Biography of Hazrat Sayyed Barkat Ali Shah Naqshbandi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Aap ki Wiladat :

Sayyed Barkat Ali Shah Naqshbandi رحمة الله عليه ki wilaadat Alawalpur (Zila Jalandhar, Punjab) me hui.

Uloom-e-zaahiri ki ta’aleem mukammal hone ke baad Aap ne Kanpur me Maulana Ghulaam Husain se Khwaja Muhammad Siraaj-ud-deen Naqshbandi رحمة الله عليه ke baare me suna. Aap Khaanqaah Moosā Zai Shareef, Dera Ismāeel Khan tashreef le gaue aur Hazrat ke mureed hue aur Hazrat ki khidmat me rehkar Sulook ki ta’aleem haasil ki. Ta’aleem mukammal hone ke baad Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmai.

Phir Hazrat ke farmaan par Aap Kolkata tashreef laaye aur Khaanqaah ta’ameer karke ta’aleem aur faiz ata farmaate rahe
Kuchh arsde baad Aap Malegaon (Maharashtra) tashreef le gaye aur Khaanqaah ta’ameer karke ta’aleem aur faiz ata farmaate rahe.
Aap ne Bengal, Bangladesh, Bihar, Assam aur Maharashtra me Naqshbandi silsila ki isha’at ki.

Pariwaar:

Sayyed Barkat Ali Shah Naqshbandi رحمة الله عليه ke 4 saahabzaade hain :

(1) Khwaja Abul Laiṡ Muhammad Abdullāh Shaah

(2) Maulana Abdus Salaam Shaah (Bangladesh)

(3) Khwaja Abdur Rahmān Shaah

(4) Khwaja Baabu Barkat Shaah

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Sayyed Barkat Ali Shah Naqshbandi رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Muhammad Siraaj-ud-deen Naqshbandi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Abul Laiṡ Muhammad Abdullāh Shaah رحمة الله عليه
(2) Hazrat Maulana Abdus Salaam رحمة الله عليه
(3) Hazrat Sayyed Muhammad Abdud Dayyaan رحمة الله عليه (Kolkata)
(4) Hazrat Maulana Mufti Sayyed Ameem-ul-Ihsaan Barkati رحمة الله عليه (Bangladesh)

Aap ka Wisaal:

Sayyed Barkat Ali Shah Naqshbandi رحمة الله عليه ka wisaal 14 Safar 1345 Hijri (August 1926 A.D.) ko hua
Aap ka mazaar Malegaon (Maharashtra) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Barkat Ali Shaah Naqshbandi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *