Hazrat Shaahe Meeran Sayyed Ali Qadri al-Jilani رحمة الله عليه
Meeran Sayyed Ali Qadri ki Wiladat:
Aap ki wilaadat 558 Hijri (1163 A.D.) me hui.
Aap Hasani saadaat hain aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Sayyed Shaikh Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.
568 Hijri (1173 A.D.) me 10 saal ki umr me Aap apne chacha Hazrat Sayyed Abdul Wahhaab Jilani رحمة الله عليه ke saath Hindustan ke Khambhat shaher (Gujarat) me tashreef laaye.
Ta’aleem haasil karne ke baad Aap Khambhat me sukoonat ikhtiyaar karke khidmat e deen karte rahe.
Aap ke baad Aap ke saahabzaade Sayyed Meeran Wali رحمة الله عليه ne khidmat e deen ka kaam jaari rakha.
Meeran Sayyed Ali Qadri ka Wisaal:
Aap ka wisaal 3 Jamaadi-ul-Awwal 641 Hijri (October 1243 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Khambhat (Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Shaahe Meeran Sayyed Ali Qadri al-Jilani رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.