Biography of  Hazrat Khwaja Sayyed Karam ud deen Mumshad Dinawari | Download Free PDF

Hazrat Khwaja Sayyed Karam ud deen Mumshad Dinawari رحمة الله عليه

Aap ki Wiladat:

Khwaja Sayyed Karam ud deen Mumshad Dinawari رحمة الله عليه ki wilaadat Dinawar (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Muhammad bin Sayyed Abdur Raheem hai. Aap Husaini saadaat hain.

Aap ki parwarish aur tarbiyat Baghdad me hui.
Aap jawaani me hi apna maal raahe khuda me khiraat karke kai saal tak Ibaadat wa riyaazat karte rahe.

Jab aap Hazrat Khwaja Abu Hubaira Basri Rahmatullāhi Alaihi ki baargaah me pahunche to Hazrat ki ek nazar padte hi be-hosh gaye. Jab Hazrat ne apna luaabe dahan aap ke muh me rakha to aap hosh me aaye. Jab puchha gaya to farmaaya ke ‘Jo maine 50 saal me nahi paaya wo Hazrat ki ek nigaah se mil gaya

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Khwaja Sayyed Karam ud deen Mumshad Dinawari رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Ameen-ud-deen Abu Hubaira Basri Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aap ko Hazrat Shaikh Junaid al-Baghdadi se bhi khilaafat mili hai.

Aap ke khulfa:

(1) Hazrat Khwaja Abu Is’hāq Shaami Chishti Rahmatullāhi Alaihi,
(2) Hazrat Khwaja Aswad Ahmad Dinawari Rahmatullāhi Alaihi,
(3) Hazrat Khwaja Muhammad Dinawari Rahmatullāhi Alaihi

Aap ka Wisaal:

Khwaja Sayyed Karam ud deen Mumshad Dinawari رحمة الله عليه ka wisaal 14 Moharram 299 Hijri (August 911 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Dinawar (Iran) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Sayyed Karam ud deen Mumshad Dinawari رحمة الله عليه  aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *