Table of Contents
ToggleHazrat Meer Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه
Aap ki Wiladat:
Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ki wiladat 20 Rajab 972 Hijri (21 February 1565 A.D.) ko Jumeraat ke roz hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Meer Sayyed Abdul Waahid Chishti Bilgrami bin Sayyed Ibrāheem رحمة الله عليه hai.
Aap Husaini saadaat hain. Aur Hazrat Zaid bin Imaam Zain-ul-aabideen رحمة الله عليه ki nasl se hain.
Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ke pardaada Hazrat Khwaja Sayyed Muhammad Sughra bin Sayyed Ali رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki رحمة الله عليه ke mureed o khalifa the aur Sultaan Altamash ke zamaane me Wasit (Iraq) se Hind me tashreef laaye the. 614 Hijri (1217-18 A.D.) me Sultaan ne Hazrat ko lashkar ke saath Bilgram bheje. Bilgram fatah hone ke baad Hazrat wahi sukoonat pazeer hue.
Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ne apne waalid e mohtaram se ta’aleem wa tarbiyat haasil ki.
Phir 12 saal tak jangalo aur waadiyo me mujaahida karte rahe. Makhlooq se be-ta’alluq rahe. Ghaas aur patte khaakar guzaara karte.
Ek martaba Aap Hazrat Sayyed Badi-ud-deen Madaar Shaah رحمة الله عليه ke mazaar ki ziyarat ke liye Makanpur jaa rahe the tab Bilgram se guzre. Aap be-khudi me naare lagaate hue apni bahen ke ghar ke paas se guzre to aap ki bahen ne aawaaz sunkar aap ko pehchaan liya aur darwaaze par aakar aap ko andar le gai aur aap ko wahi rakhkar aap ki khidmat karti rahi.
Phir ek martaba Aap Marehra ke qareeb Atranji Kheda me tashreef farma the tab Hazrat Khizr alaihis salaam tashreef laaye aur aap ko sheer branj [kheer] khilaaya aur farmaaya “Tumhe Marehra jaakar rushd o hidayat karni hai.”
1017 Hijri (1608 A.D.) me Aap Marehra tashreef laaye aur kuchh waqt Chaudhri Wazeer Muhammad ki haweli me qayaam farmaaya, phir Mohalla Miyan Jeevan me qayaam farmaaya. Phir khaanqaah ta’ameer karke 40 saal tak ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe. Aap logo ko buri bid’ato aur rasmo aur fuzul-kharchi se bachne ki ta’aleem dete.
Aap ki Karamat :
Ek jinn logo ko bahot pareshaan karta tha. Aap ke ek mureed ne use jala diya. Woh jinn mashriq ke jinno ke sardaar ke shehzaade Jalnoosh ka saathi tha. Jalnoosh ne apne saathiyo ke saath us mureed par hamla kiya. Woh bhaagkar Aap ki khidmat me haazir hua. Aap masjid me talwaar aur aaine ke saath tashreef farma the aur Hirz-e-Yamaani ka wird kar rahe the.
Jab Jalnoosh jinnat ke saath waha aaya aur us mureed ko uske hawaale karne ke liye kaha to Aap ne farmaaya “Yeh mera mureed hai aur usne logo ko takleef dene waale ko maara hai.” Lekin un jinnaat ne us mureed ko waha se le jaane ki koshish ki. Aap ne muwakkil jinno ko hukm farmaaya to unho ne un jinnaat ka muqaabala kiya aur Jalnoosh aur uske saathiyo ko qaid kar liya. Phir unki iltija par aap ne is muahida par unhe riha kiya ke wo aa’inda kabhi Aap ke muamale me dakhal andaazi nahi karenge.
Ek martaba Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ne ek miswaak zameen me gaadkar apne mureedo se farmaaya “Is miswaak me se ek darakht ugega. Mujhe isi ke saaye me dafn karna.”
Aap ki Talimaat:
Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ne Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki.
666 Hijri (1267 A.D.) Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya رحمة الله عليه ke wisaal ke baad Aap Masnad par baithe.
Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya ke wisaal ke baad un ke maal o asbaab ko un ke 7 saahabzaade me taqseem kiya gaya.
Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ne apne hisse ke 70,00,000 rupye ka maal faqeero me baant diya aur apne liye kuchh na rakha. Phir ibaadat wa riyaazat me mashgool ho gaye.
Ek martaba sakht sardi me Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ghusl ke liye sard paani me gaye aur bahot der tak khade khade paani me Munaajaat karte rahe ke “Ilāhi! Beshak tu Baadshaah hai aur bando ki bandagi se beniyaaz hai. Tu apne lutf o karam se gunaahgaar bando ko nawaazta he. Teri qasam! Jab tak mujhe yeh na bataoge ke mera maqaam kya hai main paani se hargiz baahar nahi niklunga.”
Aap ne ghaib se aawaaz suni ke “Tera martaba yeh hai ke bahot khalqat ko teri Shafa’at se bakhshunga.”
Aap ne kaha “Ilāhi! Teri rahmat ka koi hadd o hisaab nahi. Mujhe is baat se khushi nahi hui.”
Aawaaz aai ke “Maine apne taalibo ko tera aashiq banaaya aur tujh par nawaazish karke apna Ma’ashooq banaaya hai.”
Yeh sunne ke baad Aap paani se baahar aaye aur kapde pehne. Us ke baad Aap jis taraf jaate the log Aap ko ‘Ahmad Ma’ashooq’ ke naam se pukaarte the.
Bahot saare Buzurgaane deen Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه se faiz haasil karke martaba e takmeel ko pahunche hain.
Ek martaba Aap ke mureed e khaas Hazrat Hisaam-ud-deen Multani رحمة الله عليه ne aap ki khidmat me iltemaas kiya ke “Mujhe Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya Multani رحمة الله عليه ke Roze me ek qabr ki jagah inaayat farma de.” Aap ne farmaaya “Tumhari qabr ke liye Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne Badayun me jagah muqarrar farmai hai.”
Us ke baad Hazrat Sadr-ud-deen Aarif رحمة الله عليه ki ijaazat se Hazrat Hisaam-ud-deen Multani Badayun chale gaye.
Ek raat Hazrat Hisaam-ud-deen Multani ne Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ko khwaab me dekha. Huzoor ﷺ ek jagah par baithkar wuzu farma rahe hain. Subah uthkar waha gaye to dekha ke is jagah ki zameen paani se tar hai. Pas unho ne wasiyat ki ke Mujhe isi jagah par dafn karna.
Ek martaba Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه dariya ke kinaare par wuzu farma rahe the. Aap ke saahabhzaade Hazrat Rukn-ud-deen Rukn e aalam waha par Hifz kar rahe the. Un ki umr 7 saal ki thi.
Ittefaaqan waha bahot si hirane aai. Lekin aadmiyo ko dekhkar waha se bhaagne lagi. Hazrat Rukn-ud-deen Rukn e aalam un hirano ke pichhe jaane lage.
Aap ne hirano par ek tawajjoh ki nigaah farmai to saari hirane Aap ke paas aakar khadi ho gai. Aap ne farmaaya ke “Rukn-ud-deen! Jo Hiran pasand aaye use rakh lo.” Unho ne hiran ka ek bachcha aur us ki maa pakad liya. Aur ek arse tak ye dono hiran Aap ke ghar me rahe.
Khwaja Shaikh Zia-ud-deen ne ‘Kanz-ul-Fawaa’id’ me Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ke Malfuzaat ko jama kiya hai.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه (apne waalid) Hazrat Khwaja Meer Sayyed Abdul Waahid Chishti Bilgrami رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain. Aap ke khalifa (aap ke saahabzaade) Hazrat Sayyed Shaah Uwais رحمة الله عليه hain.
Aap ka Wisaal:
Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه ka wisaal 8 Safar 1057 Hijri (15 March 1647 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.
Aap ke mazaar shareef par Pilu ka darakht saaya kiye hue hai. Kisi Bukhaar waale mareez ko is darakht ke kuchh patte pis kar khila diye jaaye to ALLĀH ta’ala ke fazl se use shifa milti hai. Aur kisi Aaseb ya Khabeeṡ ke aṡar waale ko is darakht ki dhaai (2 1/2) patti kaali mirch ke saath pis kar khilaane se har qism ka aṡar door ho jaata hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Hazrat Meer Sayyed Shah Abdul Jaleel Bilgrami رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.