Hazrat Maulana Nooruddin Abdur Rehman jami رحمة الله عليه
Laqab:
Khaatam-ul-Sho’ara (Seal of Poets).
Nooruddin Abdur Rehman jami ki Wiladat:
Nooruddin Abdur Rehman jami ki wilaadat Jamaadi ul aakhir 817 Hijri (18 August 1414 A.D.) ko Jam, Khorasan (Afghanistan) me hui.
Aap ke waalid ka naam Nizaam-ud-deen Ahmad bin Shams-ud-deen Muhammad hai.
Aap ke waalid Dasht, Isfahan me rehte the.
822 Hijri (1419 A.D.) me Aap ki umr jab 5 saal thi tab Hazrat Khwaja Mohammad Paarsa رحمة الله عليه Makka ki jaanib safar ke dauraan Aap ke gaanv se guzre to Khwaja ne Aap ko faiz ata farmaaya.
Aap jab bade hue to Aap ka pariwaar Herat (Afghanistan) aa gaya.
Herat me Aap ne Madrasa Nizaamiya me Arabi, Ilm e Nahaw, Ilm e Sharf, Adab, Ilm e Istedalaal, Falsafa, Khitaabat ki ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Shahaab-ud-deen Mohammad Jajarmi se ta’aleem haasil ki.
Is ke baad Samarqand jaakar majeed ta’aleem haasil ki. Aap ne Hadeeṡ aur Ilme Riyaazi ki bhi ta’aleem haasil ki.
Is ke baad Aap ko Khwaja Sayyed Sa’ad-ud-deen Kashgari رحمة الله عليه ne bashaarat farmai. Hazrat ke farmaan par Aap Herat wAapas aaye aur un ke mureed hue aur Hazrat ki khidmat me rehkar Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
856 Hijri (1452 A.D.) me Aap ne ta’aleem wa tadrees shuru kiya aur kitaaben tehreer karna shuru kiya.
860 Hijri (1456 A.D.) me Khwaja Sayyed Sa’ad-ud-deen Kashgari رحمة الله عليه ka wisaal ke baad Herat me Aap ki mulaaqaat Khwaja Ubaidullāh Ahraar رحمة الله عليه se hui.
Hazrat Khwaja Ubaidullāh Ahraar ke saath Aap ke bahot achhe ta’aalluq the. Aap un se mulaaqaat karke faiz haasil karne ke liye Samarqand, Merv, aur Tashkent tashreef le gaye.
Aap hamesha saadgi pasand karte the.
Taimur Sultaan Abul Qaasim Baabar, Sultaan Abu Saeed, aur Sultaan Husain Baayqara se Aap ke achhe ta’aalluq the.
Magar Aap sirf un ko mashwara aur naseehat farmaane ke liye aur ghareebo aur mohtaajo ko madad farmaane ke liye aur mazloomo ko insaaf dilaane ke liye Sultaan se ta’alluqaat rakhte.
876 Hijri (1472 A.D.) me Aap Hajj ke liye rawaana hue.
Nishapur, Simnan, aur Qazvin hote hue Aap Hamadan pahunche. Hamadan me kuchh waqt theharne ke baad Aap Baghdad tashreef laaye. Baghdad me 6 mahine qayaam karne ke baad Aap Karbala aur Najaf gaye.
877 Hijri (May 1473 A.D.) me Aap ne Hajje Baitullāh ada kiya.
WAapasi me Aap Damishq aur Halab (Aleppo) gaye.
Halab me qayaam ke dauraan Ottoman Sultaan Mohammad ne Aap ko Istanbul aane ke liye daawat di. Magar us ki bheje hu tohfe aur maal ko dekhkar waha se rawaana ho gaye aur Tabriz pahunche aur phir Herat ki jaanib rawaana hue.
Sha’abaan 878 Hijri (January 1474 A.D.) me Aap Herat wAapas tashreef laaye
Nooruddin Abdur Rehman jami farmaate hain ke
Mushaahida aur Karaamat se zyada zaroori yeh hai ke soofi e kaamil ki khidmat me rehkar ALLĀH ta’ala ke wajood aur sifaat ko mehsoos kiya jaaye.
Pariwaar:
Aap ka nikaah Hazrat Khwaja Sayyed Sa’ad-ud-deen Kashgari ki poti se hua.
Aap ke 4 saahabzaade hain, jin me se Ziyā-ud-deen Yousuf ke ilaawa baaqi 3 ka bachpan me inteqaal ho gaya.
Tasannif :
Nooruddin Abdur Rehman jami ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Nafahat-ul-Uns
(2) Bahaaristan
(3) Deewaan e Sehganeh (Faatihat-ul-Shabaab [Opening of Youth], Waasitat-ul-Iqd [Middle of the Necklace], aur Khaatimat-ul-Hayaat [The End of Life])
(4) Haft Awrang (Silsilatul-Zahab, Sob’hat-ul-Abraar, Yousuf o Zulaikha, Salaamaan o Absaal, Tuhfat-ul-Ahraar, Layla o Majnoon, Khirad-naama-e-Iskandari)
(5) Jaame -Sukhanaan-e-Khwaja Paarsa
(6) Risaala-e-Tareeq-e-Khwaajagaan
(7) Lawaa’ih
(8 ) Shawaahid-ul-Nabuwwah
(9) Hilya-e-Hulal
(10) Fawaa’id uz Ziyaa’iya fee Sharh Kaafiya (Sharhe Mulla Jami)
(11) Naqd-ul-Nuṡooṡ fee Sharah Naqsh-ul-Fusoos
(12) Sharah-e-Hadees-e Abi Zarrin al-Aqili
(13) Al-Durrah al-Fakheerah
(14) Tajnees -ul-Lughaat
(15) Risaala-e-Manaasik-e-Hajj
(16) Risaala-e-Shara’it-e-Zikr
(17) Risaala-e-Mausiqi
(18) Risaala-e-Sawaal o jawaab-e-Hindustan.
Nooruddin Abdur Rehman Jami ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Sa’ad-ud-deen Naqshbandi Kashgari رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Nooruddin Abdur Rehman jami ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Ziyā-ud-deen Yousuf رحمة الله عليه
(2) Hazrat Khwaja Razi-ud-deen Abdul Ghafoor Laari رحمة الله عليه
(3) Hazrat Maulana Shaheedi Qumi رحمة الله عليه
(4) Hazrat Alā-ud-deen Saavaji رحمة الله عليه
(5) Hazrat Mas’ood Shirvani رحمة الله عليه
(6) Hazrat Haafiz-ud-deen Bayhaqi رحمة الله عليه.
Nooruddin Abdur Rehman jami ka Wisaal:
Nooruddin Abdur Rehman jami ka wisaal 28 Rabi-uṡ-ṡaani 898 Hijri (28 February 1492 A.D.) ko hua.
Aap ki namaaze janaaza me bahot badi ta’adaad me log shareek hue.
Aap ka mazaar Herat (Afghanistan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Maulana Nooruddin Abdur Rehman jami رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.