aur baahar nikalne ke tamaam raaste bhi band kar diye gaye.
Namaaz e fajr ke baad jab taala khola gaya to logo ne dekha ke baadshaah tandurasti ke saath khade hain aur Khwaja Dana رحمة الله عليه gaa’ib hain. Logo ne baadshaah se puchha to baadshaah ne kaha “Raat ke aakhri hisse me Hazrat mere paas aaye. Kuchh padhkar dam kiya aur apne daste mubarak ko mere badan par phera to main usi waqt theek ho gaya. Is ke baad Hazrat ne us deewaar ki taraf ungli se ishaara farmaaya to deewaar phat gai aur aap yaha se gaa’ib ho gaye.”
(3) Khwaja Dana رحمة الله عليه Shaah Eid e Milaad-un-Nabi aur Me’araaj-un-Nabi ﷺ bade hi ehtimaam se manaate the. Majaalis munaaqid ki jaati thi. Jis me akaabir saadaat e kiraam, mashaa’ikh e ijaam, ulma e kiraam aur waazraa e mamlikat shirkat farmaate the. Umda itariyaat aur lazeez khaane pakaaye jaate the aur roshni ke liye badi chhoti mom-battiya roshan ki jaati thi. In me 2 battiya akbari 12 man ki hoti thi.
Ek saal aisa hua ke Me’araaj-un-nabi ke mauqe par aap ke bazaahir koi intazaam nahi tha aur taarikh bilkul qareeb thi. Khaadim ne aakar aap se arz kiya to aap ne farmaya “Tum pareshaan kyun hote ho. Agar khudawande quddus ki marzi hogi ke us ke Habeeb ﷺ ki me’araaj shaayaane shaan se manaayi jaaye to woh khud intazaam farma dega.’
Jab taarikh bilkul qareeb aa gai to khaadim ph’r haazir hua. Hazrat is baar jawaab dene ke bajaay use qareeb ke ‘Sihor’ gaanv le gaye. Raaste me ewk naala aaya. Hazrat ne khaadim se farmaaya ‘Kharcha le aa.’ Khaadim foran hukm ki taamil karte hue naale me kood pada. Yaha use ek thaili mili jo bilkul khushk aur muharband thi. Hazrat ne use us ki mohar todne ka hukm diya. Khaadim ne muhar tod kar thaili kholi to us me se 3000 muhammadi sikke nikle. Hazrat ne farmaaya “Kharch to mil gaya lekin ek bat yaad rakhna is raaz ko kisi ke saamne zaahir mat karna.”
Khwaja Dana رحمة الله عليه ka Pariwaar :
Aap ke 2 saahabzaade hain :
(1) Khwaja Muhammad Haashim,
(2) Khwaja Abul Husain.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Khwaja Dana رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Muhammad Islaam Juybari Naqshbandi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Naqshbandi Ahraari Juybari’ silsila ke Shaikh hain.
Aap ka Wisaal:
Khwaja Dana رحمة الله عليه ka wisaal 5 Safar 1016 Hijri (1606 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.
Aap ka mazaar Gopipura, Surat (Gujarat) me hai.
Khwaja Dana رحمة الله عليه ki tadfeen ke baad aisi sakht baarish hui ke aap ke mazaar mubarak ka nishaan mit gaya. Sab log ranjeeda aur pareshaan ho gaye. Raat ko aap ne apne saahabzaade Khwaja Muhammad Haashim ko khwaab me bataaya ke “Meri qabr falaan jagah itne faasle par hai.” Subah ko talaash me nikle to qabr to mil gai lekin qabr me aap ki laash na thi. Sab phir se pareshaan hue. Aap ne raat ko phir se Khwaja Muhammad Haashim ko khwaab me bataaya ke “Pareshasni ki koi baat nahi hai. Kal mujhe Haramain shareef le jaaya gaya tha. Aur aap us waqt aaye the. Is liye main qabr me nahi tha. Ab aa gaya hu.’ Chunanche subah ko Khwaja Muhammad Haashim apne saathiyo ke saath jaakar qabr kholi to aap ko usi me is tarah maujood paaya ke jaise dafn kiya gaya tha. Yaha tak ke aap ke kafan par koi daagh tak nahi tha. Hazaaro logo ne aap ki ziyarat ki aur us ke baad phir aap ko khushboo lagakar Aap ki qabr e anwar ko band kiya gaya.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Khwaja Sayyed Jamaal-ud-deen Daana Shaah رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.