Biography of Hazrat Meer Abdus Samad Khudanuma Qaadri رحمة الله عليه | Download Free Pdf

Hazrat Meer Abdus Samad Khudanuma Qaadri رحمة الله عليه

Meer Abdus Samad Khudanuma ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Khwaja Shah Hidaayatullāh Qaadri رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat se Aap ko chaaro silsile ki khilaafat mili hai.
Meer Abdus Samad Khudanuma ke khalifa Hazrat Sayyed Abdur Razzaaq Qaadri Banswi رحمة الله عليه hain.

Jab koi shakhs bai’at ke liye Aap ki khidmat me aata to Aap use ibaadat aur riyaazat ke liye farmaate aur phir jab bai’at farmaate to Mureed ko usi raat khwaab me ALLĀH ta’ala ki tajalli ke jalwo ka deedaar ho jaata. Is wajah se Aap ‘Khudanuma’ se mash’hoor hain

Meer Abdus Samad Khudanuma ka Wisaal:

Aap ka wisaal 4 Jamaadi-ul-awwal ko hua.
Aap ka urs 9 Rabi-ul-Aakhir ko bhi manaaya jaata hai.
Aap ka mazaar Laal Darwaaza, Ahmedabad (Gujarat) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Meer Abdus Samad Khudanuma Qaadri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *