Table of Contents
ToggleHazrat Maulana Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه
Alqaab :
Aalim-e-Jaleel ,Faazil-e-Nabeel, Haami-e-Sunan, Maahi-e-Fitan.
Aap ki Wiladat :
Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه ki wilaadat 1235 Hijri (1820 A.D.) me Peshawar me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Allama Haafiz Ghulaam Rasool bin Muhammad Ismā’eel رحمة الله عليه hai.
Aap ke waalid mash’hoor aalim the. Kabul, Qandahar, Baarqand aur Samarqand se log un ke paas taaleem ke liye aate the.
Aap ki Talimat:
Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki.
Is ke baad aap Jamjodhpur (Gujarat) tashreef laaye aur wahi qayaam karke puri zindagi isha’at e Islaam aur ta’aleem e deen karte rahe.
Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه hamesha Sunnat e Rasool par amal karte the aur logo haq baat samjhakar shariat par amal ki ta’aleem dete the.
Bahot saare Nasraaniyo ne aap se munaazare ke baad apni haar maankar Aap ke qadam chum liye the.
Hazrat Maulana Zia-ud-deen saahab Pilibhiti ke shaaye karda ‘Tauf-e-Hanafiyyah’ naami Risaala jadeeda (Magazine) me aap ne A’ala Hazrat ke baare me padha.
Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه Bareilly shareef tashreef le gaye aur baargaah e A’ala Hazrat me pahunche. Aur A’ala Hazrat ke mureed hue. Is ke baad A’ala Hazrat aap ko apne ghar par le gaye aur unho ne jo Kurta, Sadra, Paaijaama aur Amaama pehna tha wo ata farmaaya.
1339 Hijri (1921 A.D.) me A’ala Hazrat ne Aap ko likhe hue ek khat me aap ko ‘Haami-e-Sunan aur Maahi-e-Fitan’ se mukhaatib kiya tha.
Aap kisi ko apna mureed nahi banaate the. Jab koi bai’at ke liye aata to aap use A’ala Hazrat ki baargaah me bhej dete the.
A’ala Hazrat ke wisaal ke baad Aap un ke mazaar par gaye tab aap ne A’ala Hazrat ke waseele se dua ki ‘ALLĀH ta’ala mujhe ek beta ata farmae.’ Aur isi saal ALLĀH ta’ala ne aap ko beta ata farmaaya. Aap apne is farzand ko kabhi us ke naam se nahi bulaate magar Hazrat kehkar pukaarte.
Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه ne A’ala Hazrat ke mazaar ke gumbad ka naqsha banakar diya jo Hujjat-ul-Islaam, Mufti-e-aazam-e-Hind, Sadr-ush-Shariah aur deegar ulema ko bhi pasand aaya.
Aap ki likhi mash'hoor kitaaben :
(1) Ek baar Muhammad naami ek ladke ko khasra (German measles) ki beemaari hui. Tabeebo ne bataaya ke ‘Is ke theek hone ki koi ummeed nahi.’ Jab Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه Hazrat ko pata chala to aap ne us ke ghar par tashreef le gaye aur ladke ke waalidain ko bulaaya aur farmaaya ‘Mujhe pehle kyun nahi bataaya?’ Phir aap ne apna luab e dahen (thoonk) us ke badan par laga diya aur us ke liye dua ki. ALLĀH ta’ala ke fazl se wo ladka bilkul tandurast ho gaya aur us ne puri zindagi tandurasti ke saath basar ki.
(2) Ek baar ek shakhs ko us ki waalida Hazrat Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه ki baargaah me laai aur arz kiya ke ‘Is ke andar jinn hai jo bahot pareshaan karta hai. Aap karam farmaaiye aur is jinn se hume najaat dilaaiye.’ Aap ne farmaaya ‘Is ke liye tumhe apne bete zor se peetna hoga jab tak wo jinn ise chhodkar baahar na aa jaaye. Albatta tumhare bete ko kuchh dard nahi hoga.’ Wo aurat is ke liye tayyar ho gai. Us ne apne bete ko bahot zor se peetna shuru kiya yaha tak ke us ke badan se khoon jaari ho gaya.’ Aakhirkaar wo jinn us ladke ko chhodkar jaane ke liye maan gaya. Hazrat ne use ek badi botal me band kiya aur zameen me ek khadda khodkar us botal ko us me dafn kar diya.
Pariwaar :
Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه ki 3 biwiya aur 5 saahabzaade aur 11 saahabzaadiya hain.
(1) Maryam bai se
2 bete :
Maulana Ghulaam Mustafa Raza
Ghulaam Murtaza Raza (Bachpan me hi inteqaal hua).
1 beti :
Aa’isha.
(2) Haleema bai se
1 beta :
Maulana Ghulaam Mujtaba Raza (Malawi)
2 betiya :
Hawwa’, Ruqayya
(3) Amatullāh bai se
2 bete :
Maulana Ghulaam Ahmad Raza
Maulana Ahmad Jaan
8 betiya :
Raheema, Kareema, Khadeeja, Ayesha, Jameela (Bachpan me hi inteqaal hua), Faatima, Ameena, Jameela
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aakhri saalo me aap ko diabetes ki beemaari ho gai thi.
Wisaal ke din aap subah ko jaldi uth gaye aur apne saahabzaade Maulana Ghulaam Ahmad Raza ko paak saaf karne ke liye farmaaya aur aap ki ahalya ko bistar paak saaf karke nai chaadar lagaane ke liye farmaaya. Phir aap ne apne saahabzaade ko paak hokar Surah Ya-Seen ki tilaawat karne ke liye farmaaya. Jab Maulana Ghulaam Ahmad Raza waapas aaye to dekha ke Hazrat Surah Ya-Seen ki tilaawat kar chuke the.
Jab Dhoraji se Shaah saahab tashreef laaye to aap ne unhe aur Maulana Ghulaam Ahmad Raza ko bataaya ke ‘Mujhe khwaab me Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ki aur A’ala Hazrat رحمة الله عليه ki ziyarat ki sa’adat haasil hui aur unho ne mujh se farmaaya ke tumhe hamare paas aana hai.’
Phir Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه ne Shaah saahab se aap ko dusre kamre me le jaane ke liye farmaaya aur apne tamaam farzand ko bistar ke qareeb khade hone liye farmaaya. Phir aap ne sab se farmaaya ke ‘Mujhe jee bhar ke dekh lo ke mere wisaal ka waqt qareeb hai’ Phir aap ne sab ke liye dua farmai.
Jab aap ne dekha ke sab ro rahe hain to aap ne farmaaya ke ‘Tum sab ye mat socho ke main tumhe chhodkar jar aha hu. Main to sirf ek maqaam se dusre maqaam par inteqaal kar raha hu.’
Phir Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه ne farmaaya ‘Meri almaari me ek kitaab me taaweez rakhe hain jo falaan shakhs ko de dena.’
Phir aap ne kaha ke ‘Beemaari ke sabab mere 3 Roze aur chand namaazen qaza hui hain. Jin ke kaffaare ka fidya ada kar dena.’
Phir aap ne Maulana Abdul Qaadir ko namaaz e janaaza padhaane ki wasiyat farmai.
Phir Kalma e shahaadat padha aur Zohar ki azaan se pehle inteqaal farmaaya.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 3 Safar 1370 Hijri (14 October 1950 A.D.) ko 130 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Jamjodhpur (Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Maulana Mufti Mahmood Jaan رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.