Biography of Hazrat Maulana Raza Ali Khan رحمة الله عليه | Download Free Pdf

Hazrat Maulana Raza Ali Khan رحمة الله عليه

Laqab:

Taaj-ul-Aarifeen.

Maulana Raza Ali Khan ki Wiladat:

Aap ki wilaadat 1224 Hijri (1809 A.D.) me Bareilly me hui.
Aap ke waalid ka naam Haafiz Kaazim Ali Khan bin Muhammad Aazam Khan hai.
Aap Hazrat Qais Malik Abdur Rasheed Afghani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.

Maulana Raza Ali Khan ke pardaada Hazrat Saeedullāh Khan 1151 Hijri (1739 A.D.) me Naadir Shaah ke saath Hindustan aaye the aur yahi sukoonat pazeer hue. Sultaan Muhammad Shaah ne un ko lashkar ke saalaar banaaye the.

Aap A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه ke daada jaan hain.
Aap ne Tonk me Hazrat Maulwi Khaleel-ur-Rahmān se Darse Nizaami ki ta’aleem haasil ki.
1248 Hijri (1832 A.D.) me Aap ne Sanad haasil ki.

Maulana Raza Ali Khan bahot shaandaar Aalim aur Muqarrir the.
Tajrid wa tafrid Aap ki khusiyaat se tha.
Maulana Raza Ali Khan Faqr o Tasawwuf aur Zohad wa Qana’at pasand farmaate the.

Maulana Raza Ali Khan apni ta’aleem wa faiz ke zariye deen e Islaam ki azeem khidmat karte rahe.
Maulana Raza Ali Khan ne Arabi me Jum’aa aur Eidain ke khutbe tehreer farmaae jin ko aap ke shaagird Maulana Muhammad Hasan Ilmi ne ‘Khutbaate Ilmi’ me jama kiye hain.

Maulana Raza Ali Khan ke mashware par Maulana Raza Ali Khan ke shaagird Malik Muhammad Ali Khan ne Ismāeel Dehlawi ki kitaab  ‘Taqwiatul Eimaan’ ko radd karne ke liye ‘Tashee’hi Taqwiatul Imaan Radde Taqwiatul Eimaan’ kitaab likhi.

Nawaab Haafiz Rahmat Khan ki shahaadat ke baad Shuja-ud-daula aur us ke bete Aasif-ud-daula ne Rohilkhand par qabza kiya. Ye dono Shia (Raafzi) aqeede rakhte the. Maulana Raza Ali Khan ne in ke Aqeede ko maanne se inkaar kiya aur use rad farmaaya.

Maulana Raza Ali Khan ki Karamat:

(1) Ek roz Holi ke tehwaar me aap kucha Sitaram se guzar rahe the. Ek Hindu tavaayaf aurat ne apne baala khaane se aap par rang phenka. Yeh dekhkar ek nau-jawaan ne baala khaane par jaakar us aurat par tashaddud [sakhti] karna chaaha. Magar Hazrat ne use roka aur farmaaya “Bhai! Kyun us par tashaddud karte ho? Us ne mujh par rang daala hai Khuda use rang dega.”

Aap ne yeh farmaaya hi tha ke woh tavaayaf neecche aakar aap ke qadmo me gir padi aur maafi maangi aur foran musharraf ba Islaam hui. Aap ne wahi us nau-jawaan ke saath us ka nikaah kar diya.

(2) Ek Brahman ek musalman ladke par farefta ho gaya tha. Ek roz ladka bhaagta hua aaya aur Hazrat ki panaah li. Us brahman ne talwaar se hamla kiya jis se kuchh kharaash aap ko bhi aa gai. 

Us zamaane me 2 pahelwaan Hakeem Abdus Samad saahab ke makaan se muttasil rehte the. Un dono aur ek raah-gir musalman ne mil kar us Brahman ki pitaai shuru ki.

Hazrat ne farmaaya “‘Kyun maarte ho? ALLĀH ta’ala ise saza dega.”

Chunaanche kuchh hi arse baad dekha gaya ke woh brahman sadako ki naaliyo ka paani munh lagakar peeta tha. Jab tak zinda raha yunhi kharaab khasta maara maara phirta raha.

(3) Waariṡ Ali Khan naami aap ka ek rishtedaar Mohalla Sodagaran me rehte the.

Ek martaba aap ke paas kuchh raqam bator qarz lene ke liye haazir hua. Un ke shabaab [jawaani] ka zamaana tha aur aazaad mizaaj the. Isi liye Aap ne farmaaya “Is raqam ko beja sarf [fuzool kharchi] mat karna.” Unho ne iqraar kiya aur chale gaye.

Usi din Waariṡ Ali Khan wo rupye lekar ek tawaayaf ke yaha gaye. Jab sidhiyo par pahunche to dekhte hain ke Hazrat ka asaa aur chhatri wahi rakhi hui hain. Jaldi se waha se waapas hue. Dusre baala khaane par gaye, waha bhi waisa hi dekha to waapas hue. Teesri jagah bhi yehi maajra dekha. Bil Aakhir waapas hue aur Hazrat ki baargaah me haazir hokar tauba ki. 

(4) 1274 Hijri (1857 A.D.) ke gadar baad jab Angrezo ka tasallut [qabza] hua aur unho ne shadeed mazaalim kiye to log dar ke maare pareshaan phirte the. Bahot saare log apne makaanat chhodkar dusre gaanvo me chale gaye lekin Maulana Raza Ali Khan mohalla zakhira me apne makaan me hi muqeem rahe aur panj waqta namaaz masjid me jama’at ke saath ada karte rahe.

Ek roz Hazrat masjid me tashreef farma the. Angrezo ka udhar se guzar hua aur is khayaal se masjid me ghuse ke masjid me koi shakhs ho to us ko pakadkar pite. Woh puri masjid me idhar udhar ghum aaye, magar koi nazar nahi aaya aur wo waha se chale gaye. Is tarah ALLĀH ta’ala ne aap ki hifaazat farmaai.

Maulana Raza Ali Khan ka Wisaal:

Maulana Raza Ali Khan ka wisaal 2 Jamaadi-ul-Awwal 1286 Hijri (August 1869 A.D.) ko hua.
Maulana Raza Ali Khan ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Maulana Raza Ali Khan رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *