Biography of Hazrat Allama Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه | Download Free PDF

Laqab:

Hakeem-ul-Islaam.

Aap ki Wiladat :

Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه ki wiladat  1310 Hijri (1893 A.D.) me Bareilly (Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Hasan Raza Khan bin Maulana Naqi Ali Khan رحمة الله عليه hai.
Aap Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه ke bhatije hain.

Aap ki Talimat:

Bunyaadi ta’aleem ke baad Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه ke waalid ne Aap ko Daar-ul-Uloom Manzar e Islaam me daakhil kiya.

Aap ne A’ala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Bareilwi, Maulana Raham Ilāhi Mangloori, Maulana Mufti Irshaad Husain Mujadidi Faarooqi, Maulana Zahoor-ul-Hasan Faarooqi Rampuri, Maulana Noor-ul-Husain Mujadidi Faarooqi, Maulana Abdul Azeez aur Maulana Hidayatullāh Khan Jonpuri se ta’aleem haasil ki.
1328 Hijri (1910 A.D.) me Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islaam me Mudarris bane.

Aap ke mash'hoor shaagird :

(1) Hazrat Sher Besha e Ahle Sunnat Maulana Mufti Hashmat Ali Khan Pilibhiti

(2) Hazrat Maulana Mufti Aijaaz Wali Khan Razawi (Lahore)

(3) Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan Bareilwi

(4) Hazrat Maulana Idrees Raza Khan

(5) Hazrat Maulana Ghulaam Jeelaani Aazmi

(6) Hazrat Mohsin e Millat Maulana Haamid Ali Faarooqi Raipuri

(7) Hazrat Maulana Mufti Abraar Hasan Haamidi.

Aqwaal :

Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه irshaad farmaate hain :
(1) Har museebat Dars e Ibrat hai. Museebat par rona dohari museebat hai. Sabr aur Chaarakaar ki talaash behtar hai.
(2) Khuda ka dost sab ka dost hai aur us ka nafarmaan kisi ka dost nahi.
(3) Haraam ka maal rehta nahi beh jaata hai.

Tasannif :

Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben:
(1) Nizaam-e-Shariat
(2) Asbaab-e-Zawaal
(3) Dasht e Karbala
(4) Seerat-e-Aala Hazrat o Karaamat
(5) Wasaaya shareef.

Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه  ne bahot saari  Na’at e Mustafa aur Manqabat likhi hai.
Aap ki likhi hui Na’at shareef me yeh mash’hor hai :
‘Teri naal-e-muqaddas jis ke sar par saaya gustar hai,
Wohi farma rawa-e-haft kishwar hai sikandar hai.’

Aap ne Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه kim shaan me ek mash’hoor Manqabat likhi hai :
‘Madad ka waqt hai aye Hazrate Ahmad Raza utho,
Ghareebo ko sahaara do mareezo ki dawa utho.’

Aa’la Hazrat aap se bahot mohabbat karte the aur unho ne apni wasiyat likhne ke liye Aap ko pasand kiya tha.

Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه ne Bareilly me Hasani Press ke naam se ek chhaapkhaana shuru kiya aur Aa’la Hazrat kitaaben shaaye karna shuru kiya. Aur dusre kitaaben aur risaale bhi shaaye karna shuru kiya. Aap ye sab kitaaben muft me taqseem bhi karte the. Is ke liye waqt kam padne laga tab Aap ne Daar-ul-uloom me mudarris ka kaam chhod diya.

Pariwaar :

(1) Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه ka nikaah Kaneez Hasnain binte Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan se hua.
Jin se 1 saahabzaadi : Shameem Banu (Jin ka nikaah Maulana Jarjees Raza Khan se hua).
(2) Un ke inteqaal ke baad Aap ka dusra nikaah Munawwari begam se hua.
Un se Aap ke 3 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.

Saahabzaade :
(1) Hazrat Ameen-e-Shariat Shabi e Mufti e aazam  Allama Sibtain Raza Khan رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Sadr-ul-Ulama Mazhar e Mufti e aazam Maulana Mufti Tehseen Raza Khan رحمة الله عليه,
(3) Hazrat Yaadgaar-e-Salf Allama Maulana Habeeb Raza Khan.

Saahabzadiya :
Saleem Faatima (Jin ka nikaah Huzoor Taaj-ush-hariah Allama Mufti Akhtar Raza Khan Azhari Miyan رحمة الله عليه ke saath hua).

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Allama Shaah Sayyed Abul Husain Ahmad Noori Barkaati Qaadri رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain. Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ka Wisaal:

Aap ka wisaal 5 Safar 1401 Hijri (14 December 1980 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me Aur Hazrat Allama Mufti Hasnain Raza Khan رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *