Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه
Alqaab :
Jahaangeer, Mehboob-e-Yazdaani, Ghauṡ-ul-aalam.
Aap ki Waalidain:
Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke waalid ka naam Sultaan Sayyed Ibrāheem Noor Bakhshi bin Sayyed Imaad-ud-deen aur waalida ka naam Bibi Khadeeja Begum binte Khwaja Ahmad Yasawi hai. Aap Husaini Saadaat hain. Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke waalid Simnan ke Sultaan the.
Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke waalidain ko betiya hi thi, koi beta nahi tha. Ek baar subah ke waqt dono musalle par the. Itne me Hazrat Ibrāheem Majzoob رحمة الله عليه un ke mahel me aaye. Sultaan Sayyed Ibrāheem Noor Bakhshi un ke isteqbaal ke liye aage aaye.
Hazrat ne un se farmaaya ke “Tum bete ke liye khwaahish-mand ho.” Sultaan ne kaha “Agar aap ki dua se hume woh mil jaaye to hum bahot khushnaseeb honge.”
Hazrat ne farmaaya “Is ki qeemat bahot zyada hogi kyun ki main tumhe bahot qeemati ne’amat dilaane wala hu.” Sultaan ne kaha “Aap hukm karen.” Hazrat ne imtihaan lene ke liye farmaaya ke “Tum mujhe 1000 deenaar do.” Sultaan ne foran aap ko 1000 deenaar batore hadiya de diye. Hazrat ne khush hokar dua di ke “Aye Ibrāheem! In shaa Allāh jald hi tumhari muraad puri hogi.’
7 saal me Aap Haafiz e Qur’ān hue aur Qir’at e Saba ke maahir hue. Phir Aap ne Maulana Imaad-ud-deen Tabrizi, Imaam Abdullāh Yaafai (Makkah mukarrama), Baba Mufrah bin Khwaja Najm-ud-deen Kubra (Iskandaria) aur Maulana Ahmad Haqqaani aur deegar masha’ikh aur ulama se ta’aleem haasil ki.
15 saal ki umr me Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke waalid ke inteqaal ke baad Aap Simnan ke Sultaan bane. Aap bahot hi aadil baadshaah the.
23 saal ki umr me Hazrat Khwaja Uwais Qarni radiy-Allāhu ta’ala anhu Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke khwaab me aaye aur Aap ko Azkaar e Uwaisia sikhaaye. Aap ne in ka wird karna jaari rakha.
3 saal baad Hazrat Khizr alaihis salaam ne aakar Aap ko bashaarat di ke “Aye Ashraf! Dunya me Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke aane ka asl maqsad kuchh aur hai. Aap Hindustan jaao waha Pandwa (Bengal) me Makdoom Shaikh Ala-ul-Haq Ganj e Nabat Chishti aap ka intazaar kar rahe hain, Un se faiz haasil karo.”
Aap ne apni waalida se ijaazat lekar Hindustan ki taraf apna safar shuru kiya. Shuru me 12000 sipaahi Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke saath the. 3 manzil ke safar ke baad Aap ne sab ko waapis lautne ke liye kaha. Aur ek khaadim ke saath apna safar jaari rakha. Phir kuchh waqt baad use bhi lauta kar tanha safar jaari rakha.
Hazrat Ala-ud-daula Simnani رحمة الله عليه ne Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke saath kuchh waqt safar kiya aur Aap ko wohi khushkhabari sunai.
Jab aap Uch shareef (Multan) pahunche to waha Hazrat Makhdoom Jahaaniya jahaan-gasht Jalaal-ud-deen Bukhari رحمة الله عليه se mulaaqaat hui aur unho ne bhi wohi khushkhabari sunai.
Aap kuchh din waha rookne ke baad phir safar karte hue Hazrat Daata Ganj-bakhsh Lahori رحمة الله عليه ke mazaar par pahunche aur waha faiz haasil kiya.
Phir aap Delhi pahunche aur Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki رحمة الله عليه ke and phir Hazrat Khwaja Nizaam-ud–deen Auliya Mehboob e Ilāhi رحمة الله عليه ke mazaar par pahunche aur waha faiz haasil kiya.
Aakhir me jab aap Pandawa Shareef pahunche to Shaikh Ala-ul-Haq رحمة الله عليه pehle se Doli ke saath Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke istaqbaal ke liye tayyaar the. Aap un ke qadmo me jaa pade. Hazrat Shaikh Ala-ul-Haq ne Aap ko mureed banaakar Chishtiya Nizaamiya ki khilafat ata farmai.
4 saal apne peer ki sohbat me rehkar Aap ne Tareeqat, Ma’arifat wa Haqeeqat ki ta’aleem haasil kiya
Tasannif :
Aap ne bahot saari kitaaben likhi hain :
(1) Kanz-ul-Asraar
(2) Fataawa Ashrafia
(3) Lata’if-e Ashrafi
(4) Sirr ul Asqaar
(5) Sharh e Awaarif-ul-Ma’arif
(6) Sharh e Fusoos-ul-Hakam
(7) Sharh e Sikandar Naama
(8 ) Qawaa’id-ul-Aqaa’id
(9) Ashraf-ul-Ansaab
(10) Bahr-ul-Azkaar
(11) Fawaa’id-ul-Ashraf
(12) Tanbeeh-ul-Akhwaan
(13) Bashaarat-uz-zaakireen
(14) Bashaarat-ul-Ikhwaan
(15) Irshaad-ul-Ikhwaan
(16) Musta Lehate Tasuwwuf
(17) Manaaqib e Khulfa e Rashideen
(18) Hujjal-uz-Zaakireen
(19) Tafseer e Noor Bakhia
(20) Risaala Wahaadat-ul-Wajood
(21) Risaala Dar Tajweez e tane Yazeed
(22) Bahr-ul-Haqaa’iq
(23) Nahw e Ashrafia
(24) Kanz-ud-Daqaa’iq
(25) Bashaarat-ul-Mureedeen
(26) Deewaan–e–Ashraf.
Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke khalifa Hazrat Makhdoom Sayyed Abdur Razzaaq Noor-ul-ain Ashrafi رحمة الله عليه ne ‘Maktubaat e Ashrafi’ kitaab me Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke khato aur dars ko jama kiya hai.
Aqwaal :
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Har Buzurg ki koi baat amal karte raho kaamyaab ho jaaoge.
(2) Khidmat e khalq Nawaafil se zyada afzal hai.
(3) Peer ko kabhi bhi mureed ke maal o daulat ki laalach nahi rakhni chaahiye.
(4) Wali hone ke liye shart hai ki zabaan se, amal se aur aqeede se Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ita’at kare.
(5) Jo Shariat ka paaband nahi woh Tareeqat ka faiz se mehroom hota hai. Jaahil ya gumraah shakhs khud bhi doobta hai aur apne mureedo ko bhi doobaata hai.
(6) Baghair amal ke aalim us bartan ki tarah hai jis (ke daraar) me qalaee nahi hai.
Aap ki Karaamat:
(1) Ek baar aap Ameer Taimur ki saltanat se guzar rahe the. Us ne Aap ka istaqbaal aur ta’azeem kiya. Pahaadi par chadhte waqt Ameer Taimur ne Hazrat Makhdoom Simnani se kaha ke “Jaha tak aap ki nazar jaae waha tak ka ilaaqa aap ko tohfe me de sakta hu.”
Aap ne us se farmaaya ke “Main jaha tak dekh sakta hu, wo ilaka tumhari saltanat me nahi hai.” Yeh kehkar aap ne Ameer Taimur ke sar par apna daste mubarak rakha aur farmaaya ke “Ab tum kya dekhte ho?” Ameer Taimur ne kaha ke “Mujhe Makkah mukarrama aur Madeena munawwara nazar aa raha hai.” Aap ne farmaaya ke “Kya ye tumhari hukoomat me hai?” Ameer Taimur ne sharminda hokar inkaar kiya. Aur us ki aqeedat aur bhi mazboot ho gai.
(2) Ek baar ek aurat apne bache ko lekar aai jo marne ke qareeb tha. Jab wo Aap ki baargaah me pahunchi to bache ki saans rook gai. Us aurat ne rote hue kaha ke “Aap ALLĀH ke wali hain. Mujhe mere bete ki zindagi waapis dilaiye.” Aap ne farmaaya ke “Zindagi aur maut ALLĀH ta’ala ke haath me hai.” Yeh sunkar wo budhiya bahut buri tarah rone lagi. Yeh dekhkar aap ne jalaal me aakar kaha “Jaao, Main apni zindagi me se 10 saal tumhare bete ko dilaata hu.” Is ke baad aap ki dua se woh ladka zinda ho gaya aur 10 saal tak zinda raha.
(3) Pandawa Shareef se waapis aane ke baad ek baar israaq ke waqt aap apne mureedo ke saath baithe the. Itne me kuchh log Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke paas ek zinda shakhs ko kafan me letakr laaye aur us ki janaaza padhane ke liye kaha. Aap ne pehle mana kiya. Phir jab unho ne bahut zor kiya to aap ne apne ek shagird ko janaaza padhakar us ki khwaahish puri karne ke liye kaha. Us ne janaaza padha di. Phir wo log us shakhs ke khade hone ka intazar karne lage. Magar jab kafan ko kholkar dekha to woh shakhs murda ho gaya tha.
(4) Ek baar aap apne mureedo ke saath Banaras se guzar rahe the. Aap ka ek mureed mandir me ek but ko dekhkar waha rook gaya. Aap ko kuchh door jaakar is baat ka pata chala. Aap ne apne dusre mureed ko waha jaakar us but ko bulaane ke liye kaha. Us mureed ne waha jaakar Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke hukm ke mutaabiq kiya. Us ke kehne par woh but hilne laga aur phir ek khubsurat ladki ki shakl me Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke paas haazir hua aur musalman hua. Aap ne apne mureed ke saath us ka nikaah karaaya.
(5) Aap ka ek Mureed jo Khurasani tha aur Safar wa Hajar me hamesha Hazrat ke saath rehta tha. Use ek din khoon ki kharaabi ki beemaari ho gai aur us ka saara jism kharaab ho gaya. Us ne khayaal kiya ke Meri maujoodgi se khaanqaah waalo ko takleef hogi aur ho sakta hai un ko bhi meri wajah se ye beemaari lag jaaye.
Behtar hai ke main kahi door chala jaata hu.
Jab wo apna saamaan tayyaar karne laga to Makhdoome paak ki aur khaanqaah ki judaai ke sadme me bahot rone laga. Jab logo ne dekha to Hazrat se jaakar us ka haal bataaya. Aap ne us mureed ko bulwaaya aur use tasalli di.
Phir ek piyaale me paani mangwa kar us me apna Luabe dahan (thoonk) daala aur us mureed ko dekar farmaaya ke “Is ko apne beemaari waale jism par lagaana.” Jab us mureed ne aisa kiya to kuchh hi din me us ko shifa ho gai.
(6) Ek martaba Aap ka guzar Qasba Saubankali me hua. Waha par har saal dariya ki tugyaani [sailaab] se logo ki khetiya kharaab ho jaati thi. Is baar dariya ki tugyaani zyaada hui. Waha ke musalmano ne Hazrat ki baargaah me aakar apni takleef bayaan ki.
Aap ne kaagaz ka ek tukda mangwaaya aur us par apne daste mubarak se likha ke “Aye dariya ke paani! Abdullāh Ashraf Simnani ki taraf se tumko ma’aloom ho ke agar teri tugyaani (Sailaab) Hukme khuda se hai to ba-hukme Khuda jaha tak had muqarrar ki jaaye us se aage na badhna.” Aur un hudood par lakdi ya patthar nishaan ke liye gaad diye. Logo ki takleef door ho gai.
(7) Ek shakhs ek buzurg ke paas gaya aur bai’at ke liye arz kiya. Bai’at se pehle us shakhs ne kaha “Meri ek shart hai. Main Sharaabi hu aur main sharaab pina nahi chhod sakta.”
Yeh sunkar unho ne use mureed banaane se manaa kar diya.
Is tarah woh shakhs ek ke baad ek buzurg ke paas gaya. Magar shart sunkar sab ne us shakhs ko Mureed karne se manaa kar diya.
Phir woh shakhs Hazrat Makhdoome paak ke paas aaya aur kaha “Main Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke paas badi ummeed lekar aaya hu. Mujhe kisi bhi buzurg ne mureed nahi banaaya hai.”
Aap ne us se farmaaya “Wuzu karke aao.” Jab woh wuzu karke aaya aur mureed hone ke liye Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke saamne baitha to us ne kaha “Huzoor! Main sharaab pita hu. Meri ek shart hai ke mujhe sharaab chhodne ke liye na kahen.”
Aap ne kaha “Theek hai. Lekin meri bhi ek shart hai. Maanoge?” Us ne kaha “Ji, Hazrat aap ki shart maanuga.” Aap ne kaha “Tum sharaab mere saamne nahi pioge.” Us ne kaha “Ji Huzoor. Main apne murshid ke saamne kaise pee sakta hu. Main Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke saamne sharaab hargiz nahi piunga.”
Aap ne use mureed kar liya.
Mureed hone ke baad shakhs waha se jaane laga to sochne laga “Main mureed bhi ho gaya aur aap ne murshid se chhup kar sharaab bhi pee lunga.”
Door jaakar us ne sharaab pine ke liye sharaab ki botal jeb se nikaali. Jab woh sharaab ki botal ko munh se lagaane hi jaa raha tha us ne dekha ke us ke saamne Hazrat khade hain aur muskura rahe hain. Us ne jaldi se sharaab ki botal ko chhupa liya.
Phir woh apne ghar aaya aur ghar ke sabhi darwaazo ko band kar diye. Aur sharaab ki botal nikalkar pine hi jaa raha tha ki us ne dekha Hazrat us ke saamne muskura rahe hain. Us ne Aap se muafi maangi. Aap ne use muaaf kar diya.
Woh shakhs jab bhi sharaab pine ki koshish karta Aap ko apne saamne paata.
Woh shakhs ghusse me aakar Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke paas aaya aur kehne laga ki “Aap to mere pichhe hi pad gaye hain. Mujhe sharaab nahi pine dete.”
Aap ne farmaaya “Kaun si sharab pioge meri ya apni?” Us mureed ne socha ki “Maine apni waali bahot pee hai. Aaj inhi ki sharaab pita hu.” Us ne kaha “Aap waali sharaab piunga.”
Aap ne use wuzu karne ke liye farmaaya. Jab woh wuzu karke aaya to Aap ne kaha “Mere saamne baitho aur mere aankho me dekho.” Woh aap ki aankho me dekhne laga. Kuchh der ke baad us ne kaha “Bas Hazrat, Ab mat pilaiye warna mera seena phat jaayega.”
Is tarah Aap ne use Wali e kaamil bana diya.
Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Makhdoom Shaikh Ala-ul Haq Pandawi Chishti Siraaji رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain رحمة الله عليه ne aap ko Suharwardi Jalaali, Qaadri aur Chishti Naasiri silsila ki khilaafat ata farmai hai.
Hazrat Khwaja Abu Nasr, Mohammad al-Paarsa رحمة الله عليه ne ‘Naqshbandi’ silsile ki khilaafat ata farmai hai.
Aap se ‘Chishti Ashrafi’ silsila jaari hai.
Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Abdur Razzaaq Noor-ul-ain رحمة الله عليه
(2) Hazrat Shaikh Saif-ud-deen Muhammad Alwari رحمة الله عليه
(3) Hazrat Shaikh Kabeer al-Abaasi رحمة الله عليه
(4) Hazrat Asad-ud-deen Zinjani رحمة الله عليه.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 28 Moharram 808 Hijri (25 July 1405 A.D.) ko hua. Aap ka mazaar Rasoolpur, Kichhauchha (Uttar Pradesh) me hai.
1435 Hijri (2013 A.D.) me Urs ke mauqe par Hazrat Makhdoom Ashraf Jahaangeer Simnani رحمة الله عليه ke ki ek karamaat zaahir hui.
Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani رحمة الله عليه ke mazaar ke qareeb ek jhil hai. Log us ka paani istemaal karte hain.
4 bad-mazhab shakhso ne bughz ki wajah se us jhil me zeher daal diya. Jis ke wajah se jhil ki tamaam machhaliya mar gai. Magar paani istemaal karne wale logo ko kuchh asar na hua.
Wo chaaro shakhs waha se bhaage. Magar Delhi ke qareeb ek haadse (accident) me un me se 3 mar gaye aur ek ke dono haath kat gaye. Us ne darkar sab ko ye baat batai aur muafi maangi.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Makhdoom Ashraf Jahaangeer Simnani رحمة الله عليه ke aur Ahle Bait Aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.